Saman e Bakhsish Lyrics

Saman e Bakhsish Lyrics

QALB KO US KI ROOYAT KI HE AARAZU

Qalb Ko Uski Rooyat Ki He Aarazu
Jiska Jalwa He Aalam Me Har Chaar Su
Balke Khud Nafs Me He Wo Subhanuhu
Arsh Par He Magar Arsh Ko Justaju
Allahu Allahu Allahu Allahu

Arsh o Farsh o Zamaan o Jahat Ay Khuda
Jis Taraf Dekhta Huñ He Jalwa Tera
Zar’re-Zar’re Ki Aankhoñ Me Tu Hee Zia
Qatre-Qatre Ki Tu Hee To He Aabru
Allahu Allahu Allahu Allahu

Tu Kisi Jaa Nahiñ Awr Har Jaa He Tu
Tu Munaz’zah Makaañ Se Mubar’ra Ze Su
Ilm O Qudrat Se Har Jaa He Tu Ku Ba Ku
Tere Jalwe He Har-Har Jaga Ay ‘Afu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Saare Aalam Ko He Teri Hee Justaju
Jinn O Ins O Malak Ko Teri Aarazu
Yaad Me Teri Har Ek He Su Ba Su
Ban Me Wahshi Lagaate Haiñ Zarbaat e Hu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Naghma Sanjaan e Gulshan Me Charcha Tera
Chehchahe Zikr e Haq Ke Haiñ Subh o Masaa
Apni-Apni Chehek Apni-Apni Sadaa
Sub Ka Matlab He Waahid, Ke Waahid He Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Taa’iraan e Jinaañ Me Teri Guftagu
Geet Tere Hee Gaate Haiñ Wo Khush Gulu
Ko-ee Kehta He Haq, Ko-ee Kehta He Hu
Awr Sub Kehte Haiñ ‘Laa Shareeka La Hu’
Allahu Allahu Allahu Allahu

Bulbul e Khush Nawa Tooti e Khush Gulu
Zamzamah Khwaañ Haiñ Gaate Haiñ Naghmaat e Hu
Qumri e Khush Liqa Boli Haq Sir’ruhu
Faakhta Khush Ada Ne Kaha Dost Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Subh O Dam Kar Ke Shabnam Se Ghusl O Wuzu
Shaahidaan e Chaman Bastah Saf Ru Ba Ru
Wird Karte Haiñ Tasbeeh Subhaanuhu
Hu Wa Laa Ghairuhu, Hu Wa Laa Ghairuhu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Har Nihaal e Chaman Zikr Se He Nihaal
Zikr e Haq Ye Usay Karta He Maala Maal
Zikr Se Chook Kar Hota He Wo Nid’haal
Zikr Hee Tera He Uski Wajh e Namu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Wo Bhi Tasbeeh Se Rakhta He Isthighaal
Jo Nahiñ Rakhta Munh Awr Lisaan e Maqaal
Phir Bhi Goya-e Tasbeeh He Us Ka Haal
Uski Haali Zabaañ Kehti He Tu Hee Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Jo He Ghaafil Tere Zikr Se Dhul-Jalaal
Us Ki Ghaflat He Us Par Wabaal o Nakaal
Qe’r e Ghaflat Se Ko Khudaya Nikaal
Hum Hoñ Zaakir Tere Awr Mazkoor Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

He Zabaañ e Jahaañ Hamd e Baari Me Laal
Dum Ko-ee Hamd Ka Maare Kis Ki Majaal
Ta Ba Imkaan Hum Rakhte Haiñ Qeel o Qaal
Us Ko Maqbool Farma Le Rahmat Se Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Bhar De Ulfat Ki May Se Humaara Suboo
Dil Me, Aankhoñ Me Tu, Awr Lub Par Ho Tu
Kaif Me Wajd Karte Phireñ Ku Ba Ku
Wird Gaaya Kareñ Pe Ba Pe, Su Ba Su
Allahu Allahu Allahu Allahu

‘Afw Farma Khata-eñ Meri Ay ‘Afu
Shawq O Tawfeeq Neyki Ka De Mujh Ko Tu
Jaari Dil Kar Ke Har Dum Rahe Zikr Hu
Aadat e Bud Badal Awr Kar Neyk Khu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Bud Huñ Maula Mere Mujh Ko Kar De Neyku
Rakht e A’maal He, Chaak Farma Rafu
Teri Rahmat Ki Umeed He Ay ‘Afu
Ke He Irshaad e Qur’an ‘Laa Taqnatu’
Allahu Allahu Allahu Allahu

Daakhil e Khuld Hum Ko Jo Farmaa-e Tu
Hum Hoñ Awr Hoor o Ghilmaañ Lab e Aab e Ju
Awr Jaam e Tahoor Awr Meena Subu
Dekheñ A’daa To Rah Jaa-eñ Pee Kar Lahu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Thandi-Thandi Naseemeñ Chaleñ Mere Rab’b
FItnoñ Ki Dhool Se Paak Ho-we Arab
Aisa Barsa Bahaa De Jo Khaashaak Sub
Teri Rahmat Ke Baadal Ghireñ Chaar Su
Allahu Allahu Allahu Allahu

Rahm Farma Khudaya, Haram Paak Ho
Tu Ne Taqdees Bakhshi He Jis Khaak Ko
Daf’aa Farma, Wahaañ Par He Be-Baak Jo
Awr Gira Bijliyaañ Qahr Ki Bar ‘Adu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Noor Ki Teri He Ek Jhalak Khoobru
Dekhe Noori To Kyuñkar Na Yaad Aa-e Tu
Unka Sarwar He Mazhar Tera Hu Ba Hu
Man Ra-aani Ra-al Haq, He Haq Mu Ba-Mu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Khwaab e Noori Me Aa-e Jo Noor e Khuda
Buq’aa e Noor Ho Apna Zulmat Kada
Jagmaga Uth’thay Dil, Chehra Ho Pur Zia
Nooriyoñ Ki Tarah Shagl Ho Zikr e Hu
Allahu Allahu Allahu Allahu

LAA ILAAHA IL’L-ALLAH AAMAN’NA BI RASOOLILLAH

Laa Maujooda Il’l-Allah,
Laa Mash’hooda Il’l-Allah
Laa Maqsooda Il’l-Allah,
Laa Ma’booda Il’l-Allah
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

He Maujood e Haqeeqi Wo,
He Mash’hood e Haqeeqi Wo
He Maqsood e Haqeeqi Wo,
He Ma’bood e Haq o Haqeeqi Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Hoo, Hoo, Hoo, Hoo, Hoo, Hoo,
Hoo, Hoo, Allahu, Hoo, Allahu
Tera Jalwah He Har Soo,
Tu Hee Tu He, Tu Hee Tu
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Haq Hoo, Haq Hoo, Haq Hoo, Haq
Rab’bi Naas Wa Rab’bi Falaq
Ghayr Nahiñ Tera Mutlaq
Bhoolunga Me Ye Na Sabaq
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Antal Haadi Antal Haq,
Rang e Baatil Us Se Faq
Qalb e Mubtil Sun Kar Shaq,
Qalb e Muslim Ki Ronaq
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Rab’bi Hasbi Jal’l-Allah,
Maa Fee Qalbi Il’l-Allah
Haq, Haq, Haq, Allah, Allah, Rab’b,
Rab’b, Rab’b, Subhaan’Allah
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Laysa Ka-Mithlihi Shay’un,
Laysa Lahu Kufuwan Ahad
Us Se Bun He Wo Nahiñ Bun,
Absir, Isma’ Dekh Awr Sun
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Laysal Haadi Il’laahu,
Kehta He Ye Har Bun e Moo
Sunta Huñ Me Az Har Soo,
Laysa Siwaaka Ya Man Hoo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Bun Ko Banaaya He Us Ne,
Bun Ko Jamaaya He Us Ne
Bun Ko Ugaaya He Us Ne,
Baagh Khilaaya He Us Ne
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Allahu Ilaah wa Rab’b o Ahad
Fard o Waahid, Witr o Samad
Jis Ka Waalid He Na Walad,
Zaat o Sifaat Me Be Hud o ‘Ad
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Ek Haqeeqi He Wo Ahad,
Ek Nahiñ Wo Jo He ‘Adad
Paak He Wo Az Soorat o Had,
Kayfa Yusaw’war Kayfa Yuhad
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Mun’im o Haq o Samee’ o Baseer,
Baaqi, Baari, Barr o Khabeer
Jaami’, Maani’, Manaar o Kabeer;
Raafi’, Naafi’, Hay’y o Qadeer
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Hakam o ‘Adal o Aliy’y o ‘Azeem,
Day’yaan o Rahmaan o Raheem
Qud’doos o Han’naan o Haleem,
Fat’taah o Man’naan o Kareem
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Waali, Wali, Muta’aali, Hakeem;
Wah’haab o Raz’zaaq o ‘Aleem
Maaliki Yawmid-Deen o Jaheem,
Maalik o Mulki Khuld o Na’eem
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Wo He ‘Azeez o Mujeeb, Shakoor
Wo He Badee’ o Qareeb, Saboor
Wo He Mateen o Haseeb Ghafoor
Wo He Mu’een o Raqeeb Zaroor
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Wo He Muqad’dim Awr Ghaf’faar
Wo He Muhaymin Awr Jab’baar
Wo He Mu-akh’khir Awr Qah’haar
Wo He Baasit Awr Sat’taar
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Noor, Musaw’wir Awr Zaahir
Baatin, Aw’wal Awr Aakhir
Waajid, Maajid Awr Qaadir
Mu’min Mutakab’bir, Qaahir
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Taw’waab o Mughni, Haadi
Muqsit, Muhyee, Mumeet, Ghani
Muntaqim o Qay’yoom o Qawi
Muqtadir o Waasi’, Muhsi
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Mubdee o Jaleel o Hafeez o Majeed
Mu’tee o Wakeel o Salaam o Mu’eed
Wo He Lateef o Wadood o Waheed
Awr Shaheed o Hameed o Rasheed
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Wo He Jaw’waad o ‘Afoo o ‘Atoof;
Azali, Abadi He Ma’roof
Yasrif ‘An’na Jamee’a Saroof,
Mawlal Kul’li Wa Huwa Ra-oof
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Wo He Muheet e Ins o Jaañ,
Wo He Muheet e Jism o Jaañ
Wo He Muheet Kul Az Maañ,
Wo He Muheet e Kaun o Makaañ
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Wo He Muqeet o Mu’iz’z o Mudhil,
Wo He Hafeez o Naseer Ay Dil
Baad o Aatish o Aab o Gil,
Sub Ka Wo Hee He Faa’il
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Maad’de Us Ne Paida Kiye,
Us Ke Amr e Kun Se Banay
Dawr o Tasalsul Ke Jhag’re,
Amr e Haq Se Qat’a Huwe
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Qaabidh o Baa’ith, Khaaliq He,
Khaafidh o Waarith, Raaziq He
Jo He Us Ka Aashiq He,
Ghayr e Naatiq, Naatiq He
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Ko-ee Na Us Saa Saabiq He,
Ko-ee Na Us Se Laahiq He
Kaun Thana Ke Laa’iq He,
Naatiq, Ghayr e Naatiq He
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Sub Haiñ Haadith, Wo He Qadeem,
Ko-ee Nahiñ He Us Ka Nadeem
Paida Us Ne Kiye Haiñ Fakheem,
Awr Usee Ne Banaa-e La-eem
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Ek Hee He Wo Be Shak Ek,
Banda Us Ka Har Bud o Neyk
Kaafir Dil Me Us Se Ateyk,
Apne Dil Ki He Yahee Teyk
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Saajhee Na Us Ka Ko-ee Shareek,
Wahee Malik He, Wahi Maleek
Paak Makaañ Se Awr Nazdeek,
Dekhe Sunay Past o Baareek
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Wo He Munaz’zah Shirkat Se,
Paak Sukoon o Harkat Se
Kaam Haiñ Us Ke Hikmat Se,
Karta He Sub Qudrat Se
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Ek Wajood e Haqeeqi Tha,
Ghayr Sarasar Faani Huwa
Haq Beeñ Nazar Se Jub Dekha,
Barmala Keh Uth’thay ‘Uqala
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Baaqi Wajood e Haqeeqat Tha,
Baaqi Yaksar Manfi Huwa
Keh Uth’thay Ye Ba’az ‘Urafa,
Maa Fee Hub’bi Il’l-Allah
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Har, Har Zar’rah, Har Qatrah,
Shaahid He Har-Har Lamha,
Us Ki Qudrat o San’at Ka,
Yakta’ee o Wahdat Ka
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Allah Waahid o Yakta He,
Ek Khuda Bus Tanha He,
Ko-ee Na Us Ka Hamta He,
Ek Hee Sub Ki Sunta He
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Ek Na Hota Gar Allah,
Kaise Rehte Ard o Samaa
Hota Na Ek Mohtaaj Ek Ka,
Kis Liye Ye Us Se Milta
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Sota, Peeta, Khaata Nahiñ,
Us Ka Rishta Naata Nahiñ
Us Ke Pita Awr Maata Nahiñ,
Us Ke Jawroo Jaata Nahiñ
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Jahl o Zulm o Kizb o Zina,
Khwaari, Maykhwaari, Saraqa
Us Se Mumkin Jis Ne Kaha,
Laa Rayb Us Ne Kufr Kiya
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Rooh Nahiñ He Wo Na Jaseem,
Maqsim He Wo Na Qism o Qaseem
Us Ke Sifaat o Asmaa Qadeem,
Ye He Apna Deen e Qaweem
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

He Wo Zamaan o Jehaat Se Paak,
Wo Zameem e Sifaat Se Paak
Wo Saare Muhaalaat Se Paak,
Wo He Sub Haalaat Se Paak
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Paak He Ayboñ Se Maula
Ayb Ko Us Se ‘Ilaaqa Kya
Ayb Us Ka Saaleh Na Huwa
Ho Muta’allaq Qudrat Ka
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Roshan He Ye Jaise Din
Us Ka Talaw’wuth Na Mumkin
Waaqi’ Kehta He Mohan
Awr Phir Banta He Momin
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Man Asdaq Minhu Qeela
Man Asdaq Minhu Hadeetha
Kaisa-Kaisa Rab’b Ne Kaha
Munkir Ek Nahi Sunta
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Sidq e Rab’b Jub Waajib He
Kizb Muhaal Ay Khaa-ib He
Jam’e Do Zidd Kab Jaa-iz He
Aql Kahaañ Teri Ghaa-ib He
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Uska Khaa-e Aw Munkir
Awr Ghuraa-e Aw Kaafir
Kaun He Deta Aw Ghaadir
Us Ke Siwahaañ Aw Faajir
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Me Huñ Banda Wo Maula
Kaun He Apna Us Ke Siwa
Me Huñ Us Ka Wo He Mera
Jis Ne Banaaya Awr Paala
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Chaar ‘Anaasir Paida Kiye
Jo Sub Aapas Me Zidd The
Ek Girah Me Kaise Bandhe
Yakja Kaise Jama’ Huwe
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Aankhoñ Me Wo He, Sar Me Wo
Dil Me Wo He, Jigar Me Wo
Sama’ Me Wo He, Basar Me Wo
Taba’ Me Wo He, Fikr Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Noor Me Wo He Nazar Me Wo
Shams Me Wo He Qamar Me Wo
Abr Me Wo He Gohar Me Wo
Koh Me Wo He Hajar Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Parwaana Me, Par Me Wo
Sham’a Me Wo He, Sharar Me Wo
Daa o Dawa Awr Athar Me Wo
Nafa’ Me Wo He, Zarar Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Tukhm Me Wo He, Shajar Me Wo
Shaakh Me Wo He, Thamar Me Wo
Maah Me Wo He, Badr Me Wo
Behr Me Wo He, Bar Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Sawz Me Wo He, Saaz Me Wo
Naaz Me Wo Andaaz Me Wo
Husn e But Zan’naaz Me Wo,
Ishq Ke Raaz o Niyaz Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Tu Me Wo He, Man Me Wo
Jaan Me Wo He Tan Me Wo
Aabaadi Me He, Ban Me Wo
Sirr Me Wo He ‘Ilan Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah
Juz Me Wo He, Kul Me Wo
Rang o Bu e Gul Me Wo
Afghaan e Bulbul Me Wo
Naghmaat e Qul-Qul Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah
Qurb o Liqa o Wasl Me Wo
Bu’ad o Firaaq o Fasl Me Wo
Farz Me Wo He Nafil Me Wo
Asl Me Wo He, Naql Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah
Fath o Zam o Jar Me Wo
Pesh o Zer o Zabar Me Wo
Een o Aan o Digar Me Wo
Is Me Us Me, Har Me Wo
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Bulbul Tooti Parwaana
Har Ik Us Ka Diwaana
Qumri Kis Ka Mastaana
Kaun Chakor Ka Jaanana
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Sham’a o Gul o Sarw o Saraat
Haiñ Miraat Lihaaz e Zaat
Warna Hayhaat o Hayhaat
Poochta Ko-ee Un Ki Baat
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Khud Gil e Kooza o Kooza Gar
Khud Kooza o Khud Kooza Bar
Qawl e Roomi Kar Baawar
Imaañ He Ay Kora Kar
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Jalwe Uske Haiñ Har Jaa
Zaat He Us Ki Jaa Se Wara
Qudrat Se Wo Un Me Huwa
Zaat Me He Wo Sub Se Juda
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Nit Naye Jalwe Haiñ Har Aan
Kul’la Yawmin Huwa Fee Shaan
Khud Hee Dard o Khud Darmaañ
Khud Hee Dast o Khud Daamaañ
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Har Dil Me He Us Ki Lagan
Aankhoñ Me Wo He Noor Afgan
Kya Sehra Awr Kya Gulshan
Mehr e Wajood Ki Ek Kiran
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Sarw o Sumbul Awr Saman
Shamshaad o Sanobar Awr Sawsan
Nargis, Nasreeñ Saara Chaman
Us Ki Thana Me Naghma Zan
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Apne Karam Se Rab’b e Kareem,
Hum Pe Kiye Ehsaan e Azeem
Bheja Hum Me Ba-Fazl e ‘Ameem,
Bahr e Karam Ka Durr e Yateem
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Apne Mazhar e Aw’wal Ko
Apne Habeeb e Ajmal Ko
Pehle Nabi e Afzal Ko
Pichle Mursal e Akmal Ko
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah
Wo Jinheñ Anfas Farmaaya
Behtar, Bartar, A’laa Kiya
Wo Rutbah Un Ko Bakhsha
Ko-ee Nahiñ Jo Paa Sakta
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Aisi Fazeelateñ Un Ko Dee
Jin Ka Misl Imkaañ Me Nahi
Rooh e Rawaan e Khuld e Bareeñ
Nakhl e Jahaan Ke Asl Mateeñ
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Naa-ib e Hazrat e Haq e Mateeñ
Shaahanshah e Charkh o Zameeñ
Waali e Takht e Arsh e Bareeñ
Raahat e Jaañ o Qalb e Hazeeñ
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Mawj e Aw’wal Behr e Qidam
Mawj e Aakhir Behr e Karam
Sub Se A’laa Awr Aa’zam
Sub Se Awla Awr Akram
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Jin Ko Banaaya Apne Liye
Sub Ko Banaaya Jin Ke Liye
Kab Unheñ De Ke Un Se Liye
Par Sub Ch’oray Tere Liye
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Noor Se Apne Paida Kiya,
Noor e Habeeb e Rab’b e ‘Ulaa
Phir Us Noor Ko Hissa Kiya
Un Se Banaaya Jo He Bana
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Zaat Ka Apni Aa-ina
Be Misl o Nazeer o Be Hamta
Khalq Kiya Qabl Az Ashyaa
Awr Nubuw’wat Kar Dee Ataa
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Jub Haq Ko Huwa Ye Manzoor
Aalam Par Farmaa-e Zuhoor
Ho Khud Ma’roof o Mazkoor
Jalbaab e Khifa Kar De Door
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Qaalib e Aadam Khalq Kiya
Rooh Dar Aa-e Hukm Huwa
Rooh Dar Aa-ee Jub Dekha
Putlay Me He Noor e Khuda
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Aadam o Aalam Paida Huwe
Noor Se Saare Huwaida Huwe
Jo-Jo Us Par Shaida Huwe
Rab’b Ke Wahee Garweeda Huwe
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Lauh e Jabeen e Sayyiduna
Aadam Me Wo Noor e Khuda
Jub Taali’ Huwa To Un Ka
Taali’ Qismat Bhi Chamka
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Noor e Khuda Ki Barkat Thee
Rehne Ko Jannat Paa-ee
Nudrat, Dawlat, Ilm Milee
Awr Aadam Huwe Haq Ke Nabi
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Haq Ne Ilm e Asmaa Diya
Jo Na Malaa-ik Ko Bakhsha
Wo Malika Farmaaya Ataa
Un Par In Ko Ghalba Diya
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Aadam Ko Sharf Aisa Mila
Aadami Ashraf e Khalq Huwa
Un Ko Khalifa Haq Ne Kiya
Taaj e Karaamat Sar Pe Rakha
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Waasta Ye Us Noor Ka Tha
Hazrat e Insaañ Qibla Bana
Saare Farishtoñ Ne Sajda
Pesh e Safiyul’laah Kiya
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Paak Giroh e Muqad’das Ka
Ek Al’laama Mu’allim Tha
Qawm Jinn Se Tha Paida
Tha Usay Ghar’rah Ibaadat Ka
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Jub Sajda Ka Hukm Huwa
Sub Ne Kiya, Us Ne Na Kiya
Awr Mutakab’bir Ne Ye Baka
Ye Mit’tee, Me Angaara
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Usko Aab o Gil Soojha
Munkir Ho Kar Shaitaañ Bana
Jin Ke Sabab Wo Hukm Huwa
Us Ne Wo Noor Nahiñ Dekha
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Yaari Jo Noor Nahiñ Karta
Dekhte Kaise Fawq e Samaa
Naam e Habeeb o Naam e Khuda
Saaq e Arsh Pe Likha Huwa
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Josh Par Aaya Rahm Ka Darya
Jub Sayyiduna Aadam Ne Diya
Waasta Us Noor e Khuda Ka
Maqbool Huwi Yuñ Tauba
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Jub Hazrat Ka Jee Na Laga
Tanha-ee Se Ghabra Ut’haa
Dil Jam’ee Ke Liye Haw’wa
Khalq Ki Be Misl o Hamta
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Haw’wa Se Jub Aadam Ka
Ahed e Mahr Durood Huwa
Aadam Se Wo Noor e Khuda
Zawja Ko Tafweez Huwa
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Peshaani e Sheeth Me Aaya
Salboñ Rahmoñ Me Hota
Peshaani e Nooh Me Aaya
Phir Aise Hee Aage Bar’haa
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Hazrat Noor Najiyul’laah
Aadam e Thaani Aalam Ka
Yaar Na Gar Ye Noor Hota
Un Ka Safina Kab Tirta
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Ibraheem Khaleelul’laah
Aag Me Jin Ko Daala Gaya
Un Ka Haami Noor Huwa
Naar Ka Buq’aa Baagh Bana
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Taahir Salboñ Me Hota
Paak Arhaam Me Rehta Huwa
Hona Chaaha Jalwa Numa
Batn e Aamina Me Aaya
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Aamina Ne Ye Farmaaya
Hamal Ki Kulfat Thee Na Zara
Jitna Qareeñ Az Waz’a Huwa
Me Sunti Zyaada Marhaba
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Maah e Aw’wal Me Aadam
Doosre Me Idrees Afkham
Teesre Me Nooh e Akram
Chowthe Me Khaleel e Arham
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Paanchweñ Me Isma’eel
Chat’weñ Me Kaleem e Jaleel
Saathweeñ Me Dawood e Jameel
Hashtum Me Sulaiman e Jaleel
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Maah e Nahum Hazrat e Esa
Aa-e Mujh Ko Muzhdah Diya
Us Moulood e Mubaarak Ka
Awr Roohul’laah Ne Bhi Kaha
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Sun Lo! Jub Ye Noor e Khuda
Paida Ho To Tum Iska
Naam e Paak Ahmad Rakhna
Sal’la Alaihi Daa-ima
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Awr Kisi Ne Ye Bhi Kahaa
Khwaab Me Mujh Se Aamina
Peyth Me Tere Ummat Ka
Sardaar He Allah-Allah
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Peyth Me Thay Jub Ye Sarkaar
Us Se Pehle Ke Azkaar
Khushk Thay Sub Barg o Ashjaar
Sookh Gaye Thay Ab Athmaar
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah
Be Saaz o Bargee Ke Siwa
Ko-ee Phala Awr Phoola Na Tha,
Batn Me Jalwa Farma Tha,
Jub Ke Huwa Wo Noor e Khuda
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah
Qawm Masaa-ib Ki Thee Shikaar
Awr Aafatoñ Se Thee Do Chaar
Awr Zulmoñ Ki Thee Bharmaar
Ek Ko Ik Karta Na Chaar
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

Maula Dil Ka Zang Chur’a
Qalb e Noori Paa-e Jilaa
Dil Ko Kar De Aa-ina
Jis Me Chamke Ye Kalima
Laa Ilaaha Il’l-Allah
Aaman’na Bi Rasoolillah

 

SHAHE WAALA

Par’huñ Wo Matla’ e Noori Thana e Mahr e Anwar Ka
Ho Jis Se Qalb Roshan Jaise Matla’ Mahr e Mahshar Ka

Sar E Arsh e ‘Ulaa Pahuncha Qadam Jub Mere Sarwar Ka
Zubaan e Qudsiyaañ Par Shor Tha ‘Allahu Akbar’ Ka

Bana Arsh e Bareeñ Masnad Kaf e Paa-e Munaw’war Ka
Khuda Hee Jaanta He Martaba Sarkaar Ke Sar Ka

Do Aalam Sadqa Paate Haiñ Mere Sarkaar Ke Dar Ka
Isee Sarkaar Se Milta He Jo Kuch He Muqad’dar Ka

Bar’ay Darbaar Me Pahunchaaya Mujh Ko Meri Qismat Ne
Me Sadqe Jaa-uñ, Kya Kehna Mere Ach’che Muqad’dar Ka

He Khushk o Tar Pe Qabza Jis Ka Wo Shaah e Jahaañ Ye He
Yahi He Baadsha Bar Ka, Yahi Sultañ Samandar Ka

Mit’ay Zulmat Jahaañ Ki Noor Ka Tar’ka Ho Aalam Me
Naqaab e Roo e Anwar Ay Mere Khursheed Ab Sarka

Zia Bakhshi Teri Sarkaar Ki Aalam Pe Roshan He
Mah o Khursheed Sadqah Paate Haiñ Pyaare Tere Dar Ka

Nigaah e Mahr Se Apni Banaaya Mahr Zar’roñ Ko
Ilaahi! Noor Din Doona Ho Mahr e Zar’ra Parwar Ka

Tabaq Par Aasmaañ Ke Likhta Me Na’at e Shah e Waala
Qalam Ay Kaash Mil Jaata Mujhe Jibreel Ke Par Ka

Maqaabil Un Ke Zar’rah Ke Zara Saa Munh Nikal Aaya
Bahut Shohra Suna Karte Thay Hum Khursheed Mahshar Ka

Jamaal e Haq Numa Dekheñ, Ayaañ Noor e Khuda Paa-eñ
Kaleem Aa-eñ, Hata Dekheñ, Zara Pardah Tere Dar Ka

Na Saaya Rooh Ka Har Giz Na Saaya Noor Ka Har Giz
To Saaya Kaisa Us Jaan e Jahaañ Ke Jism e Anwar Ka

Wo Aa-ina Agar Dekheñ, To Apne Aap Ko Dekheñ
Kahaañ He Aa-ina Me Awr Ko-ee Un Ke Baraabar Ka

Muhaal e Aql He Tera Mumaathil Ay Mere Sarwar
Tawah’hum Kar Nahiñ Sakta He Aaqil Tere Hum-sar Ka

Khuda Shaahid, Raza Ka Aap Ki Taalib Khuda Hoga
Ta’aal-Allah Rutbah Mere Haami Mere Yaawar Ka
Allah Is Witness! It Is Your Happiness That Almighty Allah Is Willing
How Exalted Is The Excellence Of My Aid, My Patron & My King!

Daba Jaata Pija Jaata Huñ Me Aaqa, Duha-ee He
Ye Bhaari Bojh ‘Isyaañ Ka Mere Sar Ka Zara Sarka

Bujhegi Sharbat e Deedar Hee Se Tishnagi Apni
Tumhari Deed Ka Pyaasa Huñ, Yuñ Pyaasa Huñ Kawthar Ka

Zubaañ Par Jam Ga-e Kaante He Saara Halq Khushk Apna
Shaheed e Karbala Ka Sadqa, Do Ek Jaam Kawthar Ka

Kamee Kuch Bhi Khazaane Me Tumhari Ho Nahiñ Sakti
Tumheñ Haq Ne Ata Farma Diya Jub Chashma Kawthar Ka

Jo Aab o Taab e Dandaan e Munaw’war Dekh Luñ Noori
Mera Bahre Sukhan Sar Chashma Ho Khush Aab e Gohar Ka

 

 

Wasf Kya Likhay Ko-ee Us Mahbit e Anwaar Ka

 

 

Wasf Kya Likhay Ko-ee Us Mahbit e Anwaar Ka
Mahr o Maah Me Jalwa He Jis Chaand Se Rukhsaar Ka

Arsh e Azam Par Fareyra He Shah e Abraar Ka
Bajta He Kaunain Me ‘Danka Mere Sarkaar Ka

Do Jahaañ Me Bat’-ta He Baar’a Isee Sarkaar Ka
Donoñ Aalam Paate Haiñ Sadqa Isee Darbaar Ka

Jaari He Aat’hoñ Peher, Langar Sakhi Darbaar Ka
Faiz Par Har Dam He Darya Ahmad e Mukhtar Ka

Rauza e Waala e Taiba, Makhzan e Anwaar He
Kya Kahuñ Aalam Me Tujh Se Jalwa Gaah e Yaar Ka

Dil He Kis Ka, Jaan Kis Ki, Sub Ke Maalik Haiñ Wahee
Donoñ Aalam Par He Qabza Ahmad e Mukhtar Ka

Kya Kare Sonay Ka Kushtah, Kushtah Teere E Ishq Ka
Deed Ka Pyaasa Kare Kya Sharbat e Dinaar Ka

Faq Ho Chehra Mahr o Maah Ka, Aise Munh Ke Saamne
Jis Ko Qismat Se Milay Bosa Teri Pezaar Ka

Laat Maari Tum Ne Dunya Par, Agar Tum Chahate
Silsila Sonay Ka Hota Silsila Kohsaar Ka

Me Teri Rahmat Ke Qurbaañ Ay Mere Amn o Amaañ
Ko-ee Bhi Pursaañ Nahiñ He Mujh Se Bud Kirdaar Ka

Haiñ Ma’aasi Hud Se Baahar Phir Bhi Zaahid Gham Nahiñ
Rahmat e Aalam Ki Ummat, Banda Huñ Ghaf’faar Ka

Tu He Rahmat, Baab e Rahmat Tera Darwaza Huwa
Saaya e Fazl e Khuda Saaya Teri Deewaar Ka

Kaa’ba o Aqsa o Arsh o Khuld Haiñ Noori Magar
He Niraala Sub Se Aalam Jalwa Gaah e Yaar Ka

 

Kun Ka Haakim Kar Diya Allah Ne Sarkaar Ko

 

Kun Ka Haakim Kar Diya Allah Ne Sarkaar Ko
Kaam Shaakhoñ Se Liya He Aap Ne Talwaar Ka

Kuch Arab Par Hee Nahiñ Mawqoof Ay Shaah e Jahaañ
Lowha Maana Ek Aalam Ne Teri Talwaar Ka

Kaat Kar Ye Khud Sar Hee Me Ghus Ke Bhejaa Chaat Le
Kaat Aisa He Tumhari, Kaath Ki Talwaar Ka

Is Kinaare Hum Khare Haiñ, Paat’ Aisa Dhaar Ye
Al Madad Ay Nakhuda, He Qis’sa Apne Paar Ka

Rab’bi Sal’lim Ki Dua Se Paar Beyr’a Kijiye
Raah He Talwaar Par, Neeche He Darya Naar Ka

Tu He Wo Shireeñ Dahan, Khaari Kooweñ Shireeñ Huwe
Unko Kaafi Ho Gaya, Aab E Dahan Ek Baar Ka

Jis Ne Jo Maanga Wo Paaya Awr Be Maange Diya
Paak Munh Par Harf Aaya Hee Nahiñ Inkaar Ka

Dil Me Ghar Karta He A’daa Ke, Tera Shireeñ Sukhan
He Mere Shireeñ Sukhan Shohrah Teri Guftaar Ka

Zulmat e Marqad Ka Andesha Ho Kyuñ Noori Mujhe
Qalb Me He Jub Mere Jalwa Jamaal e Yaar Ka

 

LA MAKAAÑ KIS KA? MERE SARKAAR KA

 

Chaarah-gar He Dil To Ghaa-il Ishq Ki Talwaar Ka
Kya Karuñ Me Le Ke Phaahaa Marham e Zangaar Ka

Roo Kash e Khuld e Bareeñ He Dekh Koocha Yaar Ka
Haif! Bulbul Ab Agar Le Naam Tu Gulzaar Ka

Husn Ki Be Pardagi Pardah He Aankhoñ Ke Liye
Khud Tajal’li Aap Hee, Pardah He Roo e Yaar Ka

Husn To Be Pardah He, Pardah He Apni Aankh Par
Dil Ki Aankhoñ Se Nahiñ He, Pardah Roo e Yaar Ka

Ek Jhalak Ka Dekhna Aankhoñ Se, Go Mumkin Nahiñ
Phir Bhi Aalam Dil Se Taalib, He Tere Deedaar Ka

Tere Baagh e Husn Ki, Ronaq Ka Kya Aalam Kahuñ
Aaftaab Ek Zard Pat’ta He Tere Gulzaar Ka

Kab Chamakta Ye Hilaal e Aasmaañ Har Maah Yuñ
Jo Na Hota Us Pe Partaw Abroo e Sarkaar Ka

Jaag Uthee So-ee Qismat, Awr Chamak Uthaa Naseeb
Jub Tasaw’wur Me Samaaya, Roo e Anwar Yaar Ka

Hasrat e Deedaar Dil Me, Awr Aankheñ Beh Chaleeñ
Tu Hee Waali He Khudaya Deedah e Khooñ Baar Ka

Bheek Apne Marham e Deedaar Ki Kar Do Ataa
Chaahe Kuch Munh Bhi Karna Zakhm Daaman Daar Ka

Kaam Nashtar Ka Kiya Naasih, Naseehat Ne Teri
Cheer Daala Awr Daaman, Zakhm e Daaman Daar Ka

Yuñ Hee Kuch Ach’cha Madaawa Is Ka Hoga Bakhiya Gar
Chaak Kar Daaluñ Garibaañ Zakhm e Daaman Daar Ka

Az Sar e Baaleen e Man Bar Khaiz Ay Naadaañ Tabeeb
Ho Chuka Tujh Se Madaawa Ishq Ke Bimaar Ka

Fitne Jo Uthay Mit’a Daale Rawish Ne Aap Ki
Kyuñ Na Ho Dushman Bhi Qaa-il Khoobi e Raftaar Ka

Chokar’i Bhoola Buraaq e Baad e Paa Ye Dekh Kar
He Qadam Dosh e Saba Par Us Subuk Raftaar Ka

Ko-ee Dam Ki Deyr He, Aate Haiñ Dam Ki Deyr He
Ab Chamakta He Muqad’dar, Taalib E Deedaar Ka

Jub Gira Me Bekhudi Me Un Ke Qadmoñ Par Gira
Kaam To Me Ne Kiya Ach’che Bhale Hushyaar Ka

Aabla Paa Chal Raha He, Bekhudi Me Sar Ke Bal
Kaam Diwaana Bhi Karta He Kabhi Hushyaar Ka

Aabloñ Ke Sub Kat’ore Aah Khaali Hogaye
Munh Abhi Tar Bhi Na Hone Paaya Tha Har Khaar Ka

Aable Kam Maa-egi Par Apni Ro-eñ Raat Din
Sookh Kar Kaanta Huwa, Dekheñ Badan Har Khaar Ka

Waa Isee Birte Pe Tha Ye Tataa Paani Waah Waah
Pyaas Kya Bujhti, Dahan Bhi Tar Nahi Har Khaar Ka

Paa-oñ Me Chubhte Thay Pehle, Ab To Dil Me Chubhte Haiñ
Yaad Aata He Mujhe Rah-Rah Ke Chubhna Khaar Ka

Paa-oñ Kya, Me Dil Me Rakh Luñ, Paawuñ Jo Taiba Ke Khaar
Mujh Se Showreeda Ko Kya Khatka Ho Nowk e Khaar Ka

Raah Par Kaante Bichay Haiñ, Kaantoñ Par Chalni He Raah
Har Qadam He Dil Me Khat’ka, Us Rah e Pur Khaar Ka

Khaar e Gul Se Dahr Me, Ko-ee Chaman Khaali Nahiñ
Ye Madina He Ke He Gulshan Gul e Be Khaar Ka

Gul Ho Sehra Me To Bulbul Ke Liye Sehra Chaman
Gul Na Ho Gulshan Me To Gulshan He Ek Ban Khaar Ka

Gul Se Matlab He Jahaañ Ho Andaleeb e Zaar Ko
Gul Na Ho To Kya Kare Bulbul Kaho Gulzaar Ka

Phir Se Ho Jaa-e Na Aalam Me Kaheeñ Toofaan e Nooh
Lo Ubalta He Samandar Apni Chashm e Zaar Ka

Dhajiyaañ Ho Jaa-e Daaman Fard e ‘Isyaañ Ka Meri
Haath Aa Jaa-e Jo Gosha Daaman e Dildaar Ka

Kawthar o Tasneem Se, Dil Ki Lagee Bujh Jaa-egi
Me To Pyaasa Huñ Kissi Ke Sharbat e Deedaar Ka

Aa-ina e Khaana Me Un Ke Tujh Se Sad’haa Mehr Haiñ
Mehr Kis Munh Se Kiya, He Hawsla Deedaar Ka

Jalwagaah e Khaas Ka, Aalam Bataa-e Ko-ee Kya
Mehr e Aalam Taab He, Zar’rah Hareem e Yaar Ka

Haft Kishwar Hee Nahiñ, Chowda Tabaq Roshan Kiye
Arsh o Kursi Laa Makaañ, Par Bhi He Jalwa Yaar Ka

Zard Roo Kyuñ Ho Gaya Khursheed Taabaañ Sach Bata
Dekh Paaya Jalwah Kya, Us Matla’e Anwaar Ka

Haft Kishwar Hee Nahiñ Chowda Tabaq Zer e Nageeñ
Arsh o Kursi Laa Makaañ, Kis Ka Mere Sarkaar Ka

Ye Mah o Khur, Ye Sitaare, Charkh Ke Faanoos Haiñ
Shama’e Roshan Me He, Jalwa Tere Rukhsaar Ka

Marqad e Noori Pe Roshan, He Ye La’al e Shab Chiraagh
Yaa Chamakta He Sitaara, Aap Ki Pezaar Ka

MAQBOOL DUA KARNA

Maqbool Dua Karna, Manzoor Thana Karna
Midhat Ka Sila Deyna, Maqbool Thana Karna

Dil Zikr e Shareef Unka, Har Subho Masa Karna
Din Raat Japaa Karna, Har Aan Rat’aa Karna

Seene Pe Qadam Rakhna, Dil Shaad Mera Karna
Dard e Dil e Muztar Ki, Sarkaar Dawa Karna

Sansaar Bhikaari He, Jag Daata Daya Karna
He Kaam Tumhara Hee, Sarkaar Ataa Karna

Kab Aap Ke Kooche Me, Mangta Ko Sada Karna
Khud Bheek Liye Tum Ko, Mangta Ko Nida Karna

Din Raat He Taiba Me, Dawlat Ka Lut’a Karna
Mangta Ki Dawa Karna, Mangta Ka Bhalaa Karna

Hum Ain e Jafa Hee Haiñ, Hum Ko To Jafa Karna
Awr Tum To Karam Hum Par, Ai Jaan e Wafa Karna

Din Raat Khata-oñ Par, Hum Ko He Khata Karna
Awr Tum Ko Ataa-oñ Par, Har Dum He Ataa Karna

Hum Apni Khata-oñ Par, Naadim Bhi Nahiñ Hote
Awr Un Ko Ataa-oñ Par, Har Baar Ataa Karna

Hum Aap Hee, Apne Par, Karte Haiñ Sitam, Hud Bhar
Awr Un Ko Karam Hum Par, He Hud Se Siwa Karna

He Aath Peher Jaari, Langar Mere Daata Ka
Har Aan He Sarkaari, Baar’ay Ka Lut’a Karna

Mahroom Nahiñ Jis Se, Makhlooq Me Ko-ee Bhi
Wo Faiz Unheñ Dena, Wo Jood o Sakha Karna

He Aaam Karam Unka, Apne Hoñ, Ke Hoñ A’daa
Aata Hee Nahiñ Goya, Sarkaar Ko Laa Karna

Mahroom Gaya Ko-ee, Maayoos Phira Ko-ee
Dekha Na Suna Unka, Inkaar o Ibaa Karna

Maayoos Gaya Ko-ee, Mahroom Phira Ko-ee
Dunya Ke Salaateeñ Ko, Kab Aaya Ataa Karna

Dukh Dard Kaheñ Kis Se, Ye Kaam To Haiñ Un Ke
Faryaad Suna Karna, Awr Daad Diya Karna

Wal’laah Wo Sun Lenge, Awr Dil Ki Dawa Denge
Be Kaar Na Jaa-ega, Faryaad o Bukaa Karna

A’daa Ko Khuda Waala, Jub Tum Ne Bana Daala
Dushwaar He Tum Par Kya, Mujh Bud Ka Bhalaa Karna

Soohkhi He Meri Kheyti, Par’ Jaa-e Bharan Teri
Ay Abr e Karam Itna, Tu Bahr e Khuda Karna

Jo Sokhta Hayzam Ko, Chaaho To Hara Kar Do
Mujh Sokhta Jaañ Ka Bhi, Dil Pyaare Hara Karna

Taiba Me Bula Lena, Awr Apna Bana Lena
Qaidi Gham E Furqat Ke, Sarkaar Riha Karna

Hum Arz Kiye Jaa-eñ, Sarkaar Sunay Jaa-eñ
Kya Door Karam Se He, Din Aisa Shaha Karna

Sang e Dar e Sarwar Par, Rakh’kha Huwa Ho Ye Sar
Ay Kaash Ho Qismat Me, Is Tarha Qaza Karna

Khil Jaa-eñ Chaman Dil Ke, Awr Huzn Mit’eñ Dil Ke
Taiba Se Sabaa Aa Ke, Imdaad Zara Karna

Har Daagh Mit’aa Dena, Awr Dil Ko Shifa Dena
Aa-ina Bana Dena Aisi To Jilaa Karna

Sarwar He Wahee Sarwar, Ay Sarwar e Har Sarwar
He Aap Ke Qadmoñ Par, Sar Jis Ko Fida Karna

Shohra Lab e Esa Ka, Jis Baat Me He Maula
Tum Jaan E Maseeha Ho, Thokar’ Se Adaa Karna

Tu Jaan e Maseeha Se, Haalat Meri Jaa Kehna
Itna To Karam Mujh Par, Ay Baad e Saba Karna

Parde Me Jo Rehte Ho, Pardah He Chale Aawo
Aankhoñ Me Basa Karna, Tum Dil Me Raha Karna

Uff! Kaisi Qiyaamat He, Ye Roz e Qiyaamat Bhi
Sooraj He Wahiñ Qaa-im, Bhoola He Dhala Karna

Lillah Hameñ Maula, Daaman Ke Talay Le Lo
Hum Kaisi Balaa Me Haiñ, Haañ Radd e Balaa Karna

Ye Zil’l e Karaamat He, Hum Saaya e Rahmat He
Ye Saaya e Raafat He, Daaman Zaraa Waa Karna

Ay Zil’l e Khuda Saaya, He Aaj Kahaañ Paaya
Hum Saaye Ko Aaye Haiñ, Tum Saaya Zara Karna

Lab Tishna He Go Saaqi, Tishna Teri Rooyat Ka
Rooyat Jo Na Ho Teri, To Jaan Ka Kya Karna

Huñ Tishna Magar Saaqi, Deedaar Ke Sharbat Ka
Ek Jaam Mujhe Pyaare, Lil’laah Ataa Karna

Tishna Me Nahiñ Is Ka, Tishna Huñ Me Rooyat Ka
Saaqi Mujhe Kawthar Ke, Saaghar Ko He Kya Karna

He Pyaas Se Haal Abtar, Nikli He Zabaañ Baahar
Ik Jaam Mujhe Sarwar, Kawthar Ka Ataa Karna

Jo Dil Se Tujhe Chaaheñ, Jo Ayb Tere Dhaampeñ
Ay Nafs Tujhe Un Se, Kam Bakht Dagha Karna

Wo Tera Bura Chaaheñ! Mumkin Hee Nahiñ Un Se
A’daa Ki Bhala-i Ki, Jin Ko He Dua Karna

Dunya Banay Ya Bigr’e, Dunya Rahe Ya Jaa-e
Tu Deen Banaa Pyaare, Dunya Ka He Kya Karna

Khaaya Piya Awr Pehna, Ach’choñ Se Raha Ach’cha
Kuch Deen Ka Bhi Kar Le, Dunya Ka He Kya Karna

Qismat Me Gham e Dunya, Jannat Ka Qabaalah Ho
Taqdeer Me Likha Ho, Jannat Ka Maza Karna

Dunya Me Jo Rotay Haiñ, Uqba Me Wo Hanste Haiñ
Dunya Me Jo Hanste Haiñ, Un Ko He Kur’ha Karna

Moosa Huwe Ghash Jis Se, Awr Toor Jalaa Jis Se
Wo Jalwa Mere Dil Par, Ay Noor e Khuda Karna

Barbaad Na Ho Mit’tee, Is Khaak Ke Putlay Ki
Allah Mujhe Un Ki, Khaak e Kaf e Paa Karna

Kyuñ Naqsh E Kaf e Paa Ko, Dil Se Na Lagaa-e Wo
He Aa-ina e Dil Ki Noori Ko Jilaa Karna

 

KAISI PURNOOR HE JANNAT

 

Kaun Aisa He Jisay, Khayr e Wara Ne Na Diya
Ko-ee Aisa Bhi He Kya, Jis Ko Khuda Ne Na Diya

Aap Ke Deen Ka Munkir He, Nira Na Shukra
Ko-ee Kaafir Hee Kahega, Ke Khuda Ne Na Diya

Jis Ko Tum Ne Diya, Allah Ne Us Ko Bakshsha
Jis Ko Tum Ne Na Diya, Us Ko Khuda Ne Na Diya

Aap Ke Rab’b Ne Diya, Aap Ko Fazl e Kul’li
Wo Diya Tum Ko, Jo Awroñ Ko, Khuda Ne Na Diya

Wo Fazaa-il Tumheñ Bakhshay Haiñ, Khuda Ne Jin Ka
Aap Ke Ghayr Me Imkaan, Bhi Aane Na Diya

Mithl Mumkin Hee Nahiñ He, Tera Ay Laa-Thaani
Wahm Ne Bhi, To Tera Mithl Samaane Na Diya

Aap Ka Jor’a Ka Aa-e, To Kahaañ Se Aa-e
Jub Wujood Us Ko, Shah e Ard o Sama Ne Na Diya

Adam o Nooh, Baraheem, Kaleem o Esa
Un Ko Sub Ko Mila Kya Rab’b e Ulaa Ne Na Diya

Bawajood Iske Tumheñ Jo Mila, Un Ko Na Mila
Aap Ka Rutbah Kisi Ko Bhi, Khuda Ne Na Diya

Sub Mataalib Mere Bar Aa-e, Karam Se Unke
Ko-ee Matlab Bhi Mere Dil Ka Baraane Na Diya

Kaisi Purnoor He Jannat Ki, Fazaa Ay Noori
Phir Bhi Taiba Ka Mazaa, Us Ki Fazaa Ne Na Diya

 

 

Bakht e Khufta Ne, Mujhe Rauze Pe, Jaane Na Diya

 

 

Bakht e Khufta Ne, Mujhe Rauze Pe, Jaane Na Diya
Chashm o Dil Seene, Kaleje Se, Lagaane Na Diya

Aah Qismat Mujhe, Dunya Ke, Ghamoñ Ne Roka
Haa-e Taqdeer, Ke Taiba, Mujhe Jaane Na Diya

Paa-oñ Thak Jaate, Agar Paa-oñ Banaata, Sar Ko
Sar Ke Bal Jaata, Magar Zo’af Ne, Jaane Na Diya

Itna Kamzor Kiya, Zo’af Qawaa, Ne Mujh Ko
Paa-oñ To Paa-oñ, Mujhe Sar Bhi, Uthaane Na Diya

Sar To Sar, Jaan Se Jaane Ki, Mujhe Hasrat He
Maut Ne Haa-e, Mujhe Jaan Se, Jaane Na Diya

Haal e Dil Khol Ke, Dil Aah, Adaa Kar Na Saka
Itna Mauqa Hee Mujhe, Meri Qaza, Ne Na Diya

Haa-e Is Dil Ki Lagee Ko, Me Bujha-uñ Kyunkar
Fart e Gham Ne, Mujhe Aansu Bhi, Giraane Na Diya

Haath Pakr’e Huwe, Le Jaate, Jo Taiba Mujh Ko
Saath Itna, Bhi To Mere, Rufaqa Ne Na Diya

Sajda Karta, Jo Mujhe Is Ki, Ijaazat Hoti
Kya Karooñ, Izn Mujhe Is Ka, Khuda Ne Na Diya

Hasrat e Sajdah Yunhi, Kuch To, Nikalti Lekin
Sar Bhi, Sarkaar Ne Qadmoñ Pe, Jhukaane Na Diya

Koocha e Dil, Ko Basaa Jaati, Mehak Se Teri
Kaam Itna Bhi, Mujhe Baad E Saba Ne, Na Diya

Kabhi Bimaar e Muhabbat, Bhi Huwe Haiñ Ach’che
Roz Afzooñ He, Maraz Kaam, Dawa Ne Na Diya

Sharbat e Deed Ne, Awr Aag Lagaadi, Dil Me
Tapish e Dil Ko, Bar’haaya He, Bujhaane Na Diya

Ab Kahaañ Jaa-ega, Naqsha Tera, Mere Dil Se
Teh Me Rakh’kha He, Isay Dil Ne, Gumaane Na Diya

Deys Se Un Ke Jo Ulfat He, To Dil Ne Mere
Is Liye, Deys Ka Janglah Bhi, To Gaane Na Diya

Deys Ki Dhun, He Wahi Raag, Alaapa Is Ne
Nafs Ne Haa-e, Khayaal Us Ka, Mitaane Na Diya

Nafs e Badkaar, Ne Dil Par, Ye Qiyaamat Tor’ee
Amal e Neyk, Kiya Bhi, To Chupaane Na Diya

Nafs Bad Kaish He, Kis Baat Ka, Dil Pe Shaaki
Kya Bura Dil Ne Kiya, Zulm Kamaane Na Diya

Mere A’maal Ka Badla, To Jahannam Hee Tha
Me To Jaata, Mujhe Sarkaar Ne, Jaane Na Diya

Mere A’maal e Siyaah Ne, Kiya Jeena Du-bhar
Zehr Khaata, Tere Irshaad Ne, Khaane Na Diya

Awr Chamakti See Gazal Ko-ee, Par’ho Ay Noori
Rang Apna, Abhi Jamne, Shu’ara Ne Na Diya

 

 

JAAN E IMAAÑ HE MUHABBAT TERI

 

 

Qafas Jism Se Chut’tay Hee, Ye Par’raañ Hoga
Murgh e Jaañ, Gumbad e Khazra Pe, Ghazal Khwaañ Hoga

Roz o Shab Marqad e Aqdas Ka, Jo Nigraañ Hoga
Apni Khush Bakhti Pe, Wo Kitna, Na Naazaañ Hoga

Us Ki Qismat Ki Qasam, Khaa-eñ Farishte, To Baja
Eid Ki Tarha, Wo Har Aan Me, Shadaañ Hoga

Us Ki Farhat, Pe Tasad’duq Hoñ, Hazaaroñ Eideñ
Kab Kisi Eid Me, Aisa Ko-ee, Farhaañ Hoga
May Thousands Of Eids Be Sacrificed Upon His Ecstasy,

Chaman e Taiba Me To, Dil Ki Kalee, Khilti He
Kya Madina Se Siwa, Rauza e Rizwaañ Hoga

Wo Gulistaañ He, Jahaañ Aap Hoñ, Ay Jaan e Jinaañ
Aap Sehra Me Agar Aa-eñ, Gulistaañ Hoga

Aap Aa Jaa-eñ, Chaman Se To Chaman Jaan e Chaman
Khaasa Ik Khaak Basar Dasht e Mughilaañ Hoga

Jaan e Imaañ He, Muhabbat Teri Jaan e Jinaañ
Jis Ke Dil Me Ye Nahiñ, Khaak Musalmaañ Hoga

Dard e Furqat, Ka Madaawa, Na Huwa, Awr Na Ho
Kya Tabeeboñ Se, Mere Dard Ka, Darmaañ Hoga

Jis Ne Tabreed Bata-ee, Khafaqaañ Hoga Usay
Kya Thanda-ee Se, Ilaaj e Tap Hijraañ Hoga

Kohr-Baa-ee Na Ho Kyuñ, Rang Mere Chehre Ka
Jitna Eeqaan Bar’ha, Utna Hee Tarsa Hoga

Noor e Imaañ Ki Jo Mish’al, Rahe Roshan Phir To
Roz o Shab Marqad e Noori, Me Chiraghaañ Hoga

Ek Gazal, Awr Chamakti See, Suna De Noori
Dil Jilaa Paa-ega Mera, Tera Ehsaañ Hoga

 

 

Aah! Poora Mere Dil Ka, Kabhi Armaan Hoga

 

 

Aah! Poora Mere Dil Ka, Kabhi Armaan Hoga
Kabhi Dil, Jalwah Gaah e Sarwar e Khubaañ Hoga

Mere Dil Par, Jo Kabhi Jalwa e Jaanaañ Hoga
Lam’a e Noor, Mere Rukh Se, Numaayaañ Hoga

Jalwa e Mushaf Rukh e Dil, Me Jo Pinhaañ Hoga
Paare Paare Me Mere, Qalb Ke Qur’aañ Hoga

Chawndh Jaa-egi Teri Aankh, Bhi Mehr e Mahshar
Un Ke Zar’rah Ko Jo Dekhega, Pareshaañ Hoga

Dekh Mut Dekh Mujhe, Garm Nazr Se Khaawar
Showkhi e Chashm Se, Tu Aap Pareshaañ Hoga

Husn Wo Paaya He, Khursheed e Risaalat, Tu Ne
Tere Deedaar Ka Taalib, Mahe Kin’aañ Hoga

Jalwah e Husn e Jahaañ Taab Ka, Kya Haal Kahuñ
Aa-ina Bhi To Tumheñ Dekh Ke, Hayraañ Hoga

Kaun Poochega Bhala Roz e Jaza, Wo Bhi Mujhe,
Un Ki Rahmat, Ke Siwa Ko-ee Bhi, Pursaañ Hoga

Chaak Taqdeer Ko Kya, Sowzan e Tadbeer Siye
Laakh Wo Bakhiya Kare Chaak Gareybaañ Hoga

Mujh Ko Da’wa Nahiñ Ismat Ka, Magar Be Mawqa
Aib Jo-ee Na Karega, Jo Sukhandaañ Hoga

Dil e Dushman Ke Liye Taigh e Do Paikar He Sukhan
Chashm e Haasid Ko Mera She’r, Namak Daañ Hoga

Umr Saari To Kat’ee Lahw Me, Apni Noori
Kab Madine Ki Taraf Kooch Ka Saamaañ Hoga

 

 

SHAAN E KARAM

 

 

Mera Ghar Ghayrat e Khursheed e Darakhshaañ Hoga
Khayr Se Jaan e Qamar Jub Kabhi Mehmaañ Hoga

Jo Tabas’sum Se Ayaañ Ek Dur e Dandaañ Hoga
Zar’rah Zar’rah Mere Ghar Ka Mah e Taabaañ Hoga

Kyuñ Mujhe Khauf Ho Mahshar Ka, Ke Haathoñ Me Mere
Daaman E Haami Khud, Maahi E Isyaañ Hoga

Pal’lah Isyaañ Ka Giraañ Bhi, Ho To Kya Khauf Mujhe
Mere Pal’lay Pe To Wo Rahmat E Rahmaañ Hoga

Mujh Se Aasi Ko Jo Be Daagh Chur’aa Laa-enge
Ahle Mahshar Me Jo Dekhega Wo Hayraañ Hoga

Ko-ee Munh Mera Takega, Ke Ye Wo ‘Aasi He
Jis Ko Hum Jaante Thay, Daakhil e Meezaañ Hoga

Ko-ee Us Rahmat e Aalam Pe Tasad’duq Hoga
Ko-ee Ye Shaan e Karam Dekh Ke Qurbaañ Hoga

Maajra Dekh Ke Hoga Ye Kisi Ko Saktah
Ek Ta’ajub Se Wo Angusht Ba Dandaañ Hoga

Un Ki Hayrat Pe Kahunga, Ke Ta’ajub Kya He
Khud Khuda Hoga Jidhar Sarwar e Zeeshaañ Hoga

Dam Nikal Jaa-e Tumheñ Dekh Ke Aasaani Se
Kuch Bhi Dushwaar Na Hoga Jo Ye Aasaañ Hoga

Zakhm Par Zakhm Yahee Khaa-e Yahee Qatl Bhi Ho
Khoon e Muslim Abhi Kya, Abhi Us Se Bhi Arzaañ Hoga

Bher’iyoñ Ka He Ye Jungal Nahiñ Ko-ee Raa’ee
Bholi Bheyr’oñ Ka Shaha, Kaun Nigahbaañ Hoga

Zulm Par Zulm Sahay, Awr Sazaa-eñ Bhugtay
Awr Uff Ki To Teh, Khanjar e Bar’raañ Hoga

Yahi Andheyr Agar Awr Bhi Kuch Roz Raha
To Musalmaañ Ka Nishaañ Bhi Na Numaayaañ Hoga

Subh Roshan Ki Siyaah Bakhti Se Ab Shaam Huwi
Kab Qamar Noor Dahe Shaam e Ghareebaañ Hoga

Tu Agar Chaahe Milay Khaak Me Sultaan e Zamaañ
Tera Banda Ko-ee Tu Chaahe To Sultaañ Hoga

Zulmat e Qabr Ka Kya Khauf Mujhe Ay Noori
Jub Mere Qalb Me Imaañ Ka Lam’aañ Hoga

 

JALWA E MAAH E ARAB

 

Maah e Taabaañ Tu Huwa Mehr e Ajam Maah e Arab
Haiñ Sitaare Ambia Mehr e Ajam Maah e Arab

Haiñ Sifaat e Haq Ke Noori Aa-ina Saare Nabi
Zaat e Haq Ka Aa-ina Mehr e Ajam Maah e Arab

Kab Sitaara Ko-ee Chamka Saamne Khursheed Ka
Ho Nabi Kaise Naya, Mehr e Ajam Maah e Arab

Aap Hee Ke Noor Se Taabind Haiñ Shams O Qamar
Dil Chamak Jaa-e Mera Mehr e Ajam Maah e Arab

Qabr Ka Har Zar’rah Ik Khursheed Taabaañ Ho Abhi
Rukh Se Pardah Do Hata Mehr e Ajam Maah e Arab

Koocha e Purnoor Ka Har Zar’rah Rashk e Mehr He
Waah Kya Kehna Tera, Mehr e Ajam Maah e Arab

Roo Siyah Huñ Munh Ujaala Kar Mera Jaan e Qamar
Subho Kar Ya Chaandna Mehr e Ajam Maah e Arab

Nayyar e Charkh e Risaalat Jis Ghar’i Taale’ Huwa
Awj Par Tha Ghal-ghala Mehr e Ajam Maah e Arab

Aap Ne Jub Mashriq e Anwaar Se Farmaaya Tuloo’
Daaman e Shab Phat’ Gaya Mehr e Ajam Maah e Arab

Zulmat e Shab Mit’ Ga-ee Jub Aap Jalwah Gar Huwe
Raat Thee Par Din Huwa Mehr e Ajam Maah e Arab

Tum Ne Maghrib Se Nikal Kar Ek Qiyaamat Ki Bapa
Kaafiro Par Sarwara Mehr e Ajam Maah e Arab

Aaftaab e Haashmi Tu Gharb Se Taale’ Ho Phir
Kar Saweraa Noor Ka Mehr e Ajam Maah e Arab

Haq Ke Pyaare Noor Ki Aankhoñ Ke Taare Ho Tumheeñ
Noor e Chashm e Ambia Mehr e Ajam Maah e Arab

Zulf e Waala Ki Sifat Wal Layl He Qur’an Me
Awr Rukh Ki Wad-Duhaa, Mehr e Ajam Maah e Arab

Zulmateñ Sub Mit’ Ga-ee Naari Se Noori Ho Gaya
Jis Ke Dil Me Bas Gaya Mehr e Ajam Maah e Arab

Zulmatoñ Par Zulmateñ Haiñ Mere Maula Qabr Me
Ab To Apna Munh Dikha, Mehr e Ajam Maah e Arab

Mohr Farma Mahr Se, Isyaañ Ki Zulmat Mahw Kar
Jalwah Farma Ho Zara, Mehr e Ajam Maah e Arab

Ek Ishaare Se Qamar Ke Tum Ne Do Tukr’e Kiye
Marhaba Sad Marhaba Mehr e Ajam Maah e Arab

Noor Se Ma’moor Ho Jaa-e Mera Seena Agar
Dil Pe Rakh De Apna Paa, Mehr e Ajam Maah e Arab

Noor Ki Sarkaar He To Bheek Bhi Noori Milay
Qalb E Noori Jagmaga, Mehr e Ajam Maah e Arab

 

He Tum Se Aalam Pur Zia, Maah e Ajam Mehr e Arab

 

He Tum Se Aalam Pur Zia, Maah e Ajam Mehr e Arab
De Do Mere Dil Ko Jila, Maah e Ajam Mehr e Arab

Donoñ Jahaañ Me Aap Hee, Ke Noor Ki He Roshni
Dunya o Uqba Me Shahaa, Maah e Ajam Mehr e Arab

Kab Hote Ye Shaam o Sahar, Kab Hote Ye Shams o Qamar
Jalwa Na Hota Gar Tera, Maah e Ajam Mehr e Arab

Shaam o Sahar Ke Qalb Me, Shams o Qamar Ki Aankh Me
Jalwa He Jalwa Aap Ka, Maah e Ajam Mehr e Arab

He Roo Siya Mujh Ko Kiya, Aaqa Mere A’maal Ne
Kar Do Ujaala Munh Mera, Maah e Ajam Mehr e Arab

Khursheed e Taabaañ Bheek Ko, Aaya Teri Sarkaar Se
He Noor Se Kaasa Bhara, Maah e Ajam Mehr e Arab

Khursheed Ke Sar Aap Ke, Dar Ki Gada-ee Se Raha
Sehra Shaha Anwaar Ka, Maah e Ajam Mehr e Arab

Kaasa Laisi Se Tere, Darbaar Ki, Mahtaab Bhi
Kaisa Munaw’war Hogaya, Maah e Ajam Mehr e Arab

Haiñ Ye Zameen o Aasmaañ, Mangta Isee Sarkaar Ke
He Un Ki Aankhoñ Ki Zia, Maah e Ajam Mehr e Arab

Yuñ Bheek Leta He, Do Waqta, Aasmaañ Anwaar Ki
Subh o Masa He Jubh Saa, Maah e Ajam Mehr e Arab

Is Jubh Saa-ee Ke Sabab, Shab Ko Isee Sarkaar Ne
In’aam Me Teeka Diya, Maah e Ajam Mehr e Arab

Awr Subh Ko Sarkaar Se Is Ko Mila Noori Silaa
Umdah Saa Jhoomar Pur Zia, Maah e Ajam Mehr e Arab

Jub Tum Na Thay Kuch Bhi Na Tha, Jub Tum Huwe, Sub Kuch Huwa
He Sub Me Jalwa Aap Ka, Maah e Ajam Mehr e Arab

Ik Zulmat Isyaañ Shaha, Us Par Andhera Qabr Ka
Kar De Zia Badrud Duja, Maah e Ajam Mehr e Arab

Bar Tu Shawad Az Noor Rab’b, Baaraan e Noori Roz o Shab
Ho Ta Abad Ye Silsila, Maah e Ajam Mehr e Arab

Ho Murshidoñ Par Noor e Jaañ, Baarish Tumhare Noor Ki
Awr Un Se Paa-e Ye Gada, Maah e Ajam Mehr e Arab

Be Shak He Aasi Ke Liye, Naari Silaa Lekin Shaha
Noori Ko Do Noori Jaza, Maah e Ajam Mehr e Arab

 

 

 

BAHAAR E GULSHAN

 

Unko Dekha To Gaya, Bhool Me Gham Ki Soorat
Yaad Bhi Ab To Nahiñ, Ranj o Alam Ki Soorat

Khwaab Me Dekhuñ Agar, Daafa’e Gham Ki Soorat
Phir Na Waaqe’ Ho Kabhi, Ranj o Alam Ki Soorat

Aable Paa-oñ Me Par’ Jaa-eñ, Jo Chalte-Chalte
Raah e Taiba Me Chaluñ, Sar Se Qadam Ki Soorat

Tum Agar Chaaho To, Ik Cheen e Jabeeñ Se Apni
Kar Do A’da Ko Qalam, Shaakh e Qalam Ki Soorat

Naam e Waala Tera, Ay Kaash Misaal e Majnuñ
Raig Par Ungliyoñ Se, Likhuñ Qalam Ki Soorat

Tera Deedaar Kare, Rahm Mujas’sam Tera
Dekhni Ho Jisay, Rahmaañ Ke Karam Ki Soorat

Aap Haiñ Shaan e Karam, Kaan e Karam, Jaan e Karam
Aap Haiñ Fazl e Atam, Lutf e A-’am Ki Soorat

Ek Ishaara Tere Abroo Ka, Shah e Har Dosara
Kaat’ De, Dushmanoñ Ko Taigh e Do Dam Ki Soorat

Aap Ka Misl Shaha, Kaise Nazar Me Aa-e
Kis Ne Dekhi He Bhala, Ahl e ‘Adam Ki Soorat

Mawm He Un Ke Qadam Ke Liye Dil Pat’thar Ka
Sang Ne Dil Me Rakhi, Un Ke Qadam Ki Soorat

Khwaab Me Bhi Na Nazar Aa-e, Agar Tum Chaaho
Dard o Gham, Ranj o Alam, Zulm o Sitam Ki Soorat

Ay Sahaab e Karam, Ik Boond Karam Ki Par’ Jaa-e
Safha e Dil Se Mere, Mahw Ho Gham Ki Soorat

Jub Se Sookhay Haiñ Mere Kisht e Amal Baagh e Amal
Yaad Aati He Mujhe, Abr e Karam Ki Soorat

Safha e Dil Pe Mere, Naam e Nabi Kundah Ho
Naqsh Ho Dil Pe Mere, Un Ke ‘Alam Ki Soorat

Teri Tasweer Khinche, Rooh e Munaw’war Kyuñkar
Kaise Kheenche Ko-ee, Misbaah e Zulam Ki Soorat

Aa-eñ Jo Khwaab Me Wo, Ho Shab e Gham Eid Ka Din
Jaa-eñ To Eid Ka Din, Ho Shab e Gham Ki Soorat

Jaa-eñ Gulshan Se To Lut’ Jaa-e Bahaar e Gulshan
Dasht Me Aa-eñ, To Ho Dasht Iram Ki Soorat

Bheyr’ Ko Khawf Na Ho, Sheyr Se Jo Tum Chaaho
Tum Jo Chaaho To Banay, Sheyr Ghanam Ki Soorat

Koh Ho Jaa-eñ Agar, Chaaho To Sona Chaandi
Sangreze Baneñ Dinaar o Diram Ki Soorat

Soorat e Paak Wo Be Misl He Paa-ee Tum Ne
Jis Ki Saani Na Arab, Awr Na Ajam Ki Soorat

Dam Nikal Jaa-e Mera, Raah Me Un Ki Noori
Un Ke Kooche Me, Rahuñ Naqsh E Qadam Ki Soorat

MANQABAT IN PRAISE OF
HAZRAT SAYYIDUNA ALA’UD’DEEN
ALI AHMED SABIR KALYARI

Kaise Kaat’u Ratiyaañ Saabir
Taare Ginat Huñ Sayyañ Saabir

Muray Karajiwa Hok Uth’at He
Moo Ko Laga Le Chatyaañ Saabir

Toori Suratyaañ Pyaari Pyaari
Ach’chi Ach’chi Batiyaañ Saabir

Chayri Ko Apne Charnoñ Laga Le
Me Parooñ Turay Pay’yaañ Saabir

Dowle Nay’ya Muri Bhanwar Me
Balma Pak’re Bay’yaañ Saabir

Chathyaañ Laagan Kaise Kahuñ Me
Tum Ho Oonche At’aryaañ Saabir

Turay Dwaare Sees Nawa-oñ
Teri Le Luñ Balay’yaañ Saabir

Sapne Hee Me Darshan Dikhla Do
Mow Ko Muray Gasay’yaañ Saabir

Tan, Man, Dhan Sub To Pe Waare
Noori Mooray Say’yaañ Saabir

 

TUM PAR LAAKHOÑ SALAAM

 

Sub Se Aala, Izzat Waale
Ghalba o Qehr o Taaqat Waale
Hurmat Waale, Karaamat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Zaahir Baahir, Siyaadat Waale
Ghaalib Qaahir, Riyaasat Waale
Quw’wat Waale, Shahaadat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Noor e Ilm o Hikmat Waale
Naafiz Jaari, Hukoomat Waale
Rab’b Ki ‘Aala Khilaafat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Aap Ka Chaaha, Rab’b Ka Chaaha
Rab’b Ka Chaaha, Aap Ka Chaaha
Rab’b Se Aisi Chaahat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Tum Ho Shahe Awrang e Khilaafat
Tum Ho Waali, Mulk e Jalaalat
Tum Ho Taaj e Rif’at Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Rab’b Ke Pyaare, Raaj Dulaare
Hum Haiñ Tumhare, Tum Ho Hamaare
Ay Daamaan e Rahmat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Dho Deñ Gunah Ke, Dhab’bay Kaale
Abr e Karam Ke, Barseñ Jhaale
Gaisu-oñ Waale, Rahmat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Dagmag-Dagmag Naya Haale
Jeeyra Kaampe Tu-ee Sambhaale
Aah Duha-ee, Rahmat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Bigr’i Naa-o, Kaun Sambhaale
Haa-e Bhanwar Se, Kaun Nikaale
Haañ-Haañ, Zor o Taaqat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Raaja Parjaa, Aap Ke Dawaare
Sub Haiñ Baythe, Jholi Pasaare
Daata Pyaare, Dawlat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Khewan Haare, Khewan Haare
Bay’yaañ Pakr’e, Muray Pyaare
Quw’wat Waale, Himmat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Apne, Paraa-e, Aap Ke Dar Se
Ne’mateñ Paa-eñ, Jholiyaañ Bhar Ke
Allah-Allah, Sakhaawat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Arsh e Ulaa Par, Rab’b Ne Bulaaya
Apna Jalwa e Khaas Dikhaaya
Khalwat Waale, Jalwat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Takht Tumhara, Arsh Khuda Ka
Milk e Khuda He, Milk Tumhara
Rab’b Ki Aa’la Khilaafat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

De Diye Tum Ko, Apne Khazaane
Rab’b e Izzat, Rab’b e ‘Ulaa Ne
Donoñ Jahaañ Ki Ne’mat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Aisi Daulat Paa-ee Phir Bhi
Miskeeni Hee, Tum Ne Chaahi
Miskeenoñ Par, Rahmat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Aap Se Daulat Paa-e Dunya
Aap Kareñ Khud, Faaqe Pe Faaqah
Aisi Bakhshish o Dawlat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Ne’mateñ Tum, Awroñ Ko Khilaawo
Khud Khaa-o To, Jow Ki Khaa-o
Naan Joweeñ Pe, Qana’at Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Daulat Do Aalam Ko Baant’o
Peyt’ Par Apne, Pat’thar Baandho
Allah-Allah, Sakhaawat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Ghayroñ Ko Apnoñ Se Zyaada
Baant’i Tum Ne Daulat e Dunya
Ma Sha Allah Himmat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Hum Haiñ Jitne, Khaati Mukhti
Aap Haiñ Us Se Zaa-id Mu’ti
Afw o Safh o Inaayat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Tum Ko Dekha, Haq Ko Dekha
Aap Ki Soorat, Us Ka Jalwa
Ach’chi-Ach’chi Soorat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Kitne Parde Haiñ Chehre Par
Chehra Phir Bhi Maanind E Qamar
Ay Nooraani Soorat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Soorat e Aqdas Se Haq Zaahir
Kalma Par’the Dekh Ke Kaafir
Ay Haq’qaani Soorat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Bu Jahl e La-eeñ Kalma Par’hta
Dekha Hee Nahiñ, Us Ne Shaha
Pardoñ Waali, Soorat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Khulq Tumhara, Khulq e Ilaahi
Faiz Tumhara, Na Mutanaahi
Ay Paakiza, Seerat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Aisi Muqad’das, Khwaab e Raahat
Aap To So-eñ, Jaage Qismat
Ay Rab’baani, Da’wat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Chashm e Sar Ne, Haq Ko Dekha
Dil Ne Haq Ko, Haq Hee Jaana
Ay Haq’qaani, Soorat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Ma Zaagha Basaruka Ya Maula
Ma Kazaba Qalbuka Heena Raa’a
Aisi Chashm e Baseerat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Qawl e Haq He Qawl Tumhara

Sidq o Haq o Amaanat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Fe’l Tumhara, Fe’l e Khuda Ka
Us Ka Gawah ـَ
ٰ ا
He ـَاللهـُ ر�ي
Haq Se Aisi Nisbat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Aap Ka Yad, Yad e Rab’b e Waahid

فـَHe Shaahid
Ay Rab’baani Bay’at Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Deen e Haq Ke Haadi, Rahbar
Tum Ho Haq Ke, Naa-ib e Akbar
Naasikh Adyaañ Shariat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Hillat o Hurmat Aap Ke Munh Se
Aise Hee, Jaise Haq Ke
Hillat Waale, Hurmat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Aap Ka Saaya, Kaise Hota
Aap Haiñ Noor e Haq Ka Saaya
Zil’l e Rahmat, Tal’at Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Aap Ka Dum He, Farsh Ki Nuzhat
Awr Qadam He, Arsh Ki Zeenat
Husn o Jamaal o Lataafat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Tum Ho Noor e Chashm e Khul’lat
Tum Ho Suroor e Qalb e Safwat
Tum Ho Wajd Ki Farhat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam
Tum Par Laakhoñ Salaam

Ay Shaahid e Haq, Shaahid e Ummat
Kaafir Par Tum Rab’b Ki Huj’jat
Tum Momin Ke Nusrat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Sunnat e Rab’b e Iz’zat Tum Ho
Zayb o Zain e Jannat Tum Ho
Amn O Amaan e Ummat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

Khwaab Me Jalwa, Apna Dikha-o
Noori Ko Tum, Noori Banaa-o
Ay Chamkeeli, Rangat Waale
Tum Par Laakhoñ Salaam,
Tum Par Laakhoñ Salaam

 

 

SALL ALLAHU ALAIKA WA SALLAM

 

 

‘Aala Se ‘Aala Rif’at Waale
Baala Se Baala Azmat Waale
Sub Se Bar-tar Iz’zat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Sub Se Zaa-id Hurmat Waale
Sub Se Bar’h Kar Him’mat Waale
Sub Se Bar-tar Qudrat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Jaah o Jalaal, Wajaahat Waale
Quw’wat o Sutwat, Soolat Waale
Shaan o Shaukat Hashmat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Mah e Laahoot e Khalwat
Tum Ho Shah e Naasoot e Jalwat
Tum Ho Jama’eeyat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Jawhar Fard e Iz’zat
Tum Ho Jism o Jaan o Wajaahat
Tum Ho Taaj e Rif’at Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Aab e Ain e Rahmat
Tum Ho Taab e Maah e Wahdat
Ay Chamkeeli Rangat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Nahr e Bahr e Wahdat
Tum Ho Pyaare Mamba’ e Kasrat
Wahdat Waale Kasrat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Maalik e Kul Ke Tum Ho Naa-ib
Sub He Tumhara, Haazir Ghaa-ib
Tum Ho Shuhood o Ghaibat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Saaya e Rab’b e Iz’zat
Tum Ho Maaya e Khalq o Khalqat
Donoñ Jahaañ Ki Zeenat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Saahib e Izz o Karaamat
Tum Ho La’al e Nageen e Karaamat
Tum Ho Nihaayat Rahmat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Awha Ilaikal Laahu Maa Awha
May Ya’malha Il’la Anta
Maula Sirr e Qudrat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Chehra Matla’ e Noor e Ilaahi
Seena Makhzan e Raaz e Khuda-ee
Sharh e Sadr Sadaarat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Hamaare, Hum Haiñ Tumhare
Rabb Ke Pyaare Raaj Dulaare
Iz’zat Waale Azmat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Hum Haiñ Baythe Tumray Dwaare
Apni Apni Jholi Pasaare
Daata Pyaare Dawlat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Har Il’lat Ke Tum Ho Daafi’
Har Mushkil Ke Tum Ho Raafi’
Sehat Waale Quw’wat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Har Karbat Ke Tum Ho Daafi’
Har Bimaari Ke Tum Ho Naafi’
Ay Sarmaaya e Raahat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Band e Alam Awr Bande Tumhare
Aawo- Aawo Pyaare-Pyaare
Raafat Waale, Rahmat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Khaak e Qadam Ki Yaad Qasam Ki
Ye He Iz’zat Aap Ke Dam Ki
Arsh Se Aazam Turbat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Sidrah Tumhara Arsh Tumhara
Kursi Tumhari Farsh Tumhara
Maalik e Dozakh o Jannat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Rab’b Ne Tum Ko Seyr Kara-ee
Apni Khuda-ee Tum Ko Dikha-ee
Aisi Ach’chi Basaarat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Arsh e Khuda Tuk Kis Ki Rasa-ee
Dawlat e Rooyat Kis Ne Paa-ee
Aisi Dawlat o Rif’at Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Paaya Tum Ne Rutba e ‘Uliyaa

Haq Se Aisi Qurbat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa SallaGhaa-ib Kaise Na Hota Haazir
Jub He Baatin Khud Hee Zaahir
Ilm e Ghaib o Shahaadat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa SallaTum Ho Shama’e Ilm 0 Hikmat
Tum Ho Zau-e Noor e Hidaayat
Ay Noorani Tal’at Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa SallaTum Ho Baagh e Bahaar o Rahmat
Dil He Ghuncha e Raaz e Wahdat
Bheeni, Bheeni Nik-hat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Mawj e Aw’wal Bahr e Rahmat
Josh e Aakhir Bahr e Raafat
Faiz o Jood o Sakhaawat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Wajhe Ba’ath e Khalqat
Tum Ho Sirr e Ghaib o Shahaadat
Raaz e Wahdat o Kasrat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Fath e Baab e Nubuw’wat
Tum Se Khatm Dawr e Risaalat
Unki Pichli Fazilat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Haq Ke Wo He Tumhara
Sub He Tumhara Jo He Uska
Haq Se Aisi Ulfat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Sarwar o Aaqa, Maalik o Maula
Donoñ Jag Ke Tum Ho Daata
Rahmat Waale Raafat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Saare Rasooloñ Se Tum Bar-tar
Tum Saare Nabiyoñ Ke Sarwar
Sub Se Behtar Ummat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Kaun He Mahbooboñ Me Tum Sa
Ko-ee Nahiñ He Haasha Kil’laah
Pyaari-Pyaari Soorat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Haq’qa Haq Ne He Tum Ko Kiya
Be Misl o Nazeer o Be Hamta
Ach’chi, Ach’chi Seerat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Donoñ Jahaañ Ke Sarwar Tum Ho
Deen e Haq Ke Rahbar Tum Ho
Sham’e Bazm e Hidaayat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Arsh Ki Zeenat Tum Hee Se He
Farsh Ki Nuzhat Tum Hee Se He
Husn o Jamaal o Lataafat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Mah Ko Tum Ne Tukr’e Kiya He
Sooraj Tum Ne Lowt’aaya He
Zowr e Dast e Qudrat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
The One Who Split The Moon In Two, You Are
The One Who Brought Back The Already Set Sun, You Are
The One With Such Power In His Sacred Hands, You Are

Naafa’e Il’lat Dafa’e Karbat
Tum Ho Kahf e Roz e Musibat
Rab’b Se Izn e Shafa’at Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Ko-ee Nahiñ He Aisa Aaqa
Parda Dhaampe Jo Tangoñ Ka
Sharm o Haya o Ghayrat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Lillah Khabar Lo Noori Ki
Ach’chi Soorat Ho Noori Ki
Chaand Se Ach’chi Soorat Waale
Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Sall Allahu Alaika Wa Sallam

 

 

MAAHE TAIBA NAY’YAR E BATHA

 

 

Maah e Taiba Nay’yar e Batha Sall Allahu Alaika Wa Sallam
Tere Dum Se Aalam Chamka Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tu He Mazhar e Rab’b e Ajmal Zil Haiñ Tere Saare Mursal
Kaun He Humsar Tera Shaaha Sall Allahu Alaika Wa Sallam

 

Tum Ho Pyaare Asl Hamaari Saara Jahaañ He Fara’ Tumhari
Tum Sub Ki Maahiyat e Goya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Aaqa Maa’rif e Haq Ke Jalwe Ho Noor e Mutlaq Ke
Tum Ho Huj’jat e Rabb Bar Aa’da Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tu He Naa-ib e Rab’b e Akbar Pyaare Har Dum Tere Dar Par
Ahle Haajat Ka He Meyla Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Haq Ne Banaaya Aisa Tawangar, Akbar o Awsat o Asghar o Sarwar
Tere Dar Par Haazir Jumla Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Har Shay Me He Tera Jalwa, Tujh Se Roshan Deen o Duniya
Baanta Tu Ne Noor Ka Baar’a Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Imaañ Teri Azmat o Ulfat, Awr Tasdeeq o Jazm e Nisbat
Momin Wo Jis Ne Paaya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Be Shubha He Zeen e Taa’at Haq Ye Ke He Ain e Ibaadat
Haq Ke Pyaare Tasaw’wur Tere Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Teri Zia Se Aalam Chamka Subhaan’Allah! Ma Sha Allah!
Jalwa e Haq He Jalwa Tera Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Noor e Mujas’sam Tere Dum Se Noori Sadqe Roz Haiñ Paate
Mahr o Maah o Anjum Aara Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tu Chaahe Wo Jo Rab’b Chaahe, Rab’b Chaahe Wo Jo Tu Chaahe
Chaaha Tera Rab’ b Ka Chaaha Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Jitne Salaateeñ Pehle Aa-e Sik’kay Unke Hogaye Khowt’e
Jaari Rahega Sik’ka Tera Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Taaj e Sultaañ Ban Kar Chamka Tere Naqsh e Paa Ka Jalwa
Tu He Noor e Zaat e Maula Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tere Ghar Ka Bach’cha, Bach’cha Saara Gharaana Sayyid e Waala
Noori Moorat Noor Ka Putla Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Ki He Abr e Gham Ne Char’ha-ee Maah e Taiba Teri Duha-ee
Badrud Duja Ho Jalwa Farma Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Gham Ki Kaali Ghata-eñ Chaa-eeñ Ranj o Alam Ki Bala-eñ Chaa-eeñ
Shams e Duha Ho Jalwa Farma Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Khaar e Gham Kaisa Chubhta He, Kaisi Khalish He, Dil Dukhta He
Pyaare Dil Se Nikaalo Kaanta Sall Allahu Alaika Wa Sallam

 

Raafi’ Tum Ho Daafi’ Tum Ho Naafe’ Tum Ho Shaafi’ Tum Ho
Ranj o Gham Ka Phir Kya Khatka Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Me Huñ Be Bas, Tu Hee Bus He, Me Huñ Be Kas, Tu Hee Kas He
Kas Le Kamar Awr Bahr e Madad Aa Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Sar Par Baadal Kaale-Kaale Dard e Isyaañ Ke Haiñ Chaale
Dum Ghut’ta He Mere Maula Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Me Huñ Tanha Ban He Soona Duzd e Imaañ Sar Par Pahuncha
Meri Khabar Le Mere Maula Sall Allahu Alaika Wa Sallam
I

Haal Humaara Jaisa Zabooñ He, Awr Wo Kaisa Awr Kyuñ He
Sub He Tum Par Roshan Shaaha Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Har Zar’re Teri Nazar He, Har Qatrah Ki Tujh Ko Khabar he
Ho Ilm e Ladun’ni Ke Tum Daana Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Aib Se Tum Ko Paak Kiya He Ghaib Ka Tum Ko Ilm Diya He
Awr Khud Haq Bhi Tum Se Chupa Kya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tu Mere Imaañ Ko Jilaa De Jaan e Masiha Dil Ko Jilaa De
Murdah He Dil Mera Aaqa Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Hud Se Bar’h Gaye Isyaañ Mere Tu Dho De Aab e Rahmat Se
Bahr e Rahmat Josh Pe Aa Jaa Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Kaisi Zubaaneñ Sookh Ga-ee Haiñ Pyaas, Se Baahar Aa-ee Huwi Haiñ
Abr e Karam De-De Ek Cheenta Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Mehr e Mahshar Sar Par Sarwar, Phoonke De He Hum Ko Yaksar
Mehr Se Kar Gaisoo Ka Saaya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Munh Tuk Mere Paseena Pahuncha; Dooba, Dooba, Dooba, Dooba
Daaman Me Le Leeje Aaqa Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Adam Se Ta Hazrat Esa, Sub Ki Khidmat Me Ho Aaya
Nafsi Sub Ne Farmaaya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Mere Aaqa Mere Maula Aap Se Sun Kar In-ni Lahaa
Dum Me He Dum Mere Aaya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Roshan Ho Gaya Is Se Sarwar Pesh e Daawar Shaafa e Mahshar
Mere Maula Tum Ho Tanha Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Waqt e Wilaadat Tum Nahiñ Bhoole Waqt e Rahlat Yaad Hee Rakhe
Apne Bande Tum Ne Shaaha Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Aawo Aawo Meri Khabar Lo, Waaruñ Tum Par Qalb o Jigar Ko
Me Bhi Huñ Tumhara Banda Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Meri Aankhoñ Mere Sar Par, Mere Dil Par, Mere Jigar Par
Paa-e Aqdas Rakh Do Shaaha Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tere Naqsh e Qadam Ne Sarwar, Pat’thar Mowm Bana-e Yaksar
Mowm Bana Dil e Sangeeñ Mera Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Aap Ka Jalwa Har Juz o Kul Me, Aap Ke Rang o Boo Har Gul Me
Aap Ki Boo Se Aalam Mehka Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Kaun Gaya He Arsh e Ulaa Tuk, Kis Ki Rasa-ee Zaat e Khuda Tuk
Tum Ne Paaya A’laa Paaya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Tum Ho Aw’wal, Tum Ho Aakhir, Tum Ho Baatin, Tum Ho Zaahir
Haq Ne Bakhshe Haiñ Ye Asmaa Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Baaraka Shar’rafa Maj’jada Kar’ram Naw’wara Qalbaka Asra ‘Al-lam
Rab’b Ne Tum Ko Kya Kya Bakhsha Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Saahib e Dawlat Tum Hee To Ho, Qaasim e Ne’mat Tum Hee To Ho
Tum Ho Saare Jag Ke Daata Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Antar Raafi’ Anta Naafi’Antad Daafi’ Antash Shaafi’
Ishfa’ Indar Rab’bil A’laa Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Antal Aw’wal, Antal Aakhir, Antal Baatin, Antaz Zaahir
Anta Sam-il Maula Ta’aala Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Mal-Li Naasiri Maa Li Waali Ghayruka Maa Li Fanzur Haali
Wasma’Qaali Ya Maulaaya Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Antal Qaasim Rab’buka Mu’ti, Tum Hee Ne Sub Ko Ne’mat Dee
De Do Mujh Ko Mera Hissa Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Anta Shafi’ee, Anta Wakeeli, Anta Habeebi, Anta Tabeebi
Anta Kafeeli, Ya Maulana Sall Allahu Alaika Wa Sallam

Haazir e Dar He Noori Muztar, Aap Ka Ye Mowroosi Sanaagar
Ibn e Raza He, Khwahaañ Raza Ka Sall Allahu Alaika Wa Sallam

 

 

 

 

 

PAIKAR E HUSN E TAMAAM

 

 

As Salaatu Was Salaam Ay Sarwar e Aali Maqaam
As Salaatu Was Salaam Ay Rahbar e Jumla Anaam
As Salaatu Was Salaam Ay Mazhar e Zaatus Salaam
As Salaatu Was Salaam Ay Paykar e Husn e Tamaam
As Salaatu Was Salaam Ay Nabiyyoñ
Ke Nabi Awr Ay Rasooloñ Ke Imam

 

Ya Habeeb’Allahi Anta Mahbatul Wahyil Mubeen
In’ni Mudhnib Sayyidi, Anta Shafi’ul Mudhnibeen
Ya Rasool’Allahi Anta Saadiqul Wa’dil Ameen
Ya Nabiy’Allah Anta Rahmatul lil Aalameen
As Salaatu Was Salaam Ay Nabiyyoñ
Ke Nabi Awr Ay Rasooloñ Ke Imam

Ay Sha e Arsh Aastaañ Ay Sarwar e Kaun O Makaañ
Ay Mere Imaan e Jaañ Ay Jaan e Imaan e Zamaañ
Ay Mere Amn o Amaañ Ay Sarwar e Har Do Jahaañ
Me Huñ Aasi Sarwara Awr Tum Shafi’ e Aasiyaañ
As Salaatu Was Salaam Ay Nabiyyoñ
Ke Nabi Awr Ay Rasooloñ Ke Imam

Ay Ke Tere Zaat e Aali Sir’r e Har Maujood He
Ay Wo Sarwar Jis Pe Sadqe Bood Har Nabood He
Ay Wo Jis Ka Dar, Dar e Faiz o Sakha o Jood He
Ay Wo Jis Ka Baab, Dushman Par Bhi, Na Masdood He
As Salaatu Was Salaam Ay Nabiyyoñ
Ke Nabi Awr Ay Rasooloñ Ke Imam

Ay Wo Jis Ka Rab’b He Shaahid Awr Wo Mash’hood He
Ay Wo Jis Ka Rab’b He Haamid Awr Wo Mahmood He
Ay Wo Jis Ka Rab’b He Qaasid Awr Wo Maqsood He
Ay Ke Jis Ka Jood Aisa He Ke Laa Maqsood He
As Salaatu Was Salaam Ay Nabiyyoñ

Qibla e Kaunain Haiñ Sarkaar Imam ul Qiblatain
Aap Haiñ Fathe Khuda Se Faatahe Badr O Hunain
Door Dar Se Jo Huwa To Phir Kahaañ Ye Amn o Chain
Hum Pe Bhi Chashm e Karam Ho Sayyidi Bahr e Husain
As Salaatu Was Salaam Ay Nabiyyoñ
Ke Nabi Awr Ay Rasooloñ Ke Imam

Ay Shahanshah e Do Aalam, Shaafa’e Roz e Qayaam
Zeenat e Gulzaar e Taiba Marja’e Har Khaas o Aam
Haazir e Dar Aaj He Sarkaar Ke Razvi Ghulaam
Az Paa-e Ahmad Raza Maqbool Ho Unka Salaam
As Salaatu Was Salaam Ay Nabiyyoñ
Ke Nabi Awr Ay Rasooloñ Ke Imam

 

TERA JALWAH NOOR E KHUDA GHAUS E AZAM

 

Tera Jalwah Noor e Khuda Ghaus e Azam
Tera Chehra Imaañ Faza Ghaus e Azam
Your Rays Are From The Light Of Allah, Ghaus e Azam

Mujhe Be Gumaañ De Gumaa Ghaus e Azam
Na Paawuñ Me Apna Pata Ghaus e Azam

Khudi Ko Mit’aa De Khuda Se Milaa-o
De Aisi Fana o Baqa Ghaus e Azam

Khudi Ko Gumaa-uñ To Me Haq Ko Paawoñ
Mujhe Jaam e Irfaañ Pila Ghaus e Azam

Khuda Saaz Aa-ina e Haq Numa He
Tera Chehra e Pur Zia Ghaus e Azam

Khuda Tu Nahiñ He Magar Tu Khuda Se
Juda Bhi Nahiñ He Zara Ghaus e Azam

Na Tu Khud Khuda He, Na Haq Se Juda He
Khuda Ki He Tu Shaan Ya Ghaus e Azam

Tu Baagh e Ali Ka He Wo Phool Jis Se
Dimaagh e Jahaañ Bas Gaya Ghaus e Azam

Tera Martaba Kyuñ Na A’laa Ho Maula
He Mahboob e Rab’bul ‘Ulaa Ghaus e Azam

Tera Rutbah Allahu Akbar Saroñ Par
Qadam Awliyah Ne Liya Ghaus e Azam

Tera Daaman e Paak Thaamay Jo Rahzan
Banay Haadi o Rahnuma Ghaus e Azam

Na Kyuñ Mahrbaañ Ho Ghulaamoñ Pe Apne
Karam Ki He Tu Kaan Ya Ghaus e Azam

Tere Sadqe Jaa-uñ Meri Laaj Rakh Le
Tere Haath He Laaj Ya Ghaus e Azam

Pareshaan Kar De Pareshaaniyoñ Ko
Pareshaan Dil He Mera Ghaus e Azam

Meri Kashti Chakra Rahi He Bhanwar Me
Mere Na Khuda Ba Khuda Ghaus e Azam

Khuda Ra Sahaara, Sahaara Khuda Ra
Talaatum He Hud Se Siwa Ghaus e Azam

Arrey Muray Say’yañ Par’o Turay Pay’yaañ
Pakar’ Muri Bay’yaañ Piya Ghaus e Azam

Khata-eñ Hamaari Jo Hud Se Siwa He
Ataa Teri Un Se Siwa Ghaus e Azam

Khata-Kaariyaañ Gar Che Hud Se Bhi Apni
Siwa Haiñ, Siwa Haiñ, Siwa Ghaus e Azam

Hamaari Khata Ko Tumhari Ataa Se
Bhala Ko-ee Nisbat Bhi Ya Ghaus e Azam

Tu Rahm o Karam Ka He Be Paayaañ Darya
Ye Ik Fard Isyaañ He Ya Ghaus e Azam

Ye Ik Fard e Isyaañ He Kya Tere Aage
Agar Laakhoñ Se Hoñ Siwa Ghaus e Azam

Tera Ek Hee Qatrah Dho Dega Saara
Har Ik Sahfa e Pur Khata Ghaus e Azam

 

Tu Be Kas Ka Kas Awr Be Bus Ka Bus He
Tawaañ Na Tawaañoñ Ki Ya Ghaus e Azam

Meri Jaan Me Jaan Aa-e Jo Aa-e
Mera Jaan e Aalam Mera Ghaus e Azam

 

Meri Jaan Kya Jaan e Imaañ Ho Taaza
Ke Muhy Deen e Khuda Ghaus e Azam

Mera Sar Teri Kafsh Paa Par Tasad’duq
Wo Paa Ke To Qaabil He Ya Ghaus e Azam

Jhalak Roo e Anwar Ki Apni Dikha Kar
Tu Noori Ko Noori Bana Ghaus e Azam

 

KHILA MERE DIL KI
KALEE GHAUS E AZAM

Khila Mere Dil Ki Kalee Ghaus e Azam
Mit’aa Qalb Ki Be Kalee Ghaus e Azam

Mere Chaand Me Sadqe Aa Jaa Idhar Bhi
Chamak Uth’tay Dil Ki Galee Ghaus e Azam

Tere Rab’b Ne Maalik Kiya Tere Jad’d Ko
Tere Ghar Se Dunya Palee Ghaus e Azam

Wo He Kaun Aisa Nahiñ Jis Ne Paaya
Tere Dar Pe Dunya Dhalee Ghaus e Azam

Kaha Jis Ne Ya Ghaus Aghithnee To Dum Me
Har Aa-ee Musibat ‘Talee Ghaus e Azam

Nahiñ Ko-ee Bhi Aisa Faryaadi Aaqa
Khabar Jis Ki Tum Ne Na Lee Ghaus e Azam

Meri Rozi Mujh Ko Ataa Kar De Aaqa
Tere Dar Se Duniya Ne Lee Ghaus e Azam

Na Maanguñ Me Tum Se To Phir Kis Se Maanguñ
Kaheeñ Awr Bhi He Chalee Ghaus e Azam

Sada Gar Yahaañ Me Na Duñ To Kahaañ Duñ
Ko-ee Awr Bhi He Galee Ghaus e Azam

Jo Qismat Ho Meri Buri, Ach’chi Kar De
Jo Aadat Ho Bud, Kar Bhalee Ghaus e Azam

Tera Martaba A’laa Kyuñ Ho Na Maula
Tu he Ibn e Maula Ali Ghaus e Azam

 

Qadam Gardan e Awliyah Par He Tera
He Tu Rab’b Ka Aisa Wali Ghaus e Azam

Jo Doobi Thee Kashti Wo Dum Me Nikaali
Tujhe Aisi Qudrat Milee Ghaus e Azam

Humaara Bhi Beyr’aa Laga Do Kinaare
Tumheñ Na Khuda-ee Milee Ghaus e Azam

Tabaahi Se Naa-o Hamaari Bacha Do
Hawa E Mukhaalif Chali Ghaus e Azam

Tujhe Tere Jad’d Se Unheñ Tere Rab’b Se
He Ilm e Khafi o Jali Ghaus e Azam

Mera Haal Tujh Par He Zaahir Ke Putlee
Teri Lauh Se Jaa Milee Ghaus e Azam

Khuda Hee Ke Jalwe Nazar Aa-e Jub Bhi
Teri Chashm e Haq Beeñ Khuli Ghaus e Azam

Fida Tum Pe Ho Jaa-e Noori e Muztar
Ye He Is Ki Khwaa-hish Dilee Ghaus e Azam

 

TAJAL’LI E NOOR E QIDAM
GHAUS E AZAM

Tajal’li e Noor e Qidam Ghaus e Azam
Zia e Siraajuz Zulam Ghaus e Azam

Tera Hil He, Tera Haram Ghaus e Azam
Arab Tera Tera, Ajam Ghaus e Azam

Karam Aap Ka He A’am Ghaus e Azam
Inaayat Tumhari Atam Ghaus e Azam

Mukhaalif Hoñ Go Sou Padam Ghaus e Azam
Hame Kuch Nahi Iska Gham Ghaus e Azam

Chala Aisi Taigh e Do Dum Ghaus e Azam
Ke A’da Ke Sar Hoñ Qalam Ghaus e Azam

Wo Ik Waar Ka Bhi Na Hoga Tumhare
Kahaañ He Mukhaalif Me Dum Ghaus e Azam

Tere Hote Hum Par Sitam D’haa-eñ Dushman
Sitam He Sitam He Sitam Ghaus e Azam

Kahaañ Tuk Suneñ Hum Mukhaalif Ke Ta’ane
Kahaañ Tuk Saheñ Hum Sitam Ghaus e Azam

Bar’he Howsle Dushmanoñ Ke Ghat’aa De
Zaraa Le-Le Taigh e Do Dum Ghaus e Azam

Nahiñ Laata Khaatir Me Shaahoñ Ko Shaaha
Tera Banda e Be Diram Ghaus e Azam

Karam Chaahiye Tera, Tere Khuda Ka
Karam Ghaus e Azam, Karam Ghaus e Azam

Ghat’aa Howsla Gham Ki Kaali Ghat’aa Ka
Bar’hi he Ghata Dum Ba Dum Ghaus e Azam

Bar’haa Nakhuda Sar Se Paani Alam Ka
Khabar Lijiye ‘Doobe Hum Ghaus e Azam

Karo Paani Gham Ko Bahaa Do Alam Ko
Ghata-eñ Bar’heeñ Ho Karam Ghaus e Azam

Nazar Aa-e Mujhko Na Soorat Alam Ki
Na Dekhuñ Kabhi Roo-e Gham Ghaus e Azam

Bar’ha Haath Kar Dastageeri Hamaari
Bar’ha Abre Gham Dum Ba Dum Ghaus e Azam

Khudara Zara Haath Seene Pe Rakh Do
Abhi Mit’tay Haiñ Gham, Alam Ghaus e Azam

Khuda Ne Tumheñ Mahw o Isbaat Bakhsha
Ho Sultaan e Lauh O Qalam Ghaus e Azam

He Qismat Meri T’eyr’hee Tum Seedhi Kar Do
Nikal Jaa-eñ Sub Pech o Kham Ghaus e Azam

Khabar Lo Hamaari Ke Hum Haiñ Tumhare
Karo Hum Pe Fazl o Karam Ghaus e Azam

Tum Aise Ghareeboñ Ke Faryaad Ras Ho
Ke Tehera Tumhara Alam Ghaus e Azam

Ba Ain e Inaayat Ba Chashm e Karaamat
Bideh Jur’aa e Na Chashm Ghaus e Azam

Tera Ek Qatra Awaalim Numa He
Nahiñ Chaahiye Jaam e Jam Ghaus e Azam

Kuch Aisa Guma De Muhabbat Me Apni
Ke Khud Keh Uth’tuñ Me Manam Ghaus e Azam

Jisay Chaahe Jo De Jisay Chaahe Na De
Tere Haath Me He Ni’am Ghaus e Azam

Tera Husn Namkeeñ Bharay Zakhm e Dil Ke
Bana Marhamay Bar Dilam Ghaus e Azam

 

Taraq’qi Kare Roz O Shab Dard e Ulfat
Na Ho Qalb Ka Dard Kam Ghaus e Azam

Khuda Rakhe Tum Ko Hamaare Saroñ Par
He Bus Ik Tumhara Hee Dum Ghaus e Azam

Dum e Naza’ Sirhaane Aa Jaawo Pyaare
Tumheñ Dekh Kar Nikle Dum Ghaus e Azam

Teri Deed Ke Shawq Me Jaan e Jaanañ
Khinch Aaya He Aankhoñ Me Dum Ghaus e Azam

Ko-ee Dum Ke Mehmaañ Haiñ Aa Jaawo Is Dum
Ke Seene Me Atka He Dum Ghaus e Azam

Dam e Naz’a Aawo Ke Dum Aa-e Dum Me
Karo Hum Pe Yaaseen Dum Ghaus e Azam

Ye Dil Ye Jigar He Ye Aankheñ Ye Sar He
Jahaañ Chaaho Rakho Qadam Ghaus e Azam

Sar Khud Ba Shamsheer e Abroo Farosham
Ba Mazhgaan Tu Seena Am Ghaus e Azam

Ba Pekaan e Teerat Jigar Mee Farosham
Ba Teer e Nigaahat Dilam Ghaus e Azam

Dimaagham Rasad Bar Sar e Arsh e A’aala
Ba-Paayat Agar Sar Naham Ghaus e Azam

Meri Sar Bulandi Yaheeñ Se He Zaahir
Ke Shud Zeyr e Paayat Saram Ghaus e Azam

Laga Lo Mere Sar Ko Qadmoñ Se Apne
Tumheñ Sir’r e Haq Ki Qasam Ghaus e Azam

Qadam Kyuñ Liya Awliyah Ne Saroñ Par
Tumheeñ Jaano Is Ke Hikam Ghaus e Azam

Kiya Faisla Haq O Baatil Me Tum Ne
Kiya Haq Ne Tum Ko Hakam Ghaus e Azam

Tumhari Mahak Se Galee Kooche Mehke
He Baghdad Rashk e Iram Ghaus e Azam

Karam Se Kiya Rah-numa Rahzano Ko
Idhar Bhi Nigaahe Karam Ghaus e Azam

Mera Nafs e Sarkash Bhi Rahzan He Mera
Ye Deta He Dum-Dum Ba Dum Ghaus e Azam

Dikha De Tu In-ni Azoomun Ke Jalwe
Suna De Sada e Manam Ghaus e Azam

Mere Dum Ko Is Ke Damoñ Se Bacha Le
Karam Kar, Karam Kar, Karam Ghaus e Azam

Me Huñ Na-Tawaañ Sakht Kamzor Hud Ka
Haiñ Zowroñ Cha’rhe Us Ke Dum Ghaus e Azam

Na Pal’la Ho Halka Humaara Na Hum Hoñ
Na Bigr’e Humaara Bharam Ghaus e Azam

Kahaañ Tuk Hamaari Khataa-eñ Ginenge
Kareñ Afwu Sub Yak Qalam Ghaus e Azam

Hamaari Khataa-oñ Se Daftar Bharay Haiñ
Karam Kar Ke Huñ Kal ‘Adam Ghaus e Azam

Tumhare Karam Ka He Noori Bhi Pyaasa
Milay Yam Se Us Ko Bhi Nam Ghaus e Azam

 

 

SAAYA E KHAYRUL WARA MILTA NAHIÑ

 

Do Jahaañ Me Ko-ee Tum Sa Dusra Milta Nahiñ
Dhoondte Phirte Haiñ Mehr o Maah Pata Milta Nahiñ

He Rag e Gardan Se Aqrab, Nafs Ke Andar He Wo
Yuñ Galay Se Mil Ke Bhi, Wo Juda Milta Nahiñ

Aab e Bahr e Ishq Jaanaañ, Seene Me He Mawjzan
Kaun Kehta He Hameñ, Aab e Baqaa Milta Nahiñ

Aab e Taigh e Ishq Pee Kar, Zinda e Jaawed Ho
Gham Na Kar Jo Chashma e Aab o Baqaa Milta Nahiñ

Doob Tu Bahr e Fana Me Phir Baqaa Paa-ega Tu
Qabl Az Bahr e Fana, Bahr e Baqaa Milta Nahiñ

Duniya He Awr Apna Matlab, Be Gharaz Matlab Ko-ee
Aashna Milta Nahiñ, Na-Aashna Milta Nahiñ

Zar’rah-Zar’rah Khaak Ka Chamka He Jis Ke Noor Se
Be Baseerat He Jisay Wo Mah Liqa Milta Nahiñ

Zar’rah-Zar’rah Se ‘Ayaañ He, Aisa Zaahir Ho Ke Bhi
Qatre-Qatre Me Nihaañ He, Barmala Milta Nahiñ

Jo Khuda Deta He Milta He Isee Sarkaar Se
Kuch Kisi Ko Haq Se Us Dar Ke Siwa Milta Nahiñ

Kya ‘Ilaaqa Dushman e Mahboob Ko Allah Se
Be Raza e Mustafa Har Giz Khuda Milta Nahiñ

Ko-ee Maange Ya Na Maange Milne Ka Dar He Yahi
Be ‘Ataa e Mustafa-i Mud-da’a Milta Nahiñ

Rahnumao-ñ Ki See Soorat Raah-maari Kaam He
Rahzan Haiñ Koo Ba-koo Awr Rahnuma Milta Nahiñ

Ahle Gahle Haiñ Masha’ikh Aajkal Har-Har Gali
Be Hama Wa Ba Hama Mard e Khuda Milta Nahiñ

Haiñ Safa e Zaahiri Ke Saaz o Saamaañ Khoob-Khoob
Jis Ka Baatin Saaf Ho, Wo Ba Safa Milta Nahiñ

Bar Zabaan Tasbeeh Wa Dar e Dil Gaaw Khar Ka Dawr Ho
Aise Milte Haiñ Buhat Is Se Wara Milta Nahiñ

Bas Yahi Sarkaar He Is Se Hamesha Paa-enge
Dene Waale Dete Haiñ Kuch Din Sadaa Milta Nahiñ

Door Saahil Mawj Haa-il Paara Beyr’a Kijiye
Naa-oñ He Manjdhaar Me Awr Na Khuda Milta Nahiñ

Wasl e Maula Chahate Ho To Wasila Dhoond Lo
Be Wasila Najdiyo! Har Giz Khuda Milta Nahiñ

Daaman e Mahboob Chor’ay Maange Khud Allah Se
Aise Mardak Ko Khuda Se Mud-da’a Milta Nahiñ

Zar’rah, Zar’rah, Qatrah, Qatrah, Se ‘Ayaañ Phir Bhi Nihaañ
Ho Ke Sha e Rag Se Qareeñ Tar, He Juda, Milta Nahiñ

Taa-ir e Jaañ Ki Tarah Dil Ur’h Ke Jaa Baytha Kahaañ
Mere Pehlu Me Abhi Tha Kya Huwa Milta Nahiñ

Dahriya Uljha Huwa He Dahr Ke Phandoñ Me Yuñ
Saara Uljha Saamne He Awr Sira Milta Nahiñ

Ilm Saane’ Hota He, Masnu’ Se Lekin Isay
Dekh Kar Masnu’ Saane’ Ka Pata Milta Nahiñ

Ne’mat e Kaunain Dete Haiñ Do Aalam Ko Yahi
Maang Dekho Un Se, Tum Dekho To Kya Milta Nahiñ

Sub Se Phir Kar Aa-e Haiñ Ab Shaah e Waala Ke Huzoor
Juz Tumhare Shaafa e Roz e Jaza Milta Nahiñ

Dard Mandi Ke Liye Aadam Se Taa Esa Gaye
De Jo Apne Dard Ki Hakmi Dawa Milta Nahiñ

Jin Se Umeed Karam Thee De Diya Sub Ne Jawaab
Aaj Ke Kaam Aane Waala Khusrawa Milta Nahiñ

 

Yaas Ka Aalam He Sub Se Aas To’ray Aa-e Haiñ
Zaat E Waala Ke Siwa, Awr Aasra Milta Nahiñ

Jal Rahe Haiñ Phunk Rahe Haiñ Aashiqaan e Sokhta
Dhoop He Awr Saaya e Zulf e Rasa Milta Nahiñ

Wo He Khursheed e Risaalat Noor Ka Saaya Kahaañ
Is Sabab Se Saaya e Khayrul Wara Milta Nahiñ

Dushman e Jaañ Se Kaheeñ Bud-tar He Dushman Deen Ka
Un Ke Dushman Se Kabhi Un Ka Gada Milta Nahiñ

Qaasim e Ne’mat Se Hum Maangeñ To Najdi Yuñ Bakeñ
Kyuñ Nabi Se Maangiye, Allah Se Kya Milta Nahiñ

Mustafa Ma Ji’ta Il’la Rahmatulil Aalameen
Chaarah Saaz Dusra Tere Siwa Milta Nahiñ

Khud Khuda Be Waasta De, Ye Humaara Munh Kahaañ
Waasta Sarkaar Haiñ Be Waasta Milta Nahiñ

Hum To Hum, Wo Ambia Ke Bhi Liye He Waasta
Unko Bhi Jo Milta He, Be Waasta Milta Nahiñ

Ambia, Ba’az Awliyah Faa-iz He Is Sarkaar Se
Har Wali Ko Raasta, Be Waasta Milta Nahiñ

Donoñ Aalam Paate Haiñ Sadqa Isee Sarkaar Ka
Khud Khuda Se Paa-e Jo Un Ke Siwa Milta Nahiñ

Zan, Zameen o Zor, Awr Zar Ke Haiñ Gaahak Har Kaheeñ
Dil Se Jo Ho Taalib e Zikr e Khuda Milta Nahiñ

Chaar Zaa, Ek Zaal Ke Badle Me Leñ Chawkas Rahe
Ye Na Samjhe Ye Ikaa-ee Sekr’a Milta Nahiñ

Daad e Dunya Kaisa, Uff Sunte Nahiñ Faryaad Bhi
Sun’ne Waala Dard Ka Ko-ee Shaha Milta Nahiñ

Baap, Maañ, Bha’ee, Bahan, Farzand o Zan, Ik Ik Juda
Ghamzada Har Ek He, Awr Ghamzuda Milta Nahiñ

Jo Muhib Ki Cheez He, Mahboob Ke Qabze Me He
Haath Me Ho Jis Ke Sab Kuch, Us Se Kya Milta Nahiñ

Dil Sataani Karne Waale Haiñ Hazaaroñ Dil-ruba
Dil Nawaazi Karne Waala Dil-Ruba Milta Nahiñ

Dil Gaya Ach’cha Huwa, Iska Nahiñ Gham; Gham He Ye,
Le Gaya Pehlu Se Jo, Wo Dil-Ruba Milta Nahiñ

Muhy e Sunnat, Haami e Mil’lat, Mujad’did Deen Ka
Paykar e Rushd o Huda Ahmad Raza Milta Nahiñ

Be Nawa Ko Be Sada Milta He Is Sarkaar Se
Doodh Bhi Betay Ko Maañ Se Be Sada Milta Nahiñ

Kis Tarah Ho Haazir e Dar Noori e Be Par Shaha
Naakay Rokay Dushmano Ne Raasta Milta Nahiñ

 

YE KIS SHAHANSHAH E WAALA KI AAMAD AAMAD HE

 

Ye Kis Shahanshah e Waala Ki Aamad Aamad He
Ye Kaun Se Shah e Baala Ki Aamad Aamad He

Ye Aaj Taare Zameeñ Ki Taraf Haiñ Kyuñ Maa-il
Ye Aasmaañ Se Paiham He Noor Kyuñ Naazil

Ye Aaj Kya He Zamaane Ne Rang Badla He
Ye Aaj Kya He Ke Aalam Ka Dhang Badla He

Ye Aaj Kaahe Ki Shaadi He, Arsh Kyuñ Jhooma
Lab e Zameeñ Ko Lab e Aasmaañ Ne Kyuñ Chooma

Samaa Wo Dooba Huwa Awr Saawa Khushk Huwa
Khazaañ Ka Dawr Gaya, Mawsam e Bahaar Ka Aaya

Ye Aaj Kya He Ke But’t Oondhay Ho Gaye Saare
Ye Aaj Kyuñ Haiñ Shayaateeñ Bandhe Huwe Saare

Ye Ambia o Rusul Kis Ke Intizaar Me Haiñ
Ye Aaj Laat o Hubal Kis Se Inkaar Me He

Ye Aaj Bushrah Lakum Ki Sada Ka Shor He Kyuñ
Ye Marhaba Ki Nidaa-oñ Me Aaj Zor He Kyuñ

Kaha Jawaab Me Haatif Ne, Lo Mubaarak Ho
Ut’ho Khuda Ke Habeeb Aa-e Muzhda Ho Tum Ko

Wo Aa-e, Aane Ki Jin Ke Khabar Thee Mud’dat Se
Du’a Khaleel Ki, Esa Ki Jo Bashaarat Thay

Bar’ho Adab Se Karo Arz As Salaamu Alaik
Wa Ahli Baytika Wal Aali Wal Ladheena Ladaik

Salaam Tum Pe Khuda Ka Awr Us Ki Rahmat Ho
Tahiy’yat Us Ki, Sanaa Us Ki, Us Ki Ne’mat Ho

Durood Aap Pe Har Aan Bheje Rab’b e Wadood
Awr Us Ki Barkatoñ Ka Roz Aap Par Ho Warood

Salaam Aap Par Naazil Kare Salaat o Salaam
Baland Zikr Kare Aap Ka Hamesha Madaam

Yahi Haiñ Jin Ko Malaa-ik Salaam Karte Haiñ
Inhi Ki Madh o Sanaa Subh o Shaam Karte Haiñ

 

HAQ SE MILAANE AA-E HAIÑ

Rusul Unheeñ Ka To Muzhdah Sunaane Aa-e Haiñ
Unheeñ Ke Aane Ki Khushiyaañ Manaane Aa-e Haiñ

Farishte Aaj Jo Dhoomeñ Machaane Aa-e Haiñ
Unheeñ Ke Aane Ki Shaadi Rachaane Aa-e Haiñ

Falak Ke Hoor o Malak Geet Gaane Aa-e Haiñ
Ke Do Jahaañ Me Ye Danke Bajaane Aa-e Haiñ

Ye Seedha Raasta Haq Ka Bataane Aa-e Haiñ
Ye Haq Ke Bandoñ Ko Haq Se Milaane Aa-e Haiñ

Ye Bhoole Bichr’oñ Ko Raste Pe Laane Aa-e Haiñ
Ye Bhoole Bhat’ko Ko Haadi Banaane Aa-e Haiñ

Khuda e Paak Ke Jalwe Dikhaane Aa-e Haiñ
Diloñ Ko Noor Ke Buq’ay Banaane Aa-e Haiñ

Ye Qaid o Band e Alam Se Churaane Aa-e Haiñ
Lo Muzhdah Ho, Ke Riha-ee Dilaane Aa-e Hain

Chamak Se Apni Jahaañ Jagmagaane Aa-e Haiñ
Mahak Se Apni Ye Kooche Basaane Aa-e Haiñ

Naseem e Faiz Se Ghunche Khilaane Aa-e Haiñ
Karam Ki Apni Bahaareñ Dikhaane Aa-e Haiñ

Yahee To Sotay Huwoñ Ko Jagaane Aa-e Haiñ
Yahee To Rotay Huwoñ Ko Hasaane Aa-e Haiñ

Ye Kufr o Shirk Ki Niyuw’weñ Hilaane Aa-e Haiñ
Ye Shirk o Kufr Ki Ta’meereñ D’haane Aa-e Haiñ

Hazaar Saal Ki Roshan Shudah, Bujhi Aatish
Ye Kufr o Shirk Ki Aatish, Bujhaane Aa-e Haiñ

Sahar Ko Noor Jo Chamka, To Shaam Tuk Chamka
Bata Diya Ke, Jahaañ Jagmagaane Aa-e Haiñ

Inheñ Khuda Ne Kiya Apne Milk Ka Maalik
Inheeñ Ke Qabze Me Rab’b Ke Khazaane Aa-e Haiñ

Jo Chaaheñge Jisay Chaaheñge Ye Usay Deñge
Kareem Haiñ Ye, Khazaane Lutaane Aa-e Haiñ

Jo Gir Rahe Thay Unheñ Naa-iboñ Ne Thaam Liya
Jo Gir Chukay Haiñ, Ye Unko Ut’haane Aa-e Haiñ

Maseeh e Paak Ne Ajsaam Murdah, Zinda Kiye
Ye Jaan e Jaañ, Dil o Jaañ Ko Jilaane Aa-e Haiñ

Bulaawa Aap Ka Ab Tuk Diya Kiye Naa-ib
Ab Aap Bandoñ Ko Apne Bulaane Aa-e Haiñ

Ra-oof Aise Haiñ Awr Ye Raheem Haiñ Itne
Ke Girte Par’toñ Ko Seene Lagaane Aa-e Haiñ

Sunoge ‘Laa’ Na Zabaan e Kareem Se Noori
Ye Faiz o Jood Ke Darya Bahaane Aa-e Haiñ

GUNAHGAROÑ KI BAKHSHISH KARAANE AA-E HAIÑ

 

Hum Apni Hasrat e Dil Ko Mit’aane Aa-e Haiñ
Hum Apni Dil Ki Lagee Ko Bujhaane Aa-e Hain

Dil e Hazeeñ Ko Tasal’li Dilaane Aa-e Haiñ
Gham e Firaaq Ko Dil Se Mit’aane Aa-e Haiñ

Kareem Haiñ Wo Nigaahe Karam Se Dekheñge
He Daagh-Daagh, Dil Apna Dikhaane Aa-e Haiñ

Gham o Alam Ye Mit’aadeñge, Shaad Kardeñge
Hum Apne Gham Ka Qaziyah Chukaane Aa-e Haiñ

Huzoor Behr e Khuda Daastaan e Gham Sun Leñ
Gham e Firaaq Ka Qis’sa Sunaane Aa-e Haiñ

Nigaah e Lutf o Karam Hogi Awr Phir Hogi
Ke Zakhm e Dil Pe Ye Marham Lagaane Aa-e Haiñ

Faqeer Aap Ke Dar Ke Haiñ, Hum Kahaañ Jaa-eñ
Tumhare Kooche Me Dhooni Ramaane Aa-e Haiñ

Madina Hum Se Faqeer Aa Ke Lowt’ Jaa-eñge
Dar e Huzoor Pe Bistar Jamaane Aa-e Haiñ

Khuda Ne Ghaib Diya He, Inheñ He Sub Roshan
Jo Khatre Dil Hee Me, Chupne Chupaane Aa-e Haiñ

Khilegi Mere Bhi Dil Ki Kalee Ke Jaan e Jinaañ
Chaman Me Phool e Karam Ke Khilaane Aa-e Haiñ

Kitaab e Hazrat e Moosa Me Wasf Haiñ Inke
Kitaab e Esa Me In Ke Fasaane Aa-e Haiñ

Inheeñ Ki Na’at Ke Naghme Zaboor Se Sun Lo
Zabaan e Qur’an Pe In Ke Taraane Aa-e Hain

Daba Nahiñ, Wo Falak Se Baland O Baala He
Tahay Zameeñ Jisay Sarwar Dabaane Aa-e Haiñ

Naseeb Jaag Ut’tha Us Ka, Chain Se Soya
Wo Jis Ko Qabr Me Sarwar Sulaane Aa-e Haiñ

Ajab Karam He Ke Khud Mujrimoñ Ke Haami
Gunahgaaroñ Ki Bakhshish Karaane Aa-e Haiñ

Sabhi Rusul Ne Kaha ‘Idh-haboo Ila Ghairi’
‘Ana Lahaa’ Ka Ye Muzhdah Sunaane Aa-e Haiñ

Zabaan e Ambia Par Aaj Nafsi, Nafsi He
Magar Huzoor Shafa’at Ki T’haane Aa-e Haiñ

Kisi Ghareeb Ke Pal’lay Pe Waqt e Wazn e Amal
Bharam Karam Se Ye Us Ka Banaane Aa-e Haiñ

Wo Parcha Jis Me Likha Thaa Durood Us Ne Kabhi
Ye Us Se Neykiyaañ Us Ki Bar’haane Aa-e Haiñ

Khuda Se Karte Huwe Arz Rab’bi Sal’lim-Hu
Siraat Par Ye Kisi Ko Chalaane Aa-e Haiñ

Zabaañ Jo Dekhe He Sookhi Huwi To Bahr e Karam
Kisi Ko Hauz Pe Sharbat Pilaane Aa-e Haiñ

Huwa He Hukm Kisi Ko Ke Naar Me Jaa-e
Ye Sun Ke Dawr’ Ke Us Ko Chur’aane Aa-e Haiñ

Ilaahi! Door Hoñ Najdi Hijaaz Se Jaldi
Hijaaziyoñ Ko Ye Moozi Sataane Aa-e Haiñ

Naseeb Tera Chamak Uth’tha Dekh To Noori
Arab Ke Chaand Lahad Ke Sirhaane Aa-e Haiñ

 

JO KHWAAB ME KABHI AA-EÑ HUZOOR AANKHOÑ ME

Jo Khwaab Me Kabhi Aa-eñ Huzoor Aankhoñ Me
Suroor Dil Me Ho Paida, To Noor Aankhoñ Me

Hata Deñ Aap Agar Rukh Se Ik Zara Pardah
Chamak Na Jaa-e Abhi Barq e Toor Aankhoñ Me

Nazar Ko Hasrat e Paa Bos He Mere Sarwar
Karam Huzoor Kareñ, Par Zaroor Aankhoñ Me

Khulay Haiñ Deedah e Ush’shaaq Qabr Me Yuñhee
He Intizaar Kisi Ka Zaroor Aankhoñ

Khuda He Tu Na Khuda Se Juda He Ay Maula
Tere Zahoor Se Rab’b Ka Zahoor Aankhoñ Me

Wajood e Shams Ki Burhaañ He Khud Wajood Us Ka
Na Maane Ko-ee Agar He Qasoor Aankhoñ Me

Khuda Se Tum Ko Juda Dekhte Haiñ Jo Zaalim
He Zeegh Qalb Me Unke, Futoor Aankhoñ Me

Na Ek Dil Ke Mah o Mehr, Anjum o Nargis
He Sub Ki Aarazu, Rakheñ Huzoor Aankhoñ Me

Umand’ Ke Aah! Nahiñ Aa-e Ashk Haa-e Khooñ
Ye Aa Raha He Dil e Na Saboor Aankhoñ Me

Huzoor Aankhoñ Me Aa-eñ, Huzoor Dil Me Samaa-eñ
Huzoor Dil Me Samaa-eñ, Huzoor Aankhoñ Me

Ghilaaf e Chashm Ke Uth’tay Hee Aasmaan Gaye
Nazar Ke Aise Qawi Haiñ Tayoor Aankhoñ Me

Nazar Nazeer Na Aaya, Nazar Ko Ko-ee Kaheeñ
Jachay Na Ghilmaañ Nazar Me, Na Hoor Aankhoñ Me

Hamaari Jaan Se Zyaada Qareeb Ho Hum Se
Tumheñ Qareeb Jo Hum Ko He Door Aankhoñ me

Jahaañ Ki Jaan Haiñ Wo, Jaan Se Kuch Manzoor
Ayaañ He Kaf Ki Tarah, Nizd o Door Aankhoñ Me

Ma-e Muhabbat e Mahboob Se Ye Haiñ Sar Sabz
Bhari Huwi He Sharaab e Tahoor Aankhoñ Me

Huwa He Khaatima Imaan Par Tera Noori
Jabhi Haiñ Khuld Ke Hoor o Qusoor Aankhoñ Me

KUCH AISA KAR DE MERE KIRDIGAAR AANKHOÑ ME

Kuch Aisa Kar De Mere Kirdigaar Aankhoñ Me
Hamesha Naqsh Rahe Roo e Yaar Aankhoñ Me

Na Kaise Ye Gul o Gunche Hoñ Khwaar Aankhoñ Me
Basay Huwe Haiñ Madinay Ke Khaar Aankhoñ Me

Basa Huwa He Ko-ee Gul ‘Azaar Aankhoñ Me
Khila He Chaar Taraf Laalah Zaar Aankhoñ Me

Huwa He Jalwa-Numa Gul ‘Azaar Aankhoñ Me
Khazaañ Ke Dawr Me Phooli Bahaar Aankhoñ Me

Suroor O Noor Ho Dil Me Bahaar Aankhoñ Me
Jo Khwaab Me Kabhi Aa-e Nigaar Aankhoñ Me

Wo Noor De Mere Parwardigaar Aankhoñ Me
Ke Jalwah Gar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhoñ Me

Nazar Ho Qadmoñ Par Un Ke Nisaar Aankhoñ Me
Banaa-eñ Apna Hoñ Wo Rah Guzaar Aankhoñ Me

Na Ik Nigaah Hee Sadqe Ho Dil Bhi Qurbaañ Ho
Karam Kare To Wo Naaqah Sawaar Aankhoñ Me

Basar Ke Saath Baseerat Bhi Khoob Roshan Ho
Lagaa-uñ Khaak e Qadam Baar-Baar Aankhoñ Me

Tumhare Qadmoñ Pe Moti Nisaar Hone Ko
Haiñ Be-Shumaar Meri Ashk-baar Aankhoñ Me

Nazar Na Aaya Qaraar e Dil e Hazeeñ Ab Tuk
Nigaah Rehti He Yuñ Be-Qaraar Aankhoñ Me

Unheñ Na Dekha To Kis Kaam Ki Haiñ Ye Aankheñ
Ke Dekhne Ki He Saari Bahaar Aankhoñ Me

Nazar Me Kaise Samaa-enge Phool Jannat Ke
Ke Bas Chukay Haiñ Madine Ke Khaar Aankhoñ Me

Ajab Nahiñ Ke Likha Lauh Ka Nazar Aa-e
Jo Naqsh e Paa Ka Lagaa-uñ Ghubaar Aankhoñ Me

Milay Jo Khaak e Qadam Un Ki Mujh Ko Qismat Se
Lagaa-uñ Surmah Na Phir Zee-Nihaar Aankhoñ Me

Madina Jaane Chaman Awr Khazaañ Se Aiman He
Lagaa-e Khaak Wahaañ Ki Hazaar Aankhoñ Me

Khulay He Deedah e Ush’shaaq Khwaab e Marg Me Bhi
Ke Us Nigaar Ka He Intezaar Aankhoñ Me

Khazaañ Ka Dawr Huwa Door, Wo Jahaañ Aa-e
Huwi He Qadmoñ Se Un Ke Bahaar Aankhoñ Me

Ye Ishtiyaaq Teri Deed Ka He Jaan e Jahaañ
Dam Aa Gaya He Dam e Ikhtidaar Aankhoñ Me

Ye Aasmaan Ke Taare Ye Nargis e Shahla
Tera Hee Jalwa He In Be Shumaar Aankhoñ Me

Ye Dum Humaara Ko-ee Dum Ka Awr Mehmaañ He
Karam Se Lijiye Dum Bhar Qaraar Aankhoñ Me

Wo Sabz, Sabz, Nazar Aa Raha He Gumbad e Sabz
Qaraar Aa Gaya Yuñ Be Qaraar Aankhoñ Me

Bahaar e Dunya He Faani Nazar Na Kar Is Par
He Ko-ee Dum Ki Ye Saari Bahaar Aankhoñ Me

Ye Gul Ye Ghunche Ye Gulshan Ke Beyl Awr Bootay
Unheeñ Ke Dum Ki He Saari Bahaar Aankhoñ Me

Ye Haal e Zaar He Furqat Me Tere Muztar Ka
Ke Ashk Aate Haiñ Be-Ikhtiyaar Aankhoñ Me

Wahee Mujhe Nazar Aa-eñ Jidhar Nigaah Karuñ
Unheeñ Ka Jalwa Rahe Aashakaar Aankhoñ Me

Ye Dil Tar’ap Ke Kahiñ Aankhoñ Me Na Aa Jaa-e
Ke Phir Raha He Kisi Ka Mazaar Aankhoñ Me

Na Aise Phool Khilay Haiñ Kabhi Na Aage Khileñ
Bahaaroñ Me He Arab Ki Bahaar Aankhoñ Me

Qareeb He Rag e Gardan Se Par Juda He Wo
Na Yaar Dil Me Makeeñ He, Na Yaar Aankhoñ Me

Ye Qurb Awr Ye Doori Khuda Ki Qudrat He
Ke Hoga Khuld Me Deedaar e Yaar Aankhoñ Me

Karam Ye Mujh Pe Kiya He Mere Tasaw’wur Ne
Ke Aaj Kheench Di Tasweer e Yaar Aankhoñ Me

Farishto Poochte Ho Mujh Se Kis Ki Ummat Ho
Lo Dekh Lo Ye He Tasweer e Yaar Aankhoñ Me

 

Na Sirf Aankheñ Hee Roshan Hoñ Dil Bhi Beena Ho
Agar Wo Aa-eñ Kabhi Ek Baar Aankhoñ Me
Not Only Will My Eyes Glow, But My Heart Will Also See Radiantly,

Hazaar Aankheñ Haiñ Taaroñ Ki Ik Gul e Mahtaab
Ye Ek Phool He, Jaise Hazaar Aankhoñ Me

Yuñ Hee Haiñ Maah e Risaalat Bhi Sub Nabiyoñ Me
Karor Aankhoñ Nahiñ Be-Shumaar Aankhoñ Me

Ye Kya Sawaal He Mujh Se, Ke Kis Ka Banda He
Me Jis Ka Banda Hooñ, He Noor Baar Aankhoñ Me

He Aashakaar Nazar Me Jahaañ Ki Nee-rangi
Jama He Naqsha e Layl o Nahaar Aankhoñ Me

Jama Huwa He Tasaw’wur Me Rauza e Waala
Basay Huwe Haiñ Wo Layl o Nahaar Aankhoñ Me

Nahaar Chehra e Waala, To Gaisoo Haiñ Wal Layl
Baham Huwe Haiñ Ye Layl o Nahaar Aankhoñ Me

Piya He Jaam e Muhab’bat Jo Aap Ne Noori
Hamesha Us Ka Rahega Khumaar Aankhoñ Me

Murshid e Kareem Huzoor Sayyidi Taajush Shariah would also read this
She’r in the following manner:
Diya He Jaam e Muhab’bat Jo Aap Ne Noori
Hamesha Us Ka Rahega Khumaar Aankhoñ Me

 

HABEEB E KHUDA KA
NAZAARA KARUÑ ME

Habeeb e Khuda Ka Nazaara Karooñ Me
Dil o Jaan Un Par Nisaara Karooñ Me

Teri Kafsh e Paa Yuñ Sanwaara Karooñ Me
Ke Palkoñ Se Us Ko Buhaara Karooñ Me

Teri Rahmateñ Aam Haiñ Phir Bhi Pyaare
Ye Sadmaat e Furqat Sahaara Karuñ Me

 

Mujhe Apni Rahmat Se Tu Apna Kar Le
Siwa Tere Sab Se Kinaara Karooñ Me

Me Kyuñ Ghair Ki Thokareñ Khaane Jaa-uñ
Tere Dar Se Apna Guzaara Karooñ Me

Salaasil Masaa-ib Ke Abru Se Kaato
Kahaañ Tak Masaa-ib Gawaara Karooñ Me

Khudara Ab Aawo Ke Dum He Laboñ Par
Dum e Waapasi To Nazaara Karooñ Me

Tere Naam Par Sar Ko Qurbaan Kar Ke
Tere Sar Se Sadqa Utaara Karooñ Me

Ye Ek Jaan Kya He Agar Hoñ Karoroñ
Tere Naam Par Sab Ko Waara Karooñ Me

Mujhe Haath Aa-e Agar Taaj e Shaahi
Teri Kafsh e Paa Par Nisaara Karooñ Me

Tera Zikr Lab Par, Khuda Dil Ke Andar
Yunhi Zindagaani Guzaara Karooñ Me

Dum e Waapasi Tak Tere Geet Ga-ooñ
Muhammad-Muhammad Pukaara Karooñ Me

Tere Dar Ke Hote Kahaañ Jaa-uñ Pyaare
Kahaañ Apna Daaman Pasaara Karooñ Me

Mera Deen o Imaañ Farishte Jo Poocheñ
Tumhari Hi Jaanib Ishaara Karooñ Me

Khuda Aisi Quw’wat De Mere Qalam Me
Ke Bad-Mazhaboñ Ko Sudhaara Karooñ Me

Jo Ho Qalb Sona To Ye He Suhaaga
Teri Yaad Se Dil Nikhaara Karooñ Me

Khuda Ek Par Ho To Ik Par Muhammad
Agar Qalb Apna Do Paara Karooñ Me

Khuda Khair Se Laa-e Wo Din Bhi Noori
Madine Ki Galiyaañ Buhaara Karooñ Me

Saba Hee Se Noori Salaam Apna Keh De
Siwa Us Ke Kya Awr Chaara Karuñ Me

 

SHAAHE WAALA MUJHE
TAIBA BULA LO

Shaahe Waala Mujhe Taiba Bula Lo
Taiba Bula Lo Mujhe Taiba Bula Lo
Dewrh’i Ka Apni Kut’ta Bana Lo
Qadmoñ Se Apne Mujh Ko Laga Lo

Sadqe Me Sadqe Me Sadqe Bula Lo
Furqat Ke Maare Ko Pyaare Jila Lo
Pyaare Jila Lo Mujhe Pyaare Jila Lo
Maula Jila Lo Mujhe Aaqa Jila Lo

Duniya Ke Jhagr’oñ Se Yaksar Chur’a Kar
Ghayroñ Ki Ulfat Ko Dil Se Mitaa Kar
Shaahe Waala Mujhe Apna Bana Lo
Apna Bana Lo Mujhe Apna Bana Lo

Neykoñ Ke Sadqe Me Hum Se Badoñ Ko
Zaar o Nazaar o Musibat Zadoñ Ko
Maula Nibhaalo Mere Maula Nibhaalo
Haañ, Haañ Nibhaalo, Mere Maula Nibhaalo

Hote Ho Tum Kyuñ Maayoos o Muztar
Kis Waaste Ho Hayraan o Shashdar
Dukh Dard Waalo Suno Dukh Dard Waalo
Taiba Se Har Ek Apni Dawa Lo

Daarush Shifa e Taiba Me Aa-o
Jo Maango Fawran Munh Maangi Paa-o
Andoh o Gham Sub Apne Mit’a Lo
Ranj o Alam Sub Dil Se Nikaalo

Aankhoñ Me Aa-o Dil Me Samaa-o
Pardah Utha-o Jalwa Dikha-o
Hasrat Zada Ki Pyaare Dua Lo
Hasrat Nikaalo Meri Hasrat Nikaalo

Qurbaan Jaa-uñ, Qurbaan Jaa-uñ
Sar Sadqe Kar Ke, Sadqe Utaaroñ
Qadmoñ Me Apne Maula Bula Lo
Maula Bula Lo, Mujhe Aaqa Bula Lo

Baad e Mukhaalif Teyz Aa Rahi He
Kashti Hamaari Chakra Rahi He
Manjhdhaar Me He, Maula Bacha Lo
Pyaare Bacha Lo, Mujhe Shaaha Bacha Lo

D’olat He Nay’ya Mori Bhanwar Me
Maula Tiraa-o Ay Ke Najar Me
Mori Khabariya Moray Piya Lo
Mo Ko Bacha Lo Piya, Mo Ko Bacha Lo

Taa-ib Hoñ Najdi Aa-ib Hoñ Najdi
Awr Ye Na Ho To, Khaa-ib Hoñ Najdi
Ghaa-ib Hoñ Najdi Maula Nikaalo
Jaldi Nikaalo Inheñ Jaldi Nikaalo

Ye Noori e Muztar Tera Sanaagar
Awr Is Ka Ghar Bhar Ho Haazir e Dar
Apne Gadaagar Ko Dar Par Bula Lo
Amn o Amaañ Se Hameñ Sarwar Bula Lo

 

BAHAAR E JAAÑ FIZA TUM HO

 

Bahaar e Jaañ Fiza Tum Ho Naseem e Daastañ Tum Ho
Bahaar e Baagh e Rizwaañ Tum Se He Zayb e Jinaañ Tum Ho

Habeeb e Rab’b e Rahmaan Tum, Makeen e La Makaañ Tum Ho
Sar e Har Do Jahaañ Tum Ho, Sha e Shaahan-Shahaañ Tum Ho

Haqeeqat Aap Ki Mastoor He, Yuñ To Nihaañ Tum Ho
Numayaañ Zar’re, Zar’re Se, Haiñ Jalwe Yuñ ‘Ayaañ Tum Ho

Haqeeqat Se Tumhari Juz Khuda Awr Kaun Waaqif He
Kahe To Kya Kahe Ko-ee Chuneeñ Tum Ho Chunaañ Tum Ho

Khuda Ki Saltanat Ka Do Jahaañ Me Kaun Dulha He
Tumhee Tum Ho, Tumhee Tum Ho, Yahaañ Tum Ho Wahaañ Tum Ho

Tumhara Noor Hee Saari He, In Saari Bahaaroñ Me
Bahaaroñ Me Nihaañ Tum Ho, Bahaaroñ Se ‘Ayaañ Tum Ho

Zameen o Aasmaañ Ki Sub Bahaareñ Aap Ka Sadqa
Bahaar e Be Khazaañ Tum Ho, Bahaar e Jaawedaañ Tum Ho

Tumhare Husn o Rang o Bu Ki Gul Bootay Hikaayat Haiñ
Bahaar e Gulsitaañ Tum Ho, Bahaar e Bostaañ Tum Ho

Tumhare Taabish e Rukh Hee Se Roshan Zar’ra, Zar’ra He
Mah o Khurshid o Anjum, Barq Me, Jalwah Kunaañ Tum Ho

Nazar Arif Ko Har Aalam Me Aaya Aap Ka Aalam
Na Hote Tum To Kya Hota, Bahaar e Har Jahaañ Tum Ho

Tumhare Jalwa e Rangeeñ Hee Ki Saari Bahaareñ Haiñ
Bahaaroñ Se ‘Ayaañ Tum Ho, Bahaaroñ Me Nihaañ Tum Ho

Mujas’sam Rahmat e Haq Ho, Ke Apna Gham Na Andesha
Magar Hum Se Siyah Kaaroñ Ki Khaatir Yuñ Rawaañ Tum Ho

Kuja Hum Khaak Uftaada, Kuja Tum Ay Shah e Baala
Agar Misl e Zameeñ Hum Haiñ, To Misl e Aasmañ Tum Ho

Ye Kya Me Ne Kaha Misl e Samaa Tum Ho Ma’az-Allah
Munaz’zah Misl Se Bartar Zihar Wehm o Gumaañ Tum Ho

Me Bhoola Aap Ki Rif’at Se Nisbat Hee Hameñ Kya He
Woh Kehne Bhar Ki Nisbat Thee, Kahaañ Hum Haiñ Kahaañ Tum Ho

Cheh Nisbat Khaak Raa Baa Aalam e Paakat Ke Ay Maula
Gada e Be Nawa Hum Haiñ, Sha e Arsh e Aastaañ Tum Ho

Me Be-Kas Huñ, Me Be-Bus Huñ, Magar Kis Ka Tumhara Huñ
Tahay Daaman Mujhe Le Lo, Panaah e Be Kasaañ Tum Ho

Haqeeqat Me Ne Be-Kas Huñ, Na Be-Bas Huñ, Na Naa-Taaqat,
Me Sadqe Jaa-uñ, Mujh Kamzor Ke Taab o Tawaañ Tum Ho

Hameñ Ummeed He Rauz e Qiyaamat Unki Rahmat Se
Ke Farma-eñ Idhar Aa-o Na Maayoos Az Jinaañ Tum Ho

Sitam Kaaro, Khata Kaaro, Siyah Kaaro, Jafa Kaaro
Hamaare Daman e Rahmat Me Aa Jaa-o Kahaañ Tum Ho

Sitam-Kaaro! Chale Aa-o, Chale Aa-o, Chale Aa-o
Hamaare Ho, Hamaare Ho, Agar Che Az-Badaañ Tum Ho

Tumhare Hote Saate Dard Dukh Kis Se Kahuñ Pyaare
Shafi e Aasiyañ Tum Ho Wakeel e Mujrimaañ Tum Ho

Maseeh e Paak Ke Qurbaañ, Magar Jaan e Dil o Imaañ
Hamaare Dard Ke Darmaañ, Tabeeb e Ins o Jaañ Tum Ho

Dikha-e Laakh Aankheñ Mahr e Mahshar Kuch Nahiñ Parwa
Khuda Rakhe Tumheñ Tum Ho, Mere Amn o Amaañ Tum Ho

Riyaazat Ke Yahi Din Haiñ Bur’haape Me Kahaañ Himmat
Jo Kuch Karna Ho Ab Kar Lo Abhi Noori Jawaañ Tum Ho

Faqat Nisbat Ka Jaise Hooñ, Haqeeqi Noori Ho Jaa-uñ
Mujhe Jo Dekhe Keh Uth’thay, Miyañ! Noori Miyañ Tum Ho

Sana Manzoor He Unki, Nahiñ Ye Mud’da’a Noori
Sukhan Sanj o Sukhanwar Ho Sukhan Ke Nukta Daañ Tum Ho

 

 

KYA KAHUÑ KAISE HAIÑ PYAARE
TERE PYAARE GAISOO

Kya Kahuñ Kaise Haiñ Pyaare Tere Pyaare Gaisoo
Donoñ Aariz Haiñ Duha, Layl Ke Paare Gaisoo

Dast e Qudrat Ne Tere Aap Sanwaare Gaisoo
Hoor Sow Naaz Se Kyuñ Un Pe Na Waare Gaisoo

Khaak e Taiba Se Agar Ko-ee Nikhaare Gaisoo
Sumbul e Khuld To Kya, Hoor Bhi Haare Gaisoo

Sumbul e Taiba Ko Dekhe Jo Sanwaare Gaisoo
Sumbul e Khuld Ke Rizwaañ Bhi Nisaare Gaisoo

Kis Liye Ambar e Saara Na Hoñ Saare Gaisoo
Gaisoo Kis Ke Haiñ, Ye Pyaare Haiñ Tumhare Gaisoo

Hoñ Na Kyuñ Rahmat e Haq, Haq Me Hamaare Gaisoo
Gaisoo Ay Jaan e Karam Haiñ Ye Tumhare Gaisoo

Ye Ghataa Jhoom Ke Kaa’ba Ki Faza Par Aa-ee
Ur’r Ke Yaa Abru Pe Chaa-e Haiñ Tumhare Gaisoo

Maah e Taabaañ Pe Haiñ Rahmat Ki Ghataa-eñ Chaa-eeñ
Roo e Pur Noor Pe Yaa Chaa-e Tumhare Gaisoo

Sar Ba-Sajdah Huwe Mehraab Kham e Abru Me
Kaa’ba e Jaañ Ke Jo Aa-e Haiñ Kinaare Gaisoo

Nay’yar e Hashr He Sar Par, Nahiñ Saaya Sarwar
He Ka’ree Dhoop Kareñ Saaya Tumhare Gaisoo

Sookh Jaa-e Na Kahiñ Kisht e Amal Ay Sarwar
Boondiyaañ Lak’kah e Rahmat Se Utaare Gaisoo

Apni Zulfoñ Se Agar Na’al e Mubaarak Ponchay
Rizwaañ Barkat Ke Liye, Hoor Ke Dhaare Gaisoo

Gard Jhaar’ee He Tere Rauze Ki Baaloñ Se Shaha
Mushk Boo Kaise Na Hoñ Aaj Hamaare Gaisoo

Ab Chamakti He Siyaah-Kaaro Tumhari Qismat
Lo, Jhukay Izn Ke Sajde Ko Wo Pyaare Gaisoo

Pesh e Maula e Raza Joo Haiñ Jhukay Sajde Me
Karte Haiñ Bakhshish e Ummat Ke Ishaare Gaisoo

Phwaar Mastoñ Pe Tere Abr e Karam Ki Barse
Saaqiya Khol Zaraa Haudh e Kinaare Gaisoo

Saaya Bhi Chaahiye He Mastoñ Ko, Do Cheente Me
Kaash Saaqi Ke Khuleñ Haudh e Kinaare Gaisoo

Ambaristaañ Banay Mahshar Ka Wo Maidaañ Saara
Khol De Saaqi Agar, Haudh e Kinaare Gaisoo

Baadah o Saaqi Lab e Joo To Haiñ Phir Abr Bhi Ho
Saaqi Khul Jaa-eñ Tere Haudh Kinaare Gaisoo

Ye Sar e Toor Se Girtay Haiñ Sharaare Noori
Roo e Pur Noor Pe Yaa Waare Haiñ Taare Gaisoo

 

NABIYUL AMBIA TUM HO

 

Ko-ee Kya Jaane Jo Tum Ho, Khuda Hee Jaane Kya Tum Ho
Khuda To Keh Nahi Sakte Magar Shaan e Khuda Tum Ho

Nabiyoñ Me Ho Tum Aise Nabiyul Ambia Tum Ho
Haseenoñ Me Tum Aise Ho Ke Mahboob e Khuda Tum Ho

Tumhara Husn Aisa He Ke Mahboob e Khuda Tum Ho
Mah e Kaamil Kare Kasb e Zia Wo Meh-Liqa Tum Ho

‘Uloo e Martabat Pyaare Tumhara Sab Pe Roshan He
Makeen e Laa Makaañ Tum Ho Shah e Arsh e Ulaa Tum Ho

Tumhari Hamd Farma-ee Khuda Ne Apne Qur’an Me
Muhammad Awr Mumaj’jad Mustafa o Mujtaba Tum Ho

Jo Sab Se Pichla Ho Phir Us Se Pichla Ho Nahiñ Sakta
Ke Wo Pichla Nahiñ, Agla Huwa, Us Se Wara Tum Ho

Tumhee Se Fath Farma-ee Tumhee Par Khatm Farma-ee
Rusul Ki Ibtida Tum Ho Nabi Ki Intiha Tum Ho

Khuda Ne Zaat Ka Apni Tumheñ Mazhar Banaaya He
Jo Haq Ko Dekhna Chaaheñ To Us Ke Aa-ina Tum Ho

Tumhee Baatin Tumhee Zaahir Tumhee Aw’wal Tumhee Aakhir
Nihaañ Bhi Ho ‘Ayaañ Bhi, Mubtada o Muntaha Tum Ho

Munawwar Kar Diya He Aap Ke Jalwoñ Ne Aalam Ko
Mah o Khursheed Ko Bakhshi Zia Noor e Khuda Tum Ho

Mit’aa Di Kufr Ki Zulmat Tumhare Roo e Roshan Ne
Saweyra Shirk Ka Tum Ne Kiya Shams-ud Duha Tum Ho

Jahaañ Taareek Tha Saara Andhera Hee Andhera Tha
Tum Aaye Zulmateñ Tum Se Mit’eeñ Badrud-Duja Tum Ho

Mera Munh Kya Ke Me Madh o Sataa-ish Me Zubaañ Kholuñ
Mere Aaqa Tum Aise Ke Mamdooh e Khuda Tum Ho

Rafa’na Se Tumhari Rif’at e Bala Huwi Zaahir
Ke Mahboobaan e Rab Me Sab Se Aali Martaba Tum Ho

‘Uloo e Rutba e Sarkaar e Aali Sub Pe Roshan He
Makeen e Laa Makaañ Tum Ho, Shah e Arsh e Ulaa Tum Ho

Shab e Me’raj Se Ay Sayyid e Kul Ho Gaya Zaahir
Rusul Haiñ Muqtadi Saare Imam Ul Ambia Tum Ho

Na Hote Tum Na Hote Wo, Ke Asl e Jumla Tum Hee Ho
Khabar Thay Wo Tumhari Mere Maula Mubtada Tum Ho

Tumhare Chaahane Waale Ko Kuch Aisi Muhabbat He
Udhar Ho Jaa-e Wo Maula Dihar Sadrul Wara Tum Ho

Tumhare Chaahane Waale Usay Mahboob Haiñ Saare
Kuch Is Andaaz Se Pyaare Habeeb e Kibriya Tum Ho

Tumhare Baad Paida Ho Nabi Ko-ee Nahiñ Mumkin
Nubuw’wat Khatm He Tum Par Ke Khatm ul Ambia Tum Ho

Ye Kya Me Ne Kiya Kyuñ Dhoond Daala Arsa e Mahshar
Humaiñ Ma’loom Tha Pyaare Humaara Mud’da’a Tum Ho

Magar Aisa Na Kyuñ Hota Ke Mahshar Me Ye Khulna Tha
Shafi’ e Mujrimaañ Pesh e Khuda Tanha Shaha Tum Ho

Giraftaar e Balaa Haazir Huwe Haiñ Toote Dil Le Kar
Ke Har Be-Kal Ki Kal, Toote Diloñ Ka Aasra Tum Ho

Khabar Lijay Khudara Mere Maula Mujh Se Be-Kas Ki
Ke Har Be-Kas Ke Kas Be-Bas Ke Bas Roohi Fida Tum Ho

Musal’lat Kar Diya Tum Ko Khuda Ne Apne Ghaiboñ Par
Nabi e Mujtaba Tum Ho Rasool e Murtaza Tum Ho

Chamak Jaa-e Dil e Noori Tumhare Paak Jalwoñ Se
Mit’aa Do Zulmateñ Dil Ki Mere Noor ul Huda Tum Ho

 

 

TU SHAMA’E RISAALAT HAIÑ

 

Tu Shama’e Risaalat He Aalam Tera Parwaana
Tu Maah e Nubuw’wat He Ay Jalwa e Jaanana

Jo Saaqi e Kawthar Ke Chehre Se Naqaab Uth’thay
Har Dil Banay Maikhaana Har Aankh Ho Paimaana

Dil Apna Chamak Uth’thay Imaan Ki Tal’at Se
Kar Aankheñ Bhi Noorani Ay Jalwa e Jaanana

Sar-shaar Mujhe Kar De Ek Jaam e Labaa Lab Se
Ta Hashr Rahe Saaqi Aabaad Ye Maikhaana

Tum Aa-e Chat’ee Baazi Ronaq Huwi Phir Taazi
Kaa’ba Huwa Phir Kaa’ba Kar Daala Tha But’t-khaana

Mast Ma-e Ulfat He Madhosh Muhabbat He
Farzaana He Diwaana, Diwaana He Farzaana

Me Shaah Nasheeñ Toote Dil Ko Na Kahuñ Kaise
He Toota Huwa Dil Hee, Maula Tera Kashaana

Kyuñ Zulf e Mu’ambar Se Kooche Na Mahak Uth’thay
He Panja e Qudrat Jub, Zulfoñ Ka Teri Shaana

Is Dar Ki Huzoori Hee Isyaañ Ki Dawa Tehri
He Zehr e Ma’aasi Ka Taiba Hee Shifa-Khaana

Har Phool Me Boo Teri Har Sham’a Me Zaw Teri
Bulbul He Tera Bulbul Parwaana He Parwaana

Peete Haiñ Tere Dar Ka Khaate Haiñ Tere Dar Ka
Paani He Tera Paani Daana He Tera Daana

Har Aarazu Bar Aa-e Sab Hasrateñ Poori Hoñ
Wo Kaan Zara Dhar Kar Sun Leñ Mera Afsaana

Sang e Dar e Jaanaañ Par Karta Hooñ Jabeeñ Saa-ee
Sajda Na Samaj Najdi Sar Deta Hooñ Nazraana

Gir Par’ Ke Yahaañ Pahuncha Mar-Mar Ke Isay Paaya
Choote Na Ilaahi Ab Sang e Dar e Jaanana

Sang e Dar e Jaanaañ He Thokar Na Lagay Is Ko
Le Hosh Pakar’ Ab To Ay Laghzish e Mastaana

Wo Kehte Na Kehte Kuch Wo Karte Na Karte Kuch
Ay Kaash Wo Sun Lete Mujh Se Mera Afsaana

Ay Mufliso, Na-Daaro, Jannat Ke Khareedaaro
Kuch Laa-e Ho Bay’aana, Kya Dete Ho Bay’aana

Kuch Neyk ‘Amal Bhi Haiñ, Ya Yuñhi Amal Hee He
Dunya Ki Bhi Har Shay Ka Tum Lete Ho Bay’aana

Kuch Is Se Nahiñ Matlab, He Dost Ke Dushman He,
Un Ko To Karam Karna, Apna Ho Ke Begaana

Hub’b e Sanam e Dunya Se Paak Kar Apna Dil
Allah Ke Ghar Ko Bhi Zaalim Kiya But’t-Khaana

Thay Paa-oñ Me Be-Khud Ke, Chaale, To Chala Sar Se
Hoshiyaar He Diwaana, Hoshiyar He Diwaana

Aankhoñ Me Meri Tu Aa, Awr Dil Me Mere Bas Jaa
Dil Shaad Mujhe Farma, Ay Jalwa e Jaanana

Aabaad Isay Farma Weeraañ He Dil e Noori
Jalwe Tere Bas Jaa-eñ Aabaad Ho Weeraana

Note: Once Huzoor Sayyidi Sarkaar Mufti e Azam Hind said, My heart is

 

Sarkaar Ke Jalwoñ Se Roshan He Dil e Noori
Ta Hashr Rahe Roshan Noori Ka Ye Kaashana

 

KARAM JO AAP KA AY
SAYYID E ABRAAR HO JAA-E

Karam Jo Aap Ka Ay Sayyid e Abraar Ho Jaa-e
To Har Bad-Kaar Banda Dum Me Neyko-Kaar Ho Jaa-e

 

Jo Momin Dekhe Tum Ko Mehram e Asraar Ho Jaa-e
Jo Kaafir Dekh Le Tum Ko To Wo Deen-Daar Ho Jaa-e

Jo Sar Rakh De Tumhare Qadmoñ Pe Sardaar Ho Jaa-e
Jo Tum Se Sar Ko-ee Phayray Zaleel o Khwaar Ho Jaa-e

Jo Ho Jaa-e Tumhara Us Pe Haq Ka Pyaar Ho Jaa-e
Banay Allah Waala Wo Jo Tera Yaar Ho Jaa-e

Agar Aa-e Wo Jaan e Noor Mere Khaana e Dil Me
Mah o Khaawar Mera Ghar Matla’ e Anwaar Ho Jaa-e

Gham o Ranj o Alam Awr Sab Balaa-oñ Ka Madaawa Ho
Agar Wo Gaisoo-oñ Waala Mera Dil-Daar Ho Jaa-e

Inaayat Se Mere Sar Par Agar Woh Kafsh e Paa Rakh Deñ
Ye Banda Taajedaaroñ Ka Bhi To Sardaar Ho Jaa-e

Talaatum Kaisa Hee Kuch Ho Magar Ay Nakhuda e Mann
Ishaara Aap Farma Deñ To Bera Paar Ho Jaa-e

Jo Dooba Chaahata He Wo To Dooba Huwa Beyra
Ishaara Aap Ka Paa-e To Maula Paar Ho Jaa-e

Tumhare Faiz Se Laat’hee Misaal e Sham’a Roshan Ho
Jo Tum Lak’ree Ko Chaaho Teyz Tar Talwaar Ho Jaa-e

Gunaah Kitne Hee Awr Kaise Hee Haiñ Par Rahmat e Aalam
Shafa’at Aap Farmaa-eñ To Beyra Paar Ho Jaa-e

Bharam Reh Jaa-e Mahshar Me Na Pal’la Halka Ho Apna
Ilaahi! Mere Pal’lay Par Mera Gam-Khwaar Ho Jaa-e

Ishaara Paa-e To Dooba Huwa Sooraj Bar Aamad Ho
Uth’thay Ungli To Mah Do, Balke Do, Do Chaar Ho Jaa-e

Tera Tasdeeq Karne Waala He Allah Ka Momin
Tera Munkir Wo, Jis Ko Haq Se Hee Inkaar Ho Jaa-e

Mere Saaqi Ma e Baaqi Pila De Ek Aalam Ko
Jo Baqi Awr Pyaasa He Tera Mai-Khwaar Ho Jaa-e

Tumhare Hukm Ka Baandha Huwa Sooraj Phiray Ult’a
Jo Tum Chaaho Ke Shab Din Ho, Abhi Sarkaar Ho Jaa-e

Qawaafi Awr Mazaameeñ Ach’che, Ach’che Haiñ Abhi Baaqi
Magar Bas Bhi Karo Noori Na Par’hna Baar Ho Jaa-e

 

 

MARZ E ISHQ KA BIMAAR
BHI KYA HOTA HE

Marz e Ishq Ka Bimaar Bhi Kya Hota He
Jitni Karta He Dawa Dard Siwa Hota He

Kyuñ Abas Khauf Se Dil Apna Hawa Hota He
Jub Karam Aap Ka Aasi Pe Shaha Hota He

Jis Ka Haami Wo Shah e Har Dosaraa Hota He
Qaid o Band e Do Jahaañ Se Wo Riha Hota He

Un Ka Irshaad He Irshaad e Khudawand e Jahaañ
Ye Wahi Kehte Haiñ Jo Rab’b Ka Kaha Hota He

Baadshahaan e Jahaañ Hote Haiñ Mangta Us Ke
Aap Ke Kooche Ka Shahaa Jo Gada Hota He

Pal’la Neyki Ka Ishaare Se Bar’haa Dete Haiñ
Jub Karam Banda Nawaazi Pe Tulaa Hota He

Saara Aalam He Raza Joo e Khudawand e Jahaañ
Awr Khuda Aap Ka Jooya e Raza Hota He

Hum Ne Yuñ Shama’e Risaalat Se Laga-ee He Lau
Sub Ki Jholi Me Unheeñ Ka To Diya Hota He

Az Shahaa Ta Ba-Gadaayaan e Jahaañ Ik Aalam
Aap Ke Dar Pe Shaha Arz Rasa Hota He

Aisi Sarkaar He, Bhar-Pur Jahaañ Se Lene,
Roz Ek Meyla Naya Dar Pe Laga Hota He

Donoñ Haathoñ Se Lut’a Karte Haiñ Khazaana Lekin
Jitna Khaali Kareñ Ut-Na Hee Bhara Hota He

Kardah Na Kardah Ishaare Me Tumhare Ho Jaa-e
Be Kiya, Aap Ke Sadqe Me Kiya Hota He

Be-Kas o Be-Bas o Be Yaar o Madadgaar Jo Ho
Aap Ke Dar Se Shahaa Sub Ka Bhala Hota He

Un Se Dushman Ki Musibat Nahiñ Dekhi Jaati
Dushmanoñ Ke Liye Jee Un Ka Bara Hota He

Jagmagaa Uth’tha He Dil Ka Mere Zar’rah, Zar’rah
Jub Mera Jaan e Qamar Jalwa Numa Hota He

Aap Mahboob Haiñ, Allah Ke Aise Mahboob
Har Muhib Aap Ka, Mahboob e Khuda Hota He

Jis Gali Se Tu Guzarta He Mere Jaan e Jinaañ
Zar’rah, Zar’rah Teri Khushboo Se Basa Hota He

Arsh e ‘Aala Se Kaheeñ Baala He Rutba Us Ka
Aap Ke Qadmoñ Se Sar Jis Ka Laga Hota He

Pyaaso Muzhdah Ho! Ke Wo Saaqi e Kawthar Aa-e
Chain Hee Chain He, Ab Jaam Ataa Hota He

Aastaane Ke Gada-oñ ke Liye Rahmat He
Awr A’daa Pe Shaha Qehr e Khuda Hota He

Kab Gul e Taiba Ki Khushboo Se Baseñge Dil o Jaañ
Dekhiye Kab Karam e Baad e Saba Hota He

Dekhiye Ghuncha e Dil Apna Khilega Kab Tuk
Dekhiye Kab Dil Pazh Murda, Hara Hota He

Kab Bahaar e Chaman e Taiba Nazar Aati He
Dekhiye Kab Dil Pazh Murda Hara Hota He

Sar Bulandi Usay Haasil He Janaab e Rab’b Me
Jo Ko-ee Dar Pe Tere Naasiyah Saa Hota He

 

Dil Tapa Sowz e Muhabbat Se Ke Sub Meyl Chut’ay
Tapne Ke Ba’ad Hee To Sona Khara Hota He

Kab Mit’aane Se Kisi Ke Khat e Taqdeer Mit’ay
Ho Ke Rehta He Jo Qismat Ka Likha Hota He

Mahw e Isbaat Ki Haañ Aap Ne Qudrat Paa-ee
Tum Jo Chaaho To Bura Aaj, Bhala Hota He

 

Tera Deedar Mayas’sar Ho Jisay Noor E Khuda
Usay Dunya Hee Me Deedar e Khuda Hota He

Wo Nahiñ Hashr Me Jo Hoga, Shaha Be Pardah
Balke Jo Aap Ke Pardah Me Ata Hota He

Tera Jalwa Nahiñ, Allah Ka Jalwa He Wo
Teri Soorat Se, Khuda Jalwa Numa Hota He

Tu He Aa-ina e Zaat Ahadi Ay Pyaare
Yuñ Usee Ka He Wo Jalwa, Jo Tera Hota He

Daagh e Dil Me Jo Mazaa Paaya He Noori Tum Ne
Aisa Dunya Ki Kisi Shay Me Mazaa Hota He

 

 

KAUN KEHTA HE AANKHEÑ
CHURA KAR CHALE

Kaun Kehta He Aankheñ Chura Kar Chale
Kab Kisi Se Nigaaheñ Bacha Kar Chale

Kaun Un Se Nigaaheñ Lar’a Kar Chale
Kis Ki Taaqat Jo Aankheñ Mila Kar Chale

Wo Haseeñ Kya Jo Fitne Utha Kar Chale
Haan Haseeñ Tum Ho Fitne Mita Kar Chale

Un Ke Kooche Me Mangta Sada Kar Chale
Rahmat e Haq Ho Har Dam, Dua Kar Chale

Qis’sa e Gham Sunaaya Suna Kar Chale
Jaan e Esa Dawa Do, Dua Kar Chale
Narrating Their Sad Stories, They Continued Their Transition,

Rab’b Ke Bandoñ Ko Rab’b Se Mila Kar Chale
Jalwa e Haq Wo Hum Ko Dikha Kar Chale

Chale Kar Suna
Mera Jalwa He Haq Ka, Jata Kar Chale

Juz Bashar Awr Kya Dekheñ Kheyra Nazar
Ay’yukum Mithlee, Goh Wo Suna Kar Chale

Jagmaga ‘Daaleñ Galiyaañ Jidhar Aa-e Wo
Jub Chale Wo To Kooche Basa Kar Chale

Kaisa Taareek Dunya Ko Chamka Diya
Saare Aalam Me Kaisi Zia Kar Chale

Ko-ee Maane Na Maane Ye Wo Jaan Le
Seedha Rastaa Wo Sab Ko Bata Kar Chale

Kor’iyoñ Kor’hiyoñ Ke Liye Kor’h Door
Ach’cha Changa Wo Khaasa Bhala Kar Chale

Yaad e Daaman Se Murjha-ee Kaliyaañ Khileñ
Faiz Se Apne Ghunche Khila Kar Chale

Shab Ko Shabnam Ki Maanind Roya Kiye
Soorat e Gul Wo Hum Ko Hasaa Kar Chale

Bud Se Bud Ko Liya Jis Ne Aaghosh Me
Kab Kisi Se Wo Daaman Bacha Kar Chale

Jo Kameene Thay Un Ko Mu’azzaz Kiya
Wo Razeeloñ Ko Seene Laga Kar Chale

Sub Ko Islam Ka Tum Ne Bakhsha Sharaf
Girte Par’toñ Ko Pyaare Ut’ha Kar Chale

Eeñ o Aañ Awr Chuneen o Chunaañ Sarwara
Tere Dar Se Sub Apna Bhala Kar Chale

Jis Ka Saani Huwa Awr Na He Na Ho
Wo Ataa Kar Chale Wo Sakha Kar Chale

Umr Bhar Un Ko A’daa Sataaya Kiye
Awr Wo Dushmanoñ Ko Dua Kar Chale

Sakht A’daa Ko Bhi Afwu Farma Diya
Rahmat e Haq Ki Shaaneñ Dikha Kar Chale

Jism e Pur Noor Ka Yuñ To Saaya Na Tha
Awr Pat’thar Me Naqsha Jamaa Kar Chale

Marte Dum Sar Dar e Paak Par Rakh Diya
Is Adaa Se Qaza Hum Ada Kar Chale

Jub Qamar Ik Ishaare Se ‘Tukray Kiya
Bole Kaafir, Wo Jaadu Sa Kya Kar Chale

Mu’jazoñ Ko Wo Jaadu Bataate Rahe
Aap Apne Pe Zaalim Jafa Kar Chale

Jin Ke Da’we Thay Hum Hee He Ahle Zubaañ
Sun Ke Qur’aañ Zubaaneñ Daba Kar Chale

Kai Sahaabi Thay? Par Thee Ye Haybat e Haq
Gardaneñ Saare Kaafir Jhuka Kar Chale

Awr Gardan Kashi Ki To Maare Gaye
Sub Ne Jaana Ke Zaalim Khata Kar Chale

Jin Ko Apna Nahiñ Gham Hamaare Liye
Dawr’e Jhapt’e Wo Paa-oñ Ut’haa Kar Chale

Abhi Mizaan Par Thay Abhi Pul Pe Haiñ
Pal Me Girte Bacha-e, Bacha Kar Chale

Sar e Kawthar Suna Shor Pyaasoñ Ka Jub
Pahunche Sharbat Pilaaya, Pila Kar Chale

Kisi Jaanib Se Aa-eeñ Nidaa-eñ Huzoor
Mujrimoñ Ki Riha-ee Ka Kya Kar Chale

Dum Me Pahunche Wo Hukm e Riha-ee Diya
Un Ko Dozakh Se Pheyra, Phira Kar Chale

Daagh e Dil Hum Ne Noori Dikha Hee Diya
Dard e Dil Ka Fasaana Suna Kar Chale

 

 

PAYAAM LE KO JO AA-EE
SABA MADINE SE

Payaam Le Ke Jo Aa-ee Saba Madine Se
Mareez e Ishq Ki La-ee Dawa Madine Se

Suno To Ghaur Se Aa-ee Sada Madine Se
Qareeñ He Rahmat o Fazl e Khuda Madine Se

Milay Hamaare Bhi Dil Ko Jila Madine Se
Ke Mehr o Maah Ne Paa-ee Zia Madine Se

Tumhari Ek Jhalak Ne Kiya Isay Dilkash
Farogh Husn Ne Paaya Shaha Madine Se

 

Tamaam Shaah o Gada Pal Rahe Haiñ Is Dar Se
Mili Jahaan Ko Rozi Sada Madine Se

Jo Aaya Le Ke Gaya Kaun Lowta Khaali Haath
Bataade Ko-ee Suna Ho Jo ‘Laa’ Madine Se

Bataade Ko-ee Kisi Awr Se Bhi Kuch Paaya
Jisay Mila Jo Mila Wo Mila Madine Se

Wo Aaya Khuld Me Jo Aa Gaya Madine Me
Gaya Wo Khuld Se Jo Chal Diya Madine Se

Na Chain Paa-ega Ye Gamzada Kisi Soorat
Mareez E Gham Ko Milegi Shifa Madine Se

Lagaa-o Dil Ko Na Duniya Me Har Kisi Shay Se
Ta’aluq Apna Ho Kaa’be Se Ya Madine Se

Gada Ki Raah Jahaañ Dekheñ Phir Nawa Kyuñ Ho
Nawa Se Pehle Milay Be Nawa Madine Se

Chaman Ke Phool Khilay Murdah Dil Bhi Jee Uth’thay
Naseem Khuld Se Aa-ee He Ya Madine Se

Karegi Murdoñ Ko Zinda Ye Tishnoñ Ko Seyraab
Wo Dekho Uth’thee Karam Ki Ghata Madine Se

Madina Chashma e Aab e Hayaat He Yaaro
Chalo Hamesha Ki Le Lo Baqa Madine Se

Fiza e Khuld Ke Qurbaañ Magar Wo Baat Kahaañ
Mil Aa-eñ Hazrat e Rizwaañ Zara Madine Se

Hamaare Dil Ko To Bhaaya He Taiba Hee Zaahid
Tumheñ He Makkah To Hoga Siwa Madine Se

Chale Jo Taiba Se Muslim, To Khuld Me Pahunche
Ke Seedha Khuld Ka He Raasta Madine Se

Tum Ik Aan Me Aa-e Gaye Tumhare Liye
Do-Gaam Bhi Nahiñ Arsh E ‘Ulaa Madine Se

Tumhare Qadmoñ Pe Sadqe Jaañ Fida Jaa-e
Na Laa-e Phir Mujhe Mera Khuda Madine Se

Tere Habeeb Ka Pyaara Chaman Kiya Barbaad
Ilaahi Nikle Ye Najdi Balaa Madine Se

Tere Naseeb Ka Noori Milega Tujh Ko Bhi
Le Aa-e Hissa Ye Shaah O Gada Madine Se

 

NIGAAH E MEHR JO US
MEHR KI IDHAR HO JAA-E

Nigaah e Mehr Jo Us Mehr Ki Idhar Ho Jaa-e
Gunah Ke Daagh Mit’eñ Dil Mera Qamar Ho Jaa-e

Jo Qalb Teera Pe Teri Kabhi Nazr Ho Jaa-e
To Ek Noor Ka Buq’aa Wo Sar Basar Ho Jaa-e

Hamaari Kisht e Amal Me Kabhi To Phal Aa-e
Kabhi To Shajra e Umeed Baarwar Ho Jaa-e

Kabhi To Aisa Ho Ya Rab’b Wo Dar Ho Awr Ye Sar
Kabhi To Un Ki Gali Me Mera Guzar Ho Jaa-e

Hamaare Sar Ho Khudaya Habeeb Ka Dar Ho
Hamaari Umr Ilaahi Yuñhi Basar Ho Jaa-e

Jo Sach’che Dil Se Kahe Ko-ee Ya Rasool’Allah!
Musibateñ Bhi Taleñ, Har Maham Bhi Sar Ho Jaa-e

Meri Musibatoñ Ka Silsila Abhi Kat Jaa-e
Ishaara Abroo e Kham Daar Ka Agar Ho Jaa-e

Tar’ap Rahe Haiñ Firaaq e Habeeb Me Aashiq
Ilaahi! Raah Madina Ki Be Khatar Ho Jaa-e

Tere Ghazab Se Hoñ Ghaarat Ye Dahr Ke Shaytaañ
Banay Ghulaam Har Ik Un Me Dar-Badar Ho Jaa-e

Jo Aap Chaaheñ To Haizam Ko Dum Me Sabz Kareñ
Karam Jo Aap Ka Ho Khuld Ka Shajar Ho Jaa-e

Khuda Ke Fazl Se Har Khushk o Tar Pe Qudrat He
Jo Chaaho Tar Ho Abhi Khushk; Khushk Abhi Tar Ho Jaa-e

‘Ayaañ He Dabdaba Tera Samawaat o Saawah Se
Hamaari Kheyti Bhi Sookhi He Pyaare Tar Ho Jaa-e

Jo Kaasa Taaj Ka Le Kar Tumhare Dar Par Aa-e
To Baadsha Haqeeqat Me Taajwar Ho Jaa-e

Tere Gada-oñ Ke Paa Posh Taaj e Sultaañ He
Wo Jis Ke Sar Pe Rakheñ Na’al Taajwar Ho Jaa-e

Jo Aap Hoñ Mere Pal’le Pe Phir Mujhe Kya Dar
Jidhar Nigaah e Karam Ho Khuda Udhar Ho Jaa-e

Jo Khwaab Me Kabhi Tashreef Laa-eñ Jaan e Qamar
To Un Ke Noor Se Ma’moor Saara Ghar Ho Jaa-e

Khuda Ne Qalb Haqeeqat Tumaare Haath Kiya
Jo Shaakh Lar’ne Ko Do Taigh Awr Tabar Ho Jaa-e

Jo Waqt e Wazan Giraañ Pal’la Ho Gunahoñ Ka
Shafa’at Aap Ki Us Dum Meri Sipar Ho Jaa-e

Andheri Shab Me Karam Se Tumhare Ay Sarwar
‘Asaa Sahaba Ka Faanoos e Raah Ho Jaa-e

Khuda Ne Ghaib Tumhare Liye Huzoor Kiya
Jo Raaz Dil Me Chupay Hoñ, Tumheñ Khabar Ho Jaa-e

Wo Aa-eñ Teergi Ho Door Mere Ghar Bhar Ki
Shab e Firaaq Ki Ya Rab’b, Kabhi Sahar Ho Jaa-e

Hijaab Ut’heñ Jo Marqad Se Un Ke Rauze Tuk
Andhera Qabr Ka Mit’t Jaa-e, Do Pahar Ho Jaa-e

Tere Habeeb Ke Dushman Haiñ Awr Khud Tere
Har Ek Un Me Kaafin-Naar Was-Saqar Ho Jaa-e

Kinaar e Aatifat e Haawiyah Me Ik Ik Jaa-e
Jo Maañ Ki Gowd Me Baythe, To Khush Pisar Ho Jaa-e

Saraapa Aag Ke Darya Me Doob Jaa-eñ Ye
Agar Hameem Ka Darya Kamar-Kamar Ho Jaa-e

Chamak Uth’ay Meri Qismat Ka Taara Ay Noori
Agar Wo Ghayrat e Khursheed Mere Ghar Ho Jaa-e

 

FAUJ E GHAM KI BARAABAR

 

Fauj e Gham Ki Baraabar Char’ha-ee He
Dafa’e Gham Tumhari Duha-ee He

Umr Kheloñ Me Hum Ne Ganwa-ee He
Umr Bhar Ki Yahi To Kama-ee He
Tum Ne Kab Baat Ko-ee Na Bara-ee He
Tum Se Jo Aarazu Ki Bar Aa-ee

 

Tum Se Har Dam Umeed e Bhala-ee
Meyt’ Dije Jo Hum Me Bura-ee He
Tum Ne Kab Aankh Hum Ko Dikha-ee He
Tum Ne Kab Aankh Hum Se Phira-ee Hee

Tum Ko Aalam Ka Maalik Kiya Us Ne
Jiski Mamlook Saari Khuda-ee He
Kis Ki Qabze Me He Ye Zameen o Zamaañ
Kis Ke Qabze Me Pyaare Khuda-ee He

Tu Khuda Ka Huwa Awr Khuda Tera
Tere Qabze Me Saare Khuda-ee He
Jub Khuda Khud Tumhara Huwa To Phir
Kaun See Cheez He Jo Para-ee He

Sub Sifaat e Khuda Ke Ho Tum Mazhar
Ek Qaabu Se Baahar, Khuda-ee He
Taaj Rakha Tere Sar Rafa’na Ka
Kis Qadar Teri Iz’zat Bar’ha-ee He

Ambia Ko Rasa-ee Mili Tum Tuk
Bus Tumhari Khuda Tuk Rasa-ee He
Az Zameeñ Ta Falaq Jin o Ins o Malak
Jis Ko Dekho Tumhara Fida-ee He

Rashk e Sultan He Wo Gada Jis Ne
Tere Kooche Me Dhooni Rama-ee He
Meri Taqdeer Kar Do Bhalee Tum Ne
Qudrat e Mahw o Isbaat Paa-ee He

Mera Beyr’a Kinaare Lagay Pyaare
Nooh Ke Naa-o Kis Ne Tira-ee He
Aag Ko Baagh Kis Ne Kiya Pyaare
Tum Ne, Tum Ne Hee Qudrat, Ye Paa-ee He

Mere Dil Ki Lagee Bhi Bujha Dije
Naar e Namrud Kis Ne Bhuja-ee He
Sharar e Afshaaniyaañ Kis Ki Haiñ, Ishq Ki
Aag Seene Me Jis Ne Laga-ee He

Kaash Wo Hashr Ke Din Kaheñ Mujh Se
Naar e Dozakh Se Tujh Ko Riha-ee He
Khushbhoo e Zulf Se Kooche Mehke Haiñ
Kaise Phooloñ Me Shaaha Basa-ee He

Pyaare Khushboo Tumhare Paseene Ki
Khuld Ke Phooloñ Se Bhi Siwa-ee He
Baat Wo Itr e Firdaus Me Bhi Nahiñ
Tere Malboos Me Jo Sungha-ee He

Us Raza Par Ho Maula Raza e Haq
Raah Jis Ne Tumhari Jila-ee He
Na-Khuda! Ba-Khuda Aa-o Bahr e Khuda
Meri Kashti Tabaahi Me Aa-ee He

Haiñ Ye Sadme Teri Hee Furqat Ke
Roz Afzooñ Ye Dard e Juda-ee He
Taiba Jaa-uñ Wahaañ Se Na Waapas Aawuñ
Mere Jee Me To Ab Ye Sama-ee He

Mar Raha Huñ Tum Aa Jaa-o Jee Uth’thuñ
Sharbat e Deed Meri Dawa-ee He
Shawq e Deedar e Noori Me Ay Noori
Rooh Khinch Kar Ab Aankhoñ Me Aa-ee He

 

TERI AAMAD HE MAUT AA-EE HE

 

Teri Aamad He, Maut Aa-ee He
Jaan e Esa, Teri Duha-ee He

Kyuñ Watan Apna Chor Aa-ee He
Kyuñ Safar Ki Musibat Ut’ha-ee He

Senkroñ Aafatoñ Me Phansne Ko
Kyuñ Badan Me Jaan Aa-ee He

Un Ke Jalwe Haiñ Meri Aankhoñ Me
Ach’chi Saa’at Se Maut Aa-ee He

 

Tum Ko Dekha To, Dum Me Dum Aaya
Aap Aa-e Ke Jaan Aa-ee He

Mar Raha Tha Tum Aa-e Jee Ut’haa
Maut Kya Aa-ee, Jaan Aa-ee He

Ab To Aawo Ke Dum Laboñ Par He
Chehre Par Murdani Bhi Cha-ee He

Aa-iye Waqt He Ye Aane Ka
Dekh Leñ Sub Ki Jaañ Phir Aa-ee He

Zindagi Me Ne Paa-ee Mar-Mar Ke
Me Ne Jee-Jee Ke Maut Paa-ee He

Zindagi Kya Thee, Jis Me Maut Aa-ee
Zindagi Ba’ad e Marg Paa-ee He

Maut Ka Ab Nahiñ Zara Khat’ka
Zindagi Shubh Ghar’i Se Paa-ee He

Marte Hee Zindagi Milee Mujh Ko
Maut Ke Saath Jaan Aa-ee He

Hasrat e Deed e Yaar Me Hum Ne
Aaj Mar-Mar Ke Maut Pa-ee

Ju-Heeñ Dekha Mar Mit’aa Us Par
Me Ne Mar Ke, Hayaat Paa-ee He

Chain Ki Neend Aaj Soya Huñ
Maut Aaraam Ki Sulaa-ee He

Shaamatoñ Ne Tumhari Gheyra He
Maut Tum Ko Yahaañ Pe Laa-ee He

Zabh Kar Daala Tu Ne Aw Zaalim
Nafs Tu To Niraa Qasaa-ee He

Taa’at e Haq Ka Naam Sunte Hee
Tujh Ko Kam Bakht Maut Aa-ee He

Ma’siyat Zahr He, Magar Oondhe
Tu Ne Samjha Usay Mit’haa-ee He

Kya Bigaara Tha Tera, Kyuñ Bigr’a
Zahr Ke Pyaali Kyuñ Pilaa-ee He

Ach’che Jo Kaam Karne Haiñ, Kar Lo
Jaan Apni Nahiñ, Paraa-ee He

Noori Har Giz Nahiñ He Tu Naari
Maut e Islaam Tu Ne Paa-ee He

Waah! Kya Baat Aapki Noori,
Kya Hee Ach’chi Ghazal Sunaa-ee He

Ba Khat’t e Noor Is Dar Par Likha He
Ye Baab e Rahmat e Rab’b e Ulaa He

Sar e Kheera Jo Ab Dar Pe Jhuka He
Adaa He Umr Bhar Ki Jo Qaza He

Maqabil Dar Ke Yuñ Kaa’ba Bana He
Ye Qibla He, To Too Qibla Numa He

Dar e Waala Pe Ik Mela Laga He
Ajab Is Dar Ke Tukr’oñ Me Maza He

Yahaañ Se Kab Ko-ee Khaali Phira He
Sakhi Daata Ki Ye Dawlat-Sara He

Gada To He Gada, Jo Badshah He
Usay Bhi To Isee Dar Se Mila He

Jisay Jo Kuch Mila Jis Se Mila He,
Haqeeqat Me Wo Is Dar Ki Ataa He

Isee Sarkaar Ka Mangta He Aalam
Gada Is Dar Ka Har Shaah o Gada He

Yahaañ Se Bheek Paate Haiñ Salaateeñ
Isee Dar Se Unheñ Tukr’a Mila He

Isee Dar Se Palega Pal Raha He
Isee Ghar Se Zamaana Pal Chuka He

Shab e Me’raj Se Zaahir Huwa He
Rusul Haiñ Muqtadi, Tu Muqtada He

Khuda-ee Ko Khuda Ne Jo Diya He
Usee Ghar Se Usee Dar Se Mila He

Khuda e Paak To Ghar Dar Se He Paak
Magar Ye Dar, Dar e Paak e Khuda He

Yahaañ Wo Ba-Khuda He Jalwa Farma
Jo Kashti Ka Jahaañ Ki Na Khuda He

Sha e Arsh Aastaañ; Allah-Allah,
Tasaw’wur Se Khuda, Yaad Aa Raha He

Ye Wo Mahboob e Haq He Jis Ki Rooyat
Yaqeen Maano Ke Deedar e Khuda He

Yadul’laah Jis Ka Dast e Paak Tah’re
Wo Bay’at Jis Ki Bay’at Ba Khuda He

 

Ramee Jis Ki Ramee Tah’ri Khuda Ki
Kitaabul’laah Me ٰ

As Being Launched By Allah, His Throwing Has Been Regarded,
‘Allah Launched It’ In The Glorious Book of Allah, It Has Been Stated

Qasam Qur’an Me Jis Ki Rah-Guzar Ki
Khuda Ne Yaad Ki, Kya Martaba He

Wahee Matloob Jis Ka Har-Har Andaaz
Wahee Mahboob Jis Ki Har Ada He

Hawa Se Paak Jis Ki Zaat e Qudsi
Wo Jis Ki Baat Bhi Wahi e Khuda He

Nahiñ Kehte Hawa e Nafs Se Kuch
Jo Farmaa-eñ Wahi e Khuda He

Chamak Se Jin Ki Roshan Haiñ Do Aalam
Mahak Se Jis Ki Har Bustaañ Basaa He

Wo Jalwa Jis Se Haq He Aashkaara
Wo Soorat Jo Jamaal e Haq Numa He

Wo Yakta Aa-ina Zaat e Ahad Ka
Wo Maraat e Sifaat e Kibriya He

Wo Pyaara Jis Pe Rab’b He Aisa Pyaara
Ke Us Ke Pyaare Par Pyaara Khuda He

Wo Jis Ka Shehr Bhi He Aisa Pyaara
Jahaañ Ki Raat Din Se Bhi Siwa He

Jahaañ He Be Thikaanoñ Ka Thikaana
Jahaañ Shaah o Gada, Sub Ka Th’iya He

Dawa Dukh Dard Ki He Khaak Jis Ki
Ma’aasi Ka Jahaañ Daarush Shifa He

Karam Farmaaiye Ay Sarwar e Deeñ
Jahaañ Mangtoñ Ki Paiham Ye Sadaa He

Khazaane Apne De Ke Tum Ko Haq Ne
Na Qaasim Hee Ke, Maalik Kar Diya He

Jisay Jo Chaaho, Jitna Chaaho, Do Tum
Tumheñ Mukhtar e Kul Farma Diya He

Do Aalam Bheek Lete Haiñ Yahaañ Se
Jo Jis Ke Paas He Tera Diya He

Na Maangeñ Tum Se Hum To Kis Se Maangeñ
Haiñ Sub Dar Band, Bus Ye Dar Khula He

Me Dar-Dar Kyuñ Phiruñ Dur-Dur Sunuñ Kyuñ
Mere Sarwar Mere Kya Sar Phira He

Ataa Farmaate Ho Be Maange Sub Kuch
Ye Mangta Tum Se Tum Ko Maangta He

Tumhara Milna, Milna He Khuda Ka
Khuda Mil Jaa-e To Phir Kya Raha He

Ataa Farmaaiye Apne Karam Se
Mere Maula Jo Dil Ka Mud’da’a He

Yahee Sarkaar e Faiz Aathaar He Wo
Jahaañ Se Faiz Ka Darya Bahaa He

Yaheeñ Se Paate Haiñ Sub Apne Matlab
Har Ik Ke Waaste Ye Dar Khula He

Ba Har Lahza Ba Har Sa’at Ba Har Dum
Dar e Sarkaar e Faiz Aathaar Waa He

Nahiñ Taqseem Me Tafreeq Kuch Bhi
Ke Dushman Bhi Yaheeñ Ka Keh Raha He

Ye Wo Dar He, Huwa He Wo Bhi Haazir
Jo Is Sarkaar Ka Dushman Chupaa He

Salaam e Roo’sata-ee Be Gharaz Neyst
Wo Kya Ta’zeem Ko Haazir Huwa He

Aqeede Me To Us Ke Shirk He Ye
Dikhaane Ko Taqiyyah Kar Liya He

Jilaa Imaan Se Hoti He Dil Par
Wo Andha Sheesha He, Jo Be Jilaa He

Nahiñ Sheesha, Nahiñ Wo Dil, Tu Jis Par
Khuda Ne Khatm Farmaadi Tawaa He

Na Tahr’e Matr e Haq Ke Boond Jis Par
Luhaabi Kya He, Ek Chiknaa Ghar’aa He

Buhat Bud Firqay Paida Ho Chukay Haiñ
Sabhi Ne Ek Naya Mazhab Ghar’aa He

Jo Mazhab Ahle Sunnat Ke Ilaawa
Bana He Wo Jahannam Ka Gar’haa He

Jama’at Par Yad e Rahmat He Haq Ka
Juda Firqay Jahannam Me Gira He

He Un Me Ek Firqa Sub Se Bud-tar
Jisay Shirk Az Umoor e Aam’ma He

Nahiñ Jis Se Ko-ee Maujood Khaali
Ko-ee Bhi Us Ki Zad Se Bach Saka He

 

Har Ik Is Shirk Se Tah’ra Jo Mushrik
Jo He, Ya Hoga, Ya Aage Huwa He

Sahaba, Khud Nabi, Balke Khud Allah
Sabhi Par Hukm e Shirk Is Ne Jur’aa He

Jisay Bid’at Ki Lat Itni Par’ee He
Ke Sunnat Ko Bhi Bid’at Bolta He

Ma-e Bid’at Se He Sarshaar Aisa
Ke Sub Kuch Us Ko Bid’at Soojhta He

Thee Itni Tund May Jis Ke Nashe Me
Ke Khud Apne Hee Ko Bhoola Huwa He

Ye Khud He Bid’ati Mushrik Yaqeenan
Magar Sunni Ko Bid’ee Jaanta He

Haiñ Us Ki Shirk O Bid’at Ahle Gahle
Saraapa Jin Me Khud Dooba Huwa He

Ye Aisa Us Ka Hukm e Shirk O Bid’at
Usay Saawan Ke Andhay Ka Hara He

He Sunni Aa-ina, Us Ne Jo Dekha
Nazar Apna Hee Chehra Aa Gaya He

Usay Man Ibtida’ To Rah Gaya Yaad
Magar Man San’na Ye Bhoola Huwa He

Khud Apne Fatwa-oñ Se Aap Mushrik,
Na Bus Mushrik Hee, Ye Mushrik Janaa He

Nahiñ He Baap Hee Mushrik Ke Jad’d Bhi
Awr Us Ka Jad’d, Jahaañ Tuk Silsila He

Khuli Tanqeeseñ Mahboobaan e Haq Ki
Ye Firqa Barmala Karta Raha He

Khuli Tauheen Ki He Khud, Khuda Ki
Ke Us Ko Kizb Par Qaadir Kaha He

Na Mumkin Hee Kaha, Balke Yahaañ Tuk
Bar’ha He Ye Ke, Waaqe’ Keh Gaya He

Na Bus Ek Kizb Par Hee Us Ne Bus Ki
Ke Jahl o Zulm o Sarqa Bhi Kaha He

Tumheñ Haq Ne Diye Haiñ Wo Fazaa-il
Ke Shirkat Un Me Hona Na-Rawa He

Mumaasil Ho Nahiñ Sakta Tumhara
Tumheñ Wo Fazl e Kul Rab’b Ne Diya He

Tumhari Be Misaali Is Se Zaahir
Ke Mahboob e Khuda Tum Ko Kiya He

Muhib Kya Chahata He Misl e Mahboob!
Muhib To Be Misaali Chahata He

Magar Ye Firqa Mahboob e Khuda Ke
Karoroñ Misl Mumkin Maanta He

Na Mumkin Hee Ke, Che Misl Waaqe’
Kaha Karta Kutub Me Chaapta He

Yunhi Khatm e Nubuw’wat Ka He Maane’
Shafa’at Se Bhi Munkir Ho Gaya He

 

Musalmaanoñ Ke ‘Dar Se Lafz Maane
Magar Maa’na Ka Maane’Barmala He

Jo Maa’na Un Ke Haiñ Maathoor Ab Tuk,
Saraahat Se Unheñ Rudd Kar Raha He

Kahaañ Tuk Zulm, Me Us Ke Ginaa-uñ
Kahaañ Tuk Me Ginooñ Kya-Kya Baka He

Nafi Jis Ilm Ki Sarkaar Se Ki
Usee Ko Nas Se Shaitaañ Ko Diya He

Muheet e Ard Ka Shaitaan Ko Jub
Ye Nas Se Ilm Saabit Maanta He

Shareek Iblees Ko Karta He Haq Ka
Ke Shaitaañ Ko Ye Haq Jaanta He

Wo Kuch Maane Bahr Soorat Wo Khud Hee
Ba’ra Mushrik Ba Hukm e Khud Bana He

Majaaneen o Sabi, Haywaañ, Bahaa-im
Ye Un Sub Ke Liye Bhi Maanta He

Nabi, Ghayr e Nabi Me Farq Poocha
Bataa-o Un Me In Me, Farq Kya He

Unheñ Jaisa Bataya Ilm e Aqdas
Kaha He Ba’az Me, Takhsees Kya He

Nafi e Shah Se Ba-Wajhe Shirk Ki Bhi
Magar Phir Bhi Usee Me Mubtala He

Jo Qismat Me Likha Tha, Kyuñ Na Hota
Kaheeñ Taqdeer Ka Likha Mit’aa He

Kareñ Laakhoñ Jatan Hota Wo Hee
Wahi Hoga Jo Qismat Me Badaa He

Khayaal e Khar Me Istighraaq Se Bud
Jo Ta’zeem e Nabi Ko Jaanta He

Agar Us Ko Ko-ee Itna Kahega
Ke Wo Insaañ Nahiñ, Khaasa Gada He

Bikhar Jaa-enge Us Par Kaisa, Kaisa
Jinheñ Tahzeeb Nau Ka Id’da’a He

Bayaan e Ayb e Dushman Ne’mat Hee He
Ke Qur’aañ Me Bhi

Zia e Kaa’ba Se Roshan Haiñ Aankheñ
Munaw’war Qalb Kaisa Ho Gaya He

Hamaari Haaziri Noorun ‘Ala Noor
Ke Ba’ad e Hajj Hameñ Haazir Kiya He

Zia e Rauza Ka Aalam Kahuñ Kya
Ke Wo To Noor e Kaa’ba Se Siwa He

Yahaañ Mahboob e Rab’b He Jalwa Aara
Wahaañ Bus Ik Tajal’li Ki Zia He

He Ye To Wasl Se Sar Sabz Dil Shaad
Wo Naar e Hijr Se Dil Sokhta He

Mah o Khursheed Paate Haiñ Yahaañ Se
Zia E Rauza Ka Kehna Hee Kya He

Fizaa e Taiba Ke Qurbaan Jaa-uñ
Naseem e Khuld See Jis Ki Hawa He

Khafeef o Khush Maza, Be Misl Paani
Kaheeñ Dunya Me Aisa Kab Piya He

Zameen E Paak Wo Jis Ko Khuda Ne
Kitaabullah Me Ardul’laah Kaha He

Hameñ To Taiba He Jannat Se Bar’h Kar
Jahaañ Mahboob e Haq Jalwa Numa He

Qadam Hum Jaisoñ Ke Is Sar Zameeñ Me
Karam Sarkaar Ka He, Awr Kiya He

Watan Ki Har Suhaani Subh Noori
Yahaañ Ki Shaam e Ghurbat Par Fida He

 

MA E MAHBOOB SE SARSHAAR KAR DE

Ma-e Mahboob Se Sarshaar Kar De
Uwais Qarni Ko Jaisa Kiya He

Guma De Apni Ulfat Me Kuch Aisa
Na Paa-uñ Me, ‘Me’ Me Jo Be Baqa He

Pila De May Ke Ghaflat Door Kar De
Mujhe Dunya Ne Ghaafil Kar Diya He

Ataa Farmaade Saaqi Jaam e Noori
Labaa Lab Jo Chaheetoñ Ko Diya He

Thana Likhi He Mahboob e Khuda Ka
Khuda Hee Jin Ki Azmat Jaanta He

Me Tere Faiz Se Kuch Keh Sakuñga
Me Kya Huñ Awr Mera Yaara Hee Kya He

Suna Ay Bulbul e Baagh e Madina
Taraana Awr Dil Ye Chaahata He

Suna Noori Ghazal Us Ki Thana Me
Thana Jis Ki Thana e Kibriya He

 

HAQEEQAT AAPKI HAQ JAANTA HE

 

Haqeeqat Aapke Haq Jaanta He
Wo Wahm o Fahm Se Aaqa Waraa He

Kuch Aisa Aap Ko Haq Ne Banaaya He
Ke Khud Wo Aap Ka Taalib Huwa He

Buland Itna Tujhe Haq Ne Kiya He
Ke Arsh e Haq Bhi Tere Zer e Paa He

Jo Awroñ Ke ‘Uloo Ka Intihaa He
Wo Sarkaari ‘Uloo Ka Ibtidaa He

Khuda Ki Zaat Tuk Tu Hee Rasa He
Kisi Ka Bhi Ye Aali Martaba He

Na He Tum Sa Na Ko-ee Hoga Aage
Na Ay Aaqa Ko-ee Tum Sa Huwa He

Malaa’ik Me, Rusul Me, Ambia Me
Ko-ee Arsh e Ulaa Tuk Bhi Gaya He

Ta’aal-Allah Teri Shaan e Aali
Jalaalat e Shaan Ki Kya Intihaa He

Nikaali Zawraq e Khursheed Doobi
Ishaare Se Qamar ‘Tuk’re Kiya He

Nahiñ Ho Doosra Me Sub Se Baala,
Bus Ek Allah Hee Tum Se Siwa He

Teri Soorat Se He Haq Aashkaara
Khuda Bhaati Teri Har-Har Adaa He

Nahiñ Ho Sakta Tujh Saa Ko-ee Baahar
Ke Tu Hee Mubtada o Muntaha He

Tu He Noor e Khuda Phir Saaya Kaisa
Kaheeñ Bhi Noor Ka Saaya Par’aa He

Tu He Zil’l e Khuda, Wal’laah Bil’laah
Kaheeñ Saaye Ka Bhi Saaya Par’aa He

Zameeñ Par Tera Saaya Kaise Par’ta
Tera Mansoob Arfa’ Daa-ima He

Khuda Ka Fazl e Aazam Aap Par He
Sikhaa Sub Kuch Tumheñ Haq Ne Diya He

Na Min’nat Tum Pe Ustaadoñ Ki Rakhi
Tumhara Ummi Hona Muj’iza He

Hatheyli Ki Tarah Pesh E Nazar He
Huwa Jo Hoga, Jo Kuch Ho Raha He

Na Ko-ee Raaz Ho Posheeda Tum Se
Na Ko-ee Raaz Posheeda Raha He

Chupa Tum Se Rahe Kyuñkar Ko-ee Raaz
Khuda Bhi To Nahiñ Tum Se Chupa He

Musal’lat Ghaib Par Tu Kyuñ Na Hota
Nabi o Mujtaba o Murtadha He

Teri Marzi Raza e Haq He Maula
Raza e Haq Teri Marzi Shaha He

Guzar Tera Huwa He Jis Gali Se
Teri Khushboo Se Har Zar’ra Basa He

Duroodeñ Tum Pe Haq Ki Hoñ Hamesha
Hamaari, Haq Se, Ye Har Dum Dua He

Durood Us Par Ho Jis Par Haq Duroodeñ
Bahr Lahza, Ba Har Dam, Bhejta He

Salaam Us Par Jo He Matloob Rab’b Ka
Salaam Us Par Jo Mahboob e Khuda He

Salaam Us Par Ye Bahr o Bar Haiñ Jis Ki
Salaam Us Par Jo Shaah e Do Sara He

Jis Aaqa Ke Malaa-ik Haiñ Salaami
Jo Shaah e Kursi o Arsh e ‘Ulaa He

Khuda Ki Saltanat Ka Jo He Doolha
Salaam Us Par Jo Rahmat Ka Bina He

Jisay Sang o Shajar Tasleem Karte
Salaam Us Par Jo Aisa Badshah He

Salaam Us Par Jo Aw’wal He Rusul Ka
Salaam Us Par Jo Khatm ul Ambia He

Salaam Aw’wal Ka Aw’wal Par Hamesha
Salaam Baaqi Ho Jub Tuk Baqa He

Salaam Aakhir Ka Aakhir Par Ho Daa-im
Na Bus Aalam Hee Tuk Jis Ko Fana He

Salaam e Zaahir o Baatin Ho Us Par
Jo Zaahir Ho Ke Baatin Ho Gaya He

Salaam Ay Jaan e Rahmat Kaan e Rahmat
Salaam Ay Ke Wo Shaan e Haq Numa He

Rahe Jalwa Tumhara Dil Ke Andar
Mere Pyaare Ye Dil Ka Mud’da’a He

Rahe Pesh e Nazar Wo Roo e Anwar
Tarasti Aankhoñ Ki Ye Iltija He

Sharaab e Deed Se Dil Shaad Kijiye
Hamaare Dard Ki Ye Hee Dawa He

Yaheeñ He Be Thikaanoñ Ka Thikaana
Yahaañ Shah o Gada Sub Ka Th’iya He

Dum e Aakhir Tu Aaja Jaan e Esa
Haiñ Saaqit Nabzeñ Ghungar Bolta He

Dum e Aakhir Chale Aawo Khudara
Dikhaado Marne Waala Jee Raha He

Tere Qadmoñ Me Jis Ko Maut Aa-ee
Hayaat e Jawedaañ Us Ki Qaza He

Hat’aa Dije Rukh e Anwar Se Gaisoo
Andhera Qabr Ka Kaali Balaa He

Dikha Dije Shaha Pur-Noor Chehra
Sifat Me Jis Ki Wash Shams Awr Duha He

Sunghaa Dije Hameñ Wo Zulf Mushkeeñ
Sifat Me Jis Ki Wal Layl Saja He

Tere Qurbaan Ay Zulf e Mu’ambar
Hamaare Sar Hujoom e Bud Balaa He

Mere Sar Se Bala-eñ Door Farma
Balaa-oñ Me Ye Banda Mubtala He

Naheef o Naatawaañ Sarkaar Hum Haiñ
Buhat Sabr Aazma Ye Ibtila He

Pareshaañ Huñ Pareshaani Karo Door
Balaa-oñ Me Ye Banda Mubtala He

Na Kije Door Hum Ko Apne Dar Se
Par’aa Rehne Do Jo Dar Par Par’aa He

Shaheed e Karbala Ka Sadqa De-de
Tu Shaaha Dafa e Karb O Bala He

Pareshaañ Huñ Pareshaani Karo Door
Pareshaañ Sa Pareshaañ Dil Mera

Pareshaani e Watan Ki Yaad Kar Ke
Pareshaañ Dil, Abhi Se Ho Raha He

Pareshaani He Goonaguñ Watan Me
Pareshaañ Unko Farmaa Do To Kya He

Yahaañ Kyuñkar Na Dil Aaraam Paa-e
Jahaañ Aaraam e Jaan o Dil Mera He

Me Ghar Jaawuñ To Un Me Ghir Na Jaawuñ
Yahaañ Bus Ye Tafak’kur Ho Raha He

Rumooz e Maslihat Sarkaar Jaane
Agar Waapas Hee Farmaana Bhala He

Magar Itni Guzaarish Ki Ijaazat
Ye Banda Dast Basta Chaahata He

Hameñ Phir Apne Qadmoñ Me Bulaana
Yahi Maula Ta’aala Se Dua He

Ke Phir Sarkaar Ke Qadmoñ Me Laa-e
Yaheeñ Par Marne Jeene Me Maza He

Qiyaamat He, Qiyaamat He, Qiyaamat
Jidhar Dekho, Udhar Mahshar Bapa He

Zameeñ Taambe Ki He, Sooraj Saroñ Par
Tapish Se Bheyjaa Sar Me Kholta He

Zara Saa Bhi Nahiñ Saaya Kaheeñ Par
Arq Itna Bahaa, Darya Bahaa He

Zubaaneñ Sookhi Haiñ, Kaante Chubay Haiñ
Atash Se Haal Abtar Ho Raha He

Kaleje Munh Ko Aa-e Dum Ghutay Haiñ
Ulat’ Kar Dil Galay Me Aa Raha He

Sarapa Ko-ee To Gharq e Arq He
Kisi Ki Munh Tuk Aa Kar Reh Gaya He

Tarapta He Ko-ee Be-Chain Ho Kar
Ko-ee Gir Kar Zameeñ Par Lowt-taa He

Misaal e Maahi Be Aab Ko-ee
Ko-ee Jal Jal Kebaab Sokhta He

Ajab Ye Kasmapursi Ka He Aalam
Jisay Dekho Bharak’ta Bhaagta He

Zan o Shaw Me Nahiñ Baaqi Ta’aaruf
Na Bha-ee, Bha-ee Ko Pehchaanta He

Na Ko-ee Aaj Haami He Na Yaawar
Kaheñ Kis Se Ke Kaisa Maajra He

Buray Ahwaal Haiñ Us Roz Uf-Uf
Buhat Ahwaal Bah Ka Saamna He

Ko-ee Haampe Ko-ee Kaampe Kara He
Ko-ee Rota Ko-ee Chil-la Raha He

He Daar o Geer Ka Hangaama Barpa
Buhat Sakht Aafatoñ Ka Saamna He

 

Rusul Bhi Nafsi-Nafsi Keh Rahe He
Himaayat Ka Kisay Ab Aasra He

Bandhegi Aas Apni Ba’ad Har Yaas
Usee Se Jo Humaara Aasra He

Usee Ke Paas Sub Pahunchenge Aakhir
Wo Jis Ka Naam e Naami Mustafa He

Shafa’at Ka Usee Ke Sar He Sahra
Wahee Is Bazm Ka Doolha Bana He

Chalo Ay Aasiyo! Kyuñ Kar’h Rahe Ho
Wo Mahboob e Khuda Jalwa Numa He

Malul Ay Ghamzado Tum Kis Liye Ho
Wo Pyaara Mustafa Jub Ghamzuda He

Suneñge Sun-ne Waale ‘Idhaboo’, Ke
Zubaan e Paak Par ‘In-ni Lahaa’ He

Mazaalim Kar Leñ Jitne How’weñ Zaalim
Na Kar Gham Noori, Ke Apna Bhi Khuda He

 

 

DILOÑ KO YAHEE
ZINDAGI BAKHSHTA HE

 

Diloñ Ko Yahee Zindagi Bakhshta He
Tera Dard e Ulfat Hee Dil Ki Dawa He

Gulistaan e Dunya Ka Kya Zikr Aaqa
Ke Tooti Tera Sidra Par Bolta He

Mareez e Ma-aasi Ko Le Chal Madina
Madina Hee ‘Isyaañ Ka Daarush Shifa He

Jo Waasil He Tum Tuk To Waasil He Haq Tuk
Jo Tum Se Phira He, Wo Haq Se Phira He

Namaaz Awr Rozay, Zakaat Awr Hajj Sub
Haiñ Maqbool Sub, Jub Tumhari Wilaa He

Amal Sub Akaarat Tumhare ‘Adoo Ke
Ke Irshaad e Rab’bi ـَا

 

Muhab’bat Tumhari Muhab’bat Khuda Ki
‘Adaawat Tumhari Khuda Se Daghaa He

Wo Kaisi Hee Jheyle Mashaq’qat Adaa Me
Adaa Kuch Nahiñ He, Wo Sub Kuch Qaza He

Muhab’bat Tumhari He Imaan Ki Jaañ
Agar Ye Nahiñ He To Imaañ Hawaa He

Kare Laakh Da’wa e Imaan Dushman
Munaafiq Ka Da’wa e Imaañ Daghaa He

Khuda Par Bhi Imaañ Usee Ko He Haasil
Jisay Jaan e Imaañ, Tujh Se Wilaa He

Khuda Ke Yahaañ He Sar-Afraaz Utna
Teri Bargaah Me Jo Jitna Jhuka He

Aghithna Habeebal Ilaahi Aghithna
Tabaahi Me Beyr’a Humaara Phansa He

Ye Such He Bud A’maaliyoñ Hee Ne Apni
Hameñ Roz e Bud Ye Dikhaaya Shaha He
I

Buhat Naam Lewa Huwe Qatl o Ghaarat
Khabar Kiya Nahiñ, Tum Se Kya Kuch Chupa He

Tasaw’wur Me Bhi Jo Na Thay Wo Mazaalim
Huwe Awr Abhi Tuk, Wahee Silsila He

Na Dekha Tha Jo Chashm e Gardooñ Ne Ab Tuk
Tere Bandoñ Ne Wo Sitam Ab Saha He

Chinay Maal o Dawlat Huwe Qatl o Ghaarat
Hazaaroñ Ka Naamoos Loot’aa Gaya He

Lakho Kha Kiye Thanday Safaakiyoñ Se
Magar Zaalim Ab Tuk Bhi Garma Raha He

Jo Haq Chahata He Ye Wo Chaahate Haiñ
Jo Ye Chaahate Haiñ, Wo Haq Chaahata He

Magar Maula Ab To Saza Paa Chukay Hum
Karam Ki Jiye Ab Yahee Iltija He

Nikokaar Bande Hee Kya Haiñ Tumhare
Ye Bud-Kaar Bhi Aap Hee Ka Shaha He

Na Kije Nazr Iski Bud-Kaariyoñ Par
Karam Kijiye, Jo Shi’aar Aapka He

Jo Pehle Thay Aaqa, Ghulaam Aaj Tahray
Ghulaam Apne Aaqa, Ka Aaqa Bana He

Se He Roshan
Zabaan e Muqad’das Pe Haq Bolta He

Inheeñ Ki Rasa-ee He Zaat e Khuda Tuk
Siwa In Ke Ko-ee Bhi Us Tuk Rasa He?

Do Aalam Ko Karduñ Me Us Sar Pe Sadqe
Nisaar e Madina Jo Sar Ho Chuka Ho

Agar Che He Makkah Ki Azmat Musal’lam
Magar Mera Dil Taiba Hee Par Fida He

He Me’raj e Qismat Huzoori Yahaañ Ki
Hameñ Aap Ka Rauza Arsh e Ulaa He

Niko-Kaar He Aap Ka, Bud He Kis Ka
Wo Bhi Aap Ka He, Jo Bud He Bura He

Kahaañ Tuk Saheñ Hum Mukhaalif Ke Ta’ane
Khabar Lijiye Waqt e Sabr Aazma He

Muqad’dar Ke Tum Ho, Muqad’dar Tumhara
Jo Marzi Tumhari He, Wo Qadr O Qaza He

Khuda Ki Jo Marzi Wo Marzi Tumhari
Jo Marzi Tumhari Khuda Ki Raza He

He Allah Ke Haath Me Haath Us Ka
Tere Haath Me Haath Jis Ne Diya He

‘Anaa Qaasimun’ Se He Roshan Jahaañ Me
Jisay Jo Mila Wo Tumhara Diya He

Habeeb e Khuda He Yahaañ Jalwa Farma
Ye Gumbad Nahiñ, Burj e Arsh e Khuda He

Ba-Taqdeer e Qaadir Muqad’dar Wo Paaya
Ke Marzi Hee, Goya Qadr Awr Qaza He

Yahaañ Bheek Lene Na Kyuñ Aa-e Dunya
Shahanshah e Aalam Ki Dawlat Sara He

Khuda Hee Ki Qadr Us Ne Har Giz Na Jaani
Tere Rutba Me Jis Ko Choon o Chara He

Na Ahle Nazr Ka Banay Sajda-Gah Kyuñ
Jahaañ Naqsh Paa-e Habeeb e Khuda He

Isee Dar Ka Mohtaj He Saara Aalam
Isee Dar Se Palta, Palega, Pala He

Ye Kaun o Makaañ, Ye Zameen o Zamaañ Sub
Banay Teri Khaatir Tu Wajhe Bina He

Banaaya Tujhe Aisa Khaliq Ne Tere
Ke Zaat e Khuda Ka Tu Hee Aa-ina He

Ye Chaahat He Mahboob Teri Khuda Ko
Jo Tu Chaahe Wo Bhi Wahee Chaahata He

Banaaya Tumheñ Apna Mazhar Khuda Ne
Jahaanoñ Ko Mazhar Tumhara Kiya He

 

Kuch Aisa Sanwaara He Tujh Ko Khuda Ne
Ke Tu Hee Khuda-ee Ka Doolha Bana He

Tumhara Hee Rang Awr Tumhari Hee Bu To
He In Phooloñ Me Warna Phir Awr Kya He

Chaman Hona Seyraab o Shadaab Hona
Ye Phal Phool Lagna Tumhari Ataa He

Isee Dum Se Aabaad Saare Jahaañ Haiñ
Isee Dum Se Saara Wajood O Bina He

He Zer e Nageeñ Tere Mulk e Ilaahi
Tu Hee Shaah Waala Qasr e Dana He

Tu Wo Taajwar He Ke Taaj e Rafa’na
Tere Farq e Aqdas Pe Haq Ne Dharaa He

Mah o Khur Chamakte Damakte Hee Naa Yuñ
Ye Teri Chamak He Ye Teri Zia He

Sitaaroñ Ki Aankhoñ Me He Noor Kis Ka
Tumhari Chamak He, Tumhari Zia He

 

 

RUBA’IYAAT

Note: A Ruba’i, is a typically Rhyming Collection of Poetic Quatrains

 

Kafsh e Paa Un Ke Rakhuñ Sar Pe To Paa-uñ Iz’zat
Khaak e Paa Un Ki Malooñ Munh Pe To Paa-uñ Tal’at
Taiba Ki Than’dee Hawa Aa-e To Paawuñ Farhat
Qalb Be Chain Ko Chain Aa-e To Jaañ Ko Raahat

 

Manzoor e Nazar He Bus Thana e Sarkaar
Jaan e Do Jahaañ Ki Jo Haiñ Sar Har Kaar
Noori! Kaafi He Do Jahaañ Me Mujh Ko
Maqbool Agar Hoñ Un Ko Mere Afkaar

Gulhaa-e Thana Se Mehekte Huwe Haar
Suqm e Shar’ee Se Haiñ Munaz’zah Ash’aar
Dushman Ki Nazar Me Ye Na Khat’keñ Kyunkar
Haiñ Phool Magar Haiñ Chasm e A’daa Me Khaar

Hud Bhar Ka Ziyaañ-kaar Siyakaar Huñ
Ummat Me Bar’a Sub Se Gunahgaar Huñ Me
Par Dil Ko He Apne Is Se Dhaar’as
Farmaata He Allah Keh, Ghaf’faar Huñ Me

Bud-kaar Huñ Mujrim Huñ Siyakaar Huñ Me
Iqraar He Is Ka Keh Gunahgaar Huñ Me
Ba-eeñ Hama Naari Nahiñ, Noori Huñ Me Huzoor
Momin Huñ To Firdaws Ka Haqdaar Huñ Me

Zaalim Huñ, Jafa-Kaar O Sitamgar Huñ Me
‘Aasi o Khata-Kaar Bhi Hud-Bhar Huñ Me
Ye Sub He, Magar Pyaare, Teri Rahmat Se
Sunni Huñ Musalmaan Muqar’rar Huñ Me

Dunya To Ye Kehti He Sukhanwar Hu Me
Arey Shu’ra Ka Aaj Sarwar Huñ Me
Me Ye Kehta Huñ Ye Ghalat He, Sou Baar Ghalat
Sach To He Yahee Ke Sub Se Ahqar Huñ Me